ExplainMeBanking

बैंकिंग बनाये आसान - Banking Banaye Aasaan

  • Home
  • Government Banks
    • State Bank Of India
    • Bank Of India
    • Bank Of Baroda
    • Punjab National Bank
    • Oriental Bank Of Commerce
    • IDBI Bank
    • Union Bank Of India
    • Canara Bank
    • UCO Bank
    • Indian Bank
    • Central Bank Of India
    • Punjab and Sind Bank
    • South Indian Bank
    • Allahabad Bank
    • Andhra Bank
  • Private Banks
    • HDFC Bank
    • ICICI Bank
    • Axis Bank
  • Payments Banks
    • Paytm Payments Bank
    • India Post Payments Bank
    • Jio Payments Bank
  • Gramin Banks
    • Kashi Gomti Samyut Gramin Bank
    • Chhattisgarh Rajya Gramin Bank
  • More
    • Application Writing
    • Banking
    • Internet Banking
    • Mobile Banking
    • Finance

27/03/2018 By Suraj Kumar 2 Comments

BOI Net Banking Online Registration / Apply Kaise Kare ?

BOI Net Banking Online Registration / Apply Kaise Kare ?
Share And Help Others
  • 4
  •  
  •  
  •  
  • 2
  •  
  •  
  •  
    6
    Shares

Kya aap ( Bank Of India ) BOI Net Banking use karna chahte hai ? Lekin iske registration process ko nahi jante hai ? tab aap sahi jagah par aaye hai.

BOI Net Banking ( Internet Banking, Online Banking ) ko use karne ke liye sabse pahle  aapko one time registration process ko karna padta hai. Is process ko karne ke baad aap life time us account me net banking ko use kar payenge.

BOI Net Banking Registration Process

Isko liye BOI ne apne customers ko 2 option provide kiya hua hai.

  1.  BOI Net Banking Online Registration Process and
  2.  BOI Net Banking Offline Yani Branch Se Registration Process.

Dosto is post me ham aapko iske online process ke baare me detail se batane ja rahe hai. Yah process aasaan hai aur ise aap Ghar Baithe complete kar sakte hai.

Inhe Bhi Jaane :-

  • SBI Quick App Kya Hai ? Iske Benefits, Features, Uses Ki Detail Jaankari.

BOI Net Banking Online Registration Ke Liye Information

Agar aap iske liye online registration karna chahte hai to aapke paas apne bank account se related kuch information hona jaruri hai.

  1.  Bank Of India ATM / Debit Card ka Detail :- Iske liye aapke paas BOI ATM card ka Number, Expiry Date and ATM PIN hona chahiye.
  2.  BOI Registered Mobile Number :- Iske liye BOI Account me registered mobile number bhi aapke paas hona chahiye, kuki isme One Time Password bhejkar verify kiya jata hai.
  3.  BOI Account Number :- Aap jis Bank Of India account me internet banking register karna chahte hai uska account number apne paas rahna jaruri hai.

In sabhi information ko rakhkar aap kabhi bhi is process ko kar sakte hai. To chaliye ab dekh lete hai ki iske liye kya process hai.

BOI Net Banking Online Registration / Apply Kaise Kare ?

Iske liye aap neeche ke process ko follow kare.

Step 1.

  •  Iske liye aap sabse pahle BOI ke official website https://www.bankofindia.co.in me jaye.
  •  Is website me aapke right side ke neeche ek option “Internet Banking” milega ispar click kare. Iske baad iske neeche kuch aur options aa jayenge, Inme se aap “Retail” ya “Corporate” jis bhi Net Banking ke liye aapne registration karna chahte hai uspar click kare.
  •  Ab aapke saamne ek pou-up jaisa aayega jisme Security se related kuch chije likhi hongi. Isme “OK” button par click kare ya kuch der ruke yah automatically hat jayega aur aap agle step me chale jayege.

Step 2.

Ab aap BOI Net Banking ke website me pahuch jayenge, Yaha se aapka registration process start hoga. Is page me thoda neeche aapko ek option “NEW USER” milega, is option par click kate.

BOI Internet Banking New User
BOI Internet Banking New User

Step 3.

Ab aapke samne Registration ke liye kya-kya information aapke paas hona chahiye wah likha hua hoga, jo mai aapko upar bata chuka hu. Is page me aapko kuch information fill up karna hai.

BOI Internet Banking Account Details
BOI Internet Banking Account Details
  •  Isme sabse pahle box me aap apna BOI account number enter kar de.
  •  Second wale box me apna BOI Account me registered mobile number enter kar de. Mobile Number aapko apne country code ke saath enter karna hai lekin + sign nahi dena hai. jaise – 919876543219. ( Yaha 91 India ka country code hai and 9876543219 mobile number)
  •  Iske neeche aapko ek image me captcha milega isme jo bhi jaisa bhi likha hua hai usko iske neeche wale box me enter kar de.
  •  In sabhi information ko fillup karne ke baad “Continue” par click kare.

Step 4.

Agle step me aapse ek OTP manga jayega. Yah OTP aapke registered Mobile Number me BOI turant bhej deta hai.

  •  Ab aap apne Mobile Number ko check kare usme jo OTP aaya hai use is page me enter kar de.
BOI Online Banking Registration Ke Liye OTP
BOI Online Banking Registration Ke Liye OTP
  •  OTP enter karne ka baad “Continue” par click kare.

Step 5.

Iske baad verificaion ke liye aapse ATM / Debit Card ka detail manga jayega.

Enter BOI ATM Card Details
Enter BOI ATM Card Details
  •  Sabse pahle wale box me apna ATM Card / Debit Card ka number enter kar de.
  •  Second box me us card ka Expiry Date enter kar de. Yaha expiry date aapko “MMYY” ke format me enter karna hai. Yaha MM – Number of Month and YY – Year ka last 2 digit ko denote kar raha hai. Jiase agar kisi ATM card ka expiry date January 2019 hai to 0119 likhna hai.
  •  Third box me apne ATM Card ka PIN Number enter karna hai.
  •  Ye saare information fill up karne ke baad “Continue” par click kare.

Step 6.

Ab aapke samne BOI Net Banking ka Term & Conditions aa jayega. Aap chahe to in Term & Conditions ko padh sakte hai.

BOI Net Banking Term And Condition
BOI Net Banking Term And Condition

Ab is step se aage badhne ke liye in Term & Conditions ke neeche ek option “I Agree to the above mentioned Agreement-Cum-Indemenity” milega. Iske samne chota sa ek square box rahta hai usme click kare de, click karte hi uske tick mark aa jayega. Iske baad “I Agree” par click kare.

Step 7.

Iske baad aap Login Password create karne wale page me aa jayenge. Is page me sabse pahle kuch instructions likha hua hoga. In instructions me aapko bataya hua rahta hai ki aapka Login Password kaisa hona chahiye.

BOI Internet Banking Login Password
BOI Internet Banking Login Password

In Instructions ke anusaar aap apna ek Login password bana le.

  •  Jab aapka Password ban jaye to use aap “Login Password” wale box me enter kar de.
  •  Aapne jo bhi password upar ke box me enter kiya hai use hi same to same “Confirm Login Password” wale box me bhi enter kar de.
  •  Dono box me password enter karne ke baad “Continue” par click kare.

Step 8.

Ab aapke samne aapke BOI Net Banking ke details jaise – Reference Number, Account Number, Customer Id, Name and Login User Id aa jayega.

BOI Net Banking Online Registration Complete
BOI Net Banking Online Registration Complete

Is steps me likhe hue details aapke liye important hai isliye ise likhkar rakh le. Iske baad aapke Registered Mobile Number me bhi BOI ke taraf se ek Confirmation message aa jayega. Is Message me likha hua hoga ki aapka BOI Internet banking User Id banane ka process Successful ho chuka hai. Ab aap apne Net Banking ko 1 working day ke baad use kar payenge.

In steps ko follow karne ke baad aapka BOI Net Banking Online Registration / Apply karne ka process complete ho jayega. BOI ne likha hai ki aap 1 working day ke baad ise use kar sakte hai lekin mere anushar aap 2, 3 dino ke baad login karne ka try kare.

Dosto ab aap pure process ko acchi tarah se jan chuke hai. To jaiye aur is information ka benefit uthaiye, ghar baithe apna BOI Net banking register kar lijiye.

Agar abhi bhi aapko koi sawal puchna hai ya kuch samajh me nahi aaya hai to Comment kare. Ham aapki madat jitna ho sake karne ki kosis karenge.

Inhe Bhi Jaane :-

  • BOI Net Banking Activate / First Time Login Kaise Kare ?
  • SBI SMS Banking Ke Liye Mobile Number Register And Enquiry Kaise Kare ?

Kya aapne abhi tak hamare YouTube Channel “Explain Me Banking” ko Subscribe nahi kiya hai ? To jaiye aur turant SUBSCRIBE kar lijiye aise hi kamal ke Banking jankariya waha bhi milengi.

Apne Friends, Family Member ki help karne ke liye Is Post ko unko SHARE kare. Apne Social Media (Facebook, WhatsApp, Twitter…etc) Friends ke saath bhi is Post ko SHARE karke apna Value badha sakte hai. Dhanyawad


Share And Help Others
  • 4
  •  
  •  
  •  
  • 2
  •  
  •  
  •  
    6
    Shares
  •  
    6
    Shares
  • 4
  •  
  •  
  •  
  •  
  • 2
  •  

Related posts:

  1. BOI Net Banking Activate / First Time Login Kaise Kare ?
  2. BOI Net Banking Transaction Password Request / Apply Kaise Kare ?
  3. BOI Transaction Password Activate / Enable Kaise Kare ? Online Method
  4. BOI ATM PIN Online Ghar Baithe Forgot / Reset Kaise Kare ? Jab ATM PIN Bhul Jaye
  5. BOI Net Banking Money Transfer / Fund Transfer Ke Liye Beneficiary Add Kaise Kare ?

Filed Under: Bank Of India, Banking, Internet Banking Tagged With: Bank Of India, BOI Internet Banking, BOI Net Banking, Net Banking Online Registration

Kya Aapko Yah Post Pasand Aaya ?

Agar Aap Chahte Hai Ki Hamare Blog Par New Post Publish Hone Par Aapko Iski Jaankari FREE Me Mil Jaye To Aap Abhi Is Blog Ke Newsletter Ko SUBSCRIBE Kar Hamare Saath Jud Sakte Hai.

Ham Aapke Email Ko Puri Tarah Se Surakshit Rakhenge.

Aapke Liye Best Post

Bank Of India Online Money / Fund Transfer Kisi Ke Bhi Bank Account Me Kaise Kare ?

Bank Of India Online Money / Fund Transfer Kisi Ke Bhi Bank Account Me Kaise Kare ?

SBI Registered Mobile Number Kho, Chori, Band Ho Jane Par New Number Registered Kaise Kare ?

SBI Registered Mobile Number Kho, Band Ho Jane Par New Number Register Kaise Kare ?

SBI Green Remit Card Kya Hai ? Iske Benefits, Charges, Limits Ki Puri Jaankari

SBI Green Remit Card Kya Hai ? Iske Benefits, Charges, Limits Ki Puri Jaankari

India Post Payment Bank (IPPB) Online Account Open Kaise Kare?

India Post Payment Bank (IPPB) Account Online Open Kaise Kare?

Bank Of India Transaction Password Offline Activate Kaise Kare ?

Bank Of India Transaction Password Offline Activate Kaise Kare ?

Comments

  1. Satyapal Singh says

    04/09/2018 at 2:25 PM

    Atm card nambar kam nahi kar rha he to me kiya karu

    Reply
    • admin says

      05/09/2018 at 10:17 AM

      Agar aapko Online Registration me dikkat ho rahi hai to Offline kisi bhi BOI branch se Registration karwa lijiye.

      Reply

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Connect With Us

Subscribe YouTube Channel

More Post For You

SBI Mobile Number Registration Application Letter In Hindi And English

03/11/2019

PNB ATM Card Block Kaise Kare ? How To Block PNB ATM Card In Hindi ?

23/07/2018

Union Bank Of India UBI ATM PIN Generate & Activate Kaise Kare ?

26/11/2018

New List Of Payment Bank In India Headquarters, Website, Features Puri Jaankari

12/11/2018

Allahabad Bank Balance Enquiry Number, Allahabad Bank Balance Check Through Missed Call Process

13/11/2019

Categories

  • Allahabad Bank
  • Andhra Bank
  • Application Writing
  • Axis Bank
  • Bank Of Baroda
  • Bank Of India
  • Banking
  • Canara Bank
  • Central Bank Of India
  • Chhattisgarh Rajya Gramin Bank
  • Finance
  • HDFC Bank
  • ICICI Bank
  • IDBI Bank
  • India Post Payments Bank
  • Indian Bank
  • Internet Banking
  • Jio Payments Bank
  • Kashi Gomti Samyut Gramin Bank
  • Mobile Banking
  • Oriental Bank Of Commerce
  • Payments Bank
  • Paytm Payments Bank
  • Punjab and Sind Bank
  • Punjab National Bank
  • South Indian Bank
  • State Bank Of India
  • UCO Bank
  • Union Bank Of India
  • Home
  • About Us
  • Contact Us
  • Privacy Policy
  • Sitemap
  • Disclaimer

Copyright © 2019 Explain Me Banking