Dosto, Agar aapne BOI Net Banking ke liye Registration karwa liya hai, saath hi isme Login kar paa rahe hai. To aapko kisi bhi tarah ka transaction karne ke liye ab BOI Net Banking Transaction Password ki jarurat padegi.
Is Post me aapko BOI Internet Banking Transaction Password ki detail jankari mil jayegi. Is Post ko padhne ke baad BOI Net Banking transaction password kaha use hota hai ? Ise aap kaha se le sakte ? Isko lene ke liye kya porocess hai ?…etc aap in sabhi sawalo ke jawab jaan jayenge.
Inhe Bhi Jaane :-
- BOI Net Banking Ghar Baithe Online Registration Kaise Kare ?
- SBI SMS Banking Ke Liye Mobile Number Register And Enquiry Kaise Kare ?
BOI Net Banking Transaction Password Kaha Use Hota Hai ?
Transaction Password jaisa ki iske name se hi clear hota hai jab bhi aap Internet Banking ka use karke kisi bhi tarah ka transaction karenge us time aapko is password ki jarurat padti hai.
Isi tarah jab bhi aap apne BOI Internet banking se kisi bhi tarah ka transaction ya apne Bank Account ke detail ko change karne ki kosis karenge tab aapko BOI net banking Transaction Password ko enter karne ki jarurat padti hai.
Yani ki jabtak aapke paas BOI Net Banking Transaction Password nahi hai tabtak aap Internet Banking ka use Login karne ke alawa koi aur kaam nahi kar sakte hai.
BOI Net Banking Transaction Password Kaha Se Milega ?
Iska jawab aapke net banking ke registration process par depend karta hai.
For Offline Registration Customers
Agar aapne Bank Of India Net Banking ke liye Offline yani Branch se Registration karwaya hai to aapko jo Internet Banking ka KIT mila hoga usme hi aapka transaction password bhi hoga. Is Transaction Password ko kewal aapko Activate karna padega uske baad aap usko use kar sakte hai.
For Online Registration Customers
Agar aapne iske liye Online Registration karwaya hai to aapko BOI Branch me jakar iske liye Request / A[pply karna padega. BOI Net Banking ka yahi Term and condition hai ki first time Transaction Password aapko branch se request karwakar hi mangwana padega. Isko first time Online Generate karne ka koi tarika nahi hai.
To chaliye ab aapko ham bata dete hai ki iske liye branch me request / apply kaise karte hai.
BOI Net Banking Transaction Password Ke Liye Request / Apply Kaise Kare ?
Isko Request / Apply karne ke liye aap BOI Branch chale jaye. Waha jakar jab aap iske baare me bolenge to aapko ek Form diya jayega aur bola jayega ki isko achhi tarah fill up karke jama karna hai.
Aap iske Form ko neeche ke image me dekh sakte hai. Agar aapko Branch se yah form nahi milta hai to isko kaise aap download kar sakte hai yah maine last me bata diya hai. Chaliye ab jaan lete hai ki is Form ko kaise fillup karna hai aur kaha-kaha par kya information likhna hai.
- Sabse pahle aap apne BOI Branch ka name likh de.
- Uske baad aap apna pura Name likh de jaisa aapke BOI Account me likha hua hai.
- Yaha aap apne BOI Net Banking ka User Id likh de. (Agar aapko user id yaad nahi hai aur aapne online registration karwaya hai to apne Passbook me dekhe. Passbook me Customer Id likha hua hoga use hi likh de. Aapka Customer Id and User Id same hi hoga)
- Agar aapka Account aapke use ke liye nahi balki kisi Firm ke liye khulwaya gaya hai to us Firm ka pura name yaha likh de.
- Aapka jo Address BOI Account me hai agar aapka wah address change ho gaya hai aur use change karwakar New Address me Password ko mangwana chahte hai to apna New Address yaha likh de. Yaha jo bhi address aap likhenge uska Proof bhi dena padega.
- Aap jis bhi din yah Form jama kar rahe hai us din ka Date yaha likh de.
- Jis bhi jagah wah BOI Branch hai uska name yaha fill up kar de.
- Jaisa aapke BOI Account me Full Signature hai aap waisa hi Signature yaha kar de.
- Aapke Bank Account me jo bhi Full Name hai wah Full Name yaha fill up kar de.
Bas itna hi Information aapko is Form me fill up karna hai. Baaki ke kisi bhi option ko aap touch na kare kuki wo baki ke options Bank Of India ke Official Use ke liye hai.
NOTE :- Information 4 aapke liye Applicable na ho to use khali chod de. Information 5 jaruri na ho to khali chod de.
Inhe Bhi Jaane :-
BOI Net Banking Transaction Password Form Download Kaise Kare ?
Dosto kai baar jab ham iske liye branch me jate hai to hame bola jata hai ki yah Form abhi waha available nahi hai. Is condition me aap ek simple paper me Application likhkar de sakte hai ya fir is Form ko download karke print karke usko jama kar sakte hai.
Chaliye ab jaan lete hai ki agar aap ise download karna chahe to kaise kar sakte hai.
- Iske liye sabse pahle aap Bank Of India website https://www.bankofindia.co.in me jaye.
- Is website me aapke right side ke neeche ek option “Internet Banking” milega ispar click kare. Iske baad iske neeche kuch aur options aa jayenge, Yaha aap “Retail” ya “Corporate” dono me se kisi bhi option ko click kare.
- Ab aapke saamne ek pop-up jaisa aayega jisme Security se related kuch chije likhi hongi. Isme “OK” button par click kare.
- Ab aap BOI net banking ke website me aa jayenge. Is Page ke Right Side me aapko ek section “Application Form” mil jayega. Yaha se aap iske forms ko download kar sakte hai. Yahi par aapko BOI net banking Transaction Password Form bhi mil jayega iske link par click karke ise aap download kar sakte hai.
Jab aap ye Application Form achhi tarah se fill up karke BOI Branch me jama kar denge tab aapke Transaction Password ke liye request de diya jayega. Iske kuch dino me aapka Password aapke Address me By Post aa jayega. Iske baad aap isko Activate karke use kar sakte hai.
To Dosto ab mujhe ummid hai ki aapke man me jitne bhi sawal BOI Net Banking Transaction Password ke baare me the unke jawab aapko mil gaya hoga. To ab jaiye aur iske liye request kar dijiye aur uske baad Bank Of India ke Internet Banking ka Maza lijiye.
Inhe Bhi Jaane :-
Kya aapne abhi tak hamare YouTube Channel “Explain Me Banking” ko Subscribe nahi kiya hai ? Abhi turant SUBSCRIBE kar lijiye aise hi kamal ke Banking se related jankariya waha bhi bhara pada hai, uska labh uthaiye.
Apne Friends, Family Member ki help karne ke liye Is Post ko unko SHARE kare. Apne Social Media Friends (Facebook, WhatsApp, Twitter…etc) ke saath bhi is Post ko SHARE karke apna Value badha sakte hai. Dhanyawad
Leave a Reply