Hello Dosto, Agar abhi bhi aap apne banking ke kaamo ko karne ke liye branch ke chakhar lagate hai to aap apna time, energy and bahut sari chije barbad kar rahe hai. ham aisa isliye bol rahe hai kyoki ab aap banking ke saare kaam ghar baithe bhi kar sakte hai. Iske liye bas aapke paas internet banking ya mobile banking hona chahiye. Isiliye is post me ham pnb net banking registration and activation ka pura process batane jaa rahe hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- PNB ATM Card Block Kaise Kare? How To Block PNB ATM Card In Hindi?
- Bank Account Transfer Application Kaise Likhe? Hindi & English
Agar aapke paas punjab national bank account hai aur aap bhi apna saara kaam ghar baithe karna chahte hai to is post me bataye steps ko follow kijiye. Isse aap abhi turant apna pnb net banking registration, activation and first time login ka process complete karke isko use karna start kar sakte hai.
Is post ko achchhe se padhkar aap kewal 5-7 minute me kai chije sikh jayenge. Jaise-
- Pnb net banking registration online new user.
- Pnb internet banking activation process.
- Apne online banking ka login password banana.
- Punjab national bank net banking transaction password banana.
- Pnb net banking first time login karna.
- Apne e-banking me login karna.
Aapne dekha kitni sari chije aap agle 5-7 minutes me free me sikh sakte hai.
PNB Internet Banking Registration Ke Liye Jaruri Information.
Iske online process ke liye aapko 3 information ki jarurat padegi-
- Punjab national bank atm card / debit card
- Aapka pnb account number
- Aapke bank account me registered mobile number
Agar ye sari information abhi hai to aap start kar sakte hai.
PNB Net Banking Registration & Activation Kaise Kare?
Dosto iska process bahut aasaan hai aap bas neeche bataye hue steps ko follow karte chale jaiye.
STEP 1
Sabse pahle aapko pnb online banking ke offcial website __________ me chale jana hal.
- Abhi aapke saamne ek page aa jayega. Is page me “Internet Banking” Wale option ko click kar de.
- Agle page me is bank me jitne bhi bank merge hue hai unka list aa jayega. Inme se aap “PNB” ko select kar lena hai.
STEP 2
Next page aapke saamne khul jayega. Is page ke “Retail Internet Banking” wale option ko select karna hai.
STEP 3
Abhi aapke saamne pnb net banking login wala page khul jayega. Isi page me aapko ek link “New User” Milega. Abhi aapko isi link par click karna hai.
STEP 4
- Next page me aapko apna pnb account number pura fill karna hai.
- Iske neeche aapko 3 option milenge. Aapko agar kewal “Internet Banking” chahiye to pahle option ko select kare. Agar kewal mobile banking chahiye to dusre option ko select kare. And agar ek hi saath dono ke liye register karna hai to third wale ko select kar le.
- Ab “Verify” wale button ko click kar de.
STEP 5
Agla page aapke saamne khul jayega.
- Is page me sabse pahle aapko net banking me kis tarah ka facility chahiye usko select kar le.
- Abhi tak aapke registered number me bank ki taraf se ek otp wala message aa jayega. Message me aaye otp ko box me enter kar de.
- Dono information fillup karne ke baad “Continue” wale box ko enter kar de.
STEP 6
Agle step me aapko pnb atm card / debit card ke details fillup karna padega.
- Sabse pahle box me apna 16 digit card number enter kar de.
- Agle box me apna 4 digit ka atm pin enter kar de.
- Iske baad “Continue” button par click kar de.
STEP 7
Waaw abhi aapko aapka net banking ka user id dikhaya jayega. Is page se aap apne liye login password and transaction password banayenge.
Yaha aapko yaad rakhna hai ki ye passwords normal password nahi hote hai. Inko kaise banana hai uska sara detail page ke neeche me mil jayega.
- Apna banaya hua login password ko upar wale box me enter kar de.
- Isi same password ko “Re-type Password” wale box me enter kar de.
- Aapne jo transaction password apne liye banaya hai usko uske box me enter kar de.
- Same transaction password ko “Re-type Password” wale box me enter kar de.
- Jab sare box fillup ho jaye to “Complete Registration” wale box me click kar de.
Yeeeeeeeeee dekha aapne pnb net banking registration process ko kitni aasaani se complete kar liya. Agle page aapka user id bhi likha hua mil jayega aur is tarah ka ek confirmation wala page dikhega.
Abhi aapko bahut khushi mahsus ho rahi hogi. Lekin abhi aapne kewal adha process kiya hai. Iske baad pnb net banking activation yani pnb net banking first time login ka process bhi pura karna padega.
Iske baad hi aap apne net banking ko use karna start kar sakte hai.
PNB Net Banking First Time Login (Activation) Process
Upar ki hi tarah ye process bhi aasaan hai. Bas aap neeche bataye steps ko dhyan se follow kare.
STEP 1
Iske liye aap registration complete wale page ke “Continue To Login” wale button ko click kare.
Ya fir pnb net banking login wale page me chale aaye.
- Yaha apna “User id” enter kar de.
- Ab “Continue” par click kare.
STEP 2
Iske neeche abhi aur bhi options aa jayenge.
- Pahle box me aap apna “Login Password” enter kar de. Isko aapne registration process ke step 7 me banaya tha.
- Iske neeche aap aage ke options jis bhi language ko select kar le.
- Uske neeche me kai tarah ka option milenge inme se “Dashboard” ko select kare.
- Ab “Login” ko click kare.
STEP 3
Abhi aapke screen me punjab national bank internet banking ke “Term & Condition” aa jayenge. Inko aap chahe to padh sakte hai. Process ko aage badhane ke liye is page ke neeche ke “Agree” button ko click kare.
STEP 4
Itna process ho jane par turant aapke registered mobile number me otp wala message aayega. Jab yah message aa jaye to isme aaye otp ko box me enter kar de. Iske baad “Continue” button ko click kare.
STEP 5
Agla step security wala step rahega. Is page me aapko bahut sare question likhe hue mil jayenge. Inme se aapko kam-se-kam 07 question ko select karna hai aur uska answer uske right side wale box me likh dena hai.
Jab aap question ko select karke unke answer de denge tab “Register” button ko click kar de.
STEP 6
Abhi ek aur security wala page aapke saamne khul jayega.
- Isme sabse upar aapko ek box milega. Isme aapko ek “Phrase” likhna hai. Yaha aap kuch bhi apne man se likh sakte hai
- Ab aapko ek dropdown menu milega. Isme bahut sare “Image Categary” milenge. Inme se kisi ek ko select kar lijiye.
- Aap jo bhi image category select karenge usse related image neeche me aa jayenge. Inme se kisi ek image ko select kar lijiye.
- Neeche me aapko ek check box “Term & Condition” wala milega isko tick kar dijiye.
- Sare information ek baar check kar lijiye aur sahi hone par “Update” button par click kar dijiye.
Hurrrrrrrreee aapne apna pnb net banking registration, activation and first time login ka process successfully complete kar liya hai.
- PNB Mobile Number Online Register / Change Kaise Kare? Complete Process
- Ghar Baithe Online PNB ATM Pin Generate & Activate Kaise Kare? Without Net Banking
- ATM Transaction Failed Complaint Form PDF Download [Transaction Failed But Amount Debited]
Abhi aap pnb online banking ke home page me aa jayenge. Yaha se aap apne details ka istemal karke apne punjab national bank internet banking me login karke iska istemal karna start kar sakte hai.
Ab aap apne net banking ka maza lijiye aur banking ke sabhi kaam ghar baithe karna start kar dijiye.
Agar aapko abhi bhi iske baare me kuch jaanna hai to comment box me likhkar bindas puch sakte hai.
Isi tarah ke banking se related video tutorials dekhne ke liye hamare YouTube Channel “Explain Me Banking” ko SUBSCRIBE jarur se kar le.
Is post se agar aapko benefit hua to ise “SHARE” jarur se kar de. Is post ko last tak padhne ke liye aapka bahut-bahut Dhanyawad.
Leave a Reply