Hellooooo Dostooooo, Samay ke saath hame badalna jaruri hota hai. Agar ham update nahi rahenge to iska kimat chukana padta hai. Bank apne services ko har samay update karte rahte hai. Jarurat hai hame aur aapko banks ke services ke saath badalte rahne ki. Is website par ham aapko update karte rahte hai. Aaaj ham aapko corporation bank atm card pin generation ka complete process apne mobile se ghar baithe karna sikhayenge.
Ye process bahut hi aasaan hai agle 3-5 minute me corporation bank debit card pin generation ka pura process sikh jayenge. Ek kahawat hai-
“Seekhna Ek Khajana Hai, Jo Har Jagah Apne Malik Ke Saath Jayega.”
Isliye is process ko pura padhe aur sikhe taki ye bhi aapke saath raheaur aapke kaam ko aasaan banaye.
Inhe Bhi Jaane:-
- Bank Account Transfer Application Kaise Likhe? Hindi & English
- ATM Transaction Failed Complain Form PDF Download [Transaction Failed But Amount Debited]
Corporation Bank Debit Card PIN Generation Ke Liye Jaruri Information.
Is process ke liye aapke paas neeche pataye kuch chije hona jaruri hai. Jaise-
- “Corp Ease” app me registered hona chahiye.
- Aapka corporation bank account number .
- Corporation bank atm card / debit card
Agar aapne abhi tak “Corp Ease” app me registration nahi kiya hai to yaha click karke iska process jan & sikh sakte hai.
Corporation Bank ATM card PIN Generation & Activation Process.
Ab ham iska step-by-step process batane jaa rahe hai.
STEP 1
Sapse pahle apne mobile me “Corp Ease” app ko open kare. Ab apna 6 digit secure pin ya login credential enter karke login kar le.
STEP 2
Ab is app ka home page khul jayega. Yaha kai tarah ke option milenge. In options me se “Request Services” ko click kare.
STEP 3
Abhi kai tarah ke options again aa jayenge. Yaha diye hue options me se “Green PIN (Reset Debit Card PIN)” ko click kare.
STEP 4
Abki baar aapko corporation bank account number and atm / debit card number dikhaya jayega. Agar yaha dikhaya gaya information sahi hai to isi page ke “Reset Debit Card PIN” ko select kare.
STEP 5
Next page me aapko khch information enter karna padega-
- Sabse upar apne card ka “Expiry Date” MM/YY ke format me enter kar de.
- Iske neeche me aapko “Enter 4 digit New PIN” ke 4 boxes rahenge. Yaha apne card ke liye ek new pin banakar usko enter kar de.
- Ab again isi new pin ko “Confirm 4 digit New PIN” wale boxes me enter kare.
Sare details bharne ke baad “OK” button par click kare.
STEP 6
Abhi aapko “Corp Ease” app ka 4 digit tpin manga jayega. Yaha apna tpin enter karke “OK” button par click kare.
Isi ke saath screen par “Your Debit Card PIN Genereted Successfully” likha hua aa jayega.
Yaha par aapka corporation bank atm pin generate ho jayega. Ab aap apne card ka isremal new pin se karna start kar sakte hai.
- Corporation Bank Mobile Number Register / Change Kaise Kare?
- Bank Account Address Proof Documents or Bank Accont Address Change Documents Complete List
Hame ummid hai ki yah corporation bank new atm card pin generation or new debit card pin generation ka process sikhne me maza aaya hoga.
Aapko banking se related aur kya jaanna hai hame comment box me likhkar puch sakte hai. Is post ko pura padhne ke liye bahut-bahut Dhanyawad.
Leave a Reply