Hiii Dostooo, Mujhe lag raha hai ki aapka Punjab And Sind Bank ATM card block ho gaya hai. Isliye aap PSB ATM card unblock karwane ka process dhundh rahe hai. Is post me hamne aapko PSB debit card unblock karwane ke 2 aasaan tarike bataye hai. In tariko ka istemal karke aap turant blocked psb ATM card unblock karwake use karna start kar sakte hai.
Mai bhi kai bar apna PSB debit card 3 times wrong pin enter karke block karwa chuka hu. Lekin neeche ke methods se turant main apna ATM card restart karwa leta hu. Isi tarah se aap bhi aisa aasaani se kar sakte hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- Punjab & Sind Bank ATM / Debit Card Apply Kaise Kare?
- Bank Account Me Mobile Number Register Application Kaise Likhe? Hindi & English
PSB Bank ATM Card Unblock / Restart Karwane Ke 2 Aasaan Tarike
- Automatically psb debit card unblock karwana.
- PSB ATM PIN generation ki madad se unblock karwana.
Hamare anusar aap pahle dono process ko pura padh lijiye uske baad decision lijiyega ki aapke liye kon sa method aasaan rahega.
1. Automatically PSB ATM Card Unblock Karwana
Punjab & sind bank ne 3 times wrong PIN se blocked hue card ko unblock karwane ke liye ek TIME PERIOD rakha hai. Yah time period 24-48 hours hai. Ab agar aapko blocked PSB ATM card unblock karwana hai to bas 24-48 ghante tak chupchap wait karna padega. Jaise hi aapka 48 ghante complete ho jayega bank ka system (softwere) us blocked debit card ko automatically (apne-aap) unblock kar dega.
Yani ki 48 ghanto ke bad aap bina kuch kiye us ATM card ko apne purane original ATM PIN se use (transaction) karna start kar sakte hai.
Isme sabse badi dikkat yah hai ki bahut sare logon ko apna original ATM PIN yaad hi nahi rahta hai. Agar aapko apna PIN yaad nahi hai to 2nd method aapke liye useful hai.
2. PSB ATM PIN Generation Ki Madad Se ATM Card Unblock / Restart Karwana
Is method ki khasiyat yah hai ki aapko purana PIN nahi manga jata hai. Iske liye aap apna PSB bank account me registered mobile number, blocked debit card ko lekar kisi bhi PSB ATM Machine me chale Jaye.
- Waha jakar apna blocked card ko PSB ATM machine me “SWIPE” kar le.
- Agle screen se apna “Language” chun le.
- Ab aaye options me se “Green PIN” ko select kare.
- Iske baad 2 option aayenge abhi inme se “OTP Generation” ko select kare.
- Isi ke saath screen me “OTP Is Generated And Sent To The Registered Mobile Number” likha hua aa jayega.
Itna process karte hi aapke reg. mobile number me bank ki taraf se ek message aa jayega. Is message me ek 6 digit OTP likha rahega. Jaise hi aapko yah message mil jaye to neeche ka process kare.
- Fir se apna card “SWIPE” kare.
- Apna language select kare.
- Fir se “Green PIN” ko select kare.
- Abki baar aaye 2 options me se “OTP Validation” ko select kare.
- Ab aapke message me aaye 6 digit OTP ko enter karke isi screen ke “Correct” option me press kare.
- Isi ke saath New PIN enter karne ka option milne lagega. yaha aapko apne blocked PSB ATM card ke liye new PIN soch le jisko abki baar bhulne ka dar naa ho. Iske baad is soche hue 4 digit “New PIN” ko enter kar de.
- New PIN ko confirm karne ke liye New PIN Re-enter kar de.
- ATM screen me “Your PIN Was Set Successfully” likha hua aa jayega.
Jaise hi ATM screen me yah likha hua aa jayega to aapka PSB debit card unblock ho jayega. Itna process karne ke baad ab aap abhi banaye New PIN ka istemal kar ke apne card se kisi bhi tarah ka transaction (Online transaction, ATM transaction, POS transaction) karna start kar sakte hai.
- Punjab & Sind Bank New ATM Card Activate Kaise Kare?
- Bank Account Transfer Application Kaise Likhe? In Hindi & English
Badhai ho, Ab aapne blocked PSB ATM card unblock karwane ke dono tarike jaan liye hai. Hame puri ummid hai ki upar ke methods se aap apna PSB debit card unblock karwa lenge.
Agar is post me bataya tarika aapko pasand aaya to isko “SHARE” jarur kare taki yah jaankari aur bhi logon tak pahuch sake. Aapka bahut-bahut Dhanyawad.
Leave a Reply