Dosto, Jab bhi hame New ATM Card milta hai to sabse pahla sawal hamare mind me kya aata hai ? Is New ATM Card ko Activate kaise kare ? taki ham ise use karna start kar sake.
Agar aapne bhi Bank se New ATM Card liya hai aur soch rahe hai ki is New ATM Card ko Activate kaise kare ? to is Post ko padhte rahiye . Is Post me ham is topic “New ATM Card ko Activate kaise kare ? How to activate new atm card in Hindi ?” par detail se jankari dene jaa raha hai.
Harek bank ke New ATM Card ko Activate karne ke 2 tarike hote hai.
- Bank se ATM PIN lekar New ATM Card ko Activate karna and
- Khud se Green PIN Generate karke New ATM Card ko Activate karna
Is post me main in dono tariko ke baare me bari-bari se batane jaa raha hu. To chaliye ab iske pahle tarike ke baare me jaan lete hai.
Inhe Bhi Jaane :-
- SBI Pehla Kadam And Pehli Udaan Children / Bachcho Ke Liye Spacial Bank Account Ki Detail Jankari.
- SBI SMS Banking Ke Liye Mobile Number Register And Enquiry Kaise Kare ?
Bank Se ATM PIN Lekar New ATM Card Ko Activate Kaise Kare ?
Kai bank hai jo New ATM Card issue karte time uske liye ATM PIN bhi issue karte hai. Ye bank ATM Card to aapke address me by post bhej dete hai lekin aapka PIN branch me send kar dete hai. Taki aap khud jakar branch se ATM PIN ko le sake aur yah PIN kisi galat hatho me na jaye.
Is PIN ko lene ke baad aapko is PIN ka use karke apne New ATM Card se ke transaction karna rahta hai. Yah transaction aap paise nikalkar, ATM PIN change karke jaise chahe kar sakte hai. Condition yah rahta hai ki us ATM Card se Transaction hona chahiye.
Jaise hi aap us ATM Card se ek transaction karte hai aapka wah ATM Card Activate ho jata hai. Iske baad aap apne ATM Card ko kahi bhi kabhi bhi use kar sakte hai.
Isme ek baat dhyaan me rakhne wali yah hai ki kai Banks yah bhi condition rakhte hai ki pehla transaction unke apne bank ke ATM Machine se hi karna hoga. Jaise – State Bank Of India (SBI), Punjab National Bank (PNB), Bank Of India (BOI) etc
Sabhi Banks yah condition nahi rakhte hai. Isliye aapko yah pata karna padega ki yah condition aapka bank rakhta hai ya nahi aur agar rakhta hai to pehla Transaction apne bank ke ATM Machine se hi karna hoga.
Yah pahla tarika pahle sabhi Banks ke system me kaam karta tha. Is system me kuch problem yani dikkate aati hai. jaise-
- Agar ham apne ghar se dur hai ya hamara Bank ka branch ghar se dur hai to PIN lene me dikkat hoti hai.
- Kai baar PIN nahi aane par ham branch jakar khali haath wapas aa jate hai.
- Jabtak hamara PIN nahi aata hai tabtak ham us ATM Card ko use nahi kar pate hai.
In sabhi problem ko dekhkar banks ne ek new system ko adopt kar liya yah tarika aasaan bhi hai aur usme in pareshaniyo ko jhelna bhi nahi padta hai.
to chaliye ab iske dusre tarike ke bare me detail se jaan lete hai.
Inhe Bhi Jaane :-
- BOI Net Banking Ghar Baithe Online Registration Kaise Kare ?
- BOI Net Banking Activate / First Time Login Kiase Kare ?
Green PIN Generate Karke New ATM Card Ko Activate Kaise Kare ?
Yah system abhi lagbhag sabhi banks ne apna liya hai. Is process me ham khud apne ATM Card ke liye Green PIN Generate kar sakte hai. Yah Green PIN ham kahi bhi kabhi bhi generate kar sakte hai.
ATM Green PIN Generate karne ke process ko follow karte hi hamare Registered Mobile Number me Green PIN aa jata hai. Is Green PIN ko Generate karne ke baad hame us PIN ko Validate karna padta hai. PIN ko Validate karte hi hamara New ATM Card Activate ho jata hai. Iske baad aap apne ATM Card ko kahi bhi kabhi bhi use kar sakte hai.
Isme 2 baate dhyaan me rakhna hai –
- Harek bank ke Green PIN Generate karne ka alag – alag process hota hai. Inko jaanna jaruri hai tabhi aap us process ko follow karke apne ATM Card ka PIN Generate kar sakte hai. Bahut sare Banks ke Green PIN Generate karne ka process hamare is blog and YouTube Channel me hai. Aap inko search box se search karke padh sakte hai ya hamare Channel me jakar dekhkar PIN Generate kar sakte hai.
- Harek Banks ka Green PIN ko Validate karne ka process bhi alag-alag hai. Bahut sare Banks ke Green PIN Validate karne ka process bhi hamare is blog and YouTube Channel me hai. Aap inko search box me search karke padh sakte hai ya hamare Channel me jakar dekhkar PIN validate karna sikh sakte hai.
Dosto, Is process me aapko kai benefits hote hai. Jaise-
- Is Green PIN ko ham kahi bhi kabhi bhi Generate kar sakte hai isliye branch jane ki koi jarurat nahi hai.
- Isko aap baar baar Generate kar sakte hai isliye agar aapse galti se PIN kharab ho gaya ya kho gaya to koi pareshani nahi hogi.
- Isme aap turant apne ATM Card ko Activate and use karna start kar sakte hai.
To dosto aapko kaun sa process aasasn laga, hame comment karke jarur bataiyega. Aapko jo bhi Process yani tarika aasaan laga us tarike se apne New ATM Card ko Activate kar sakte hai.
Inhe Bhi Jaane :-
- BOI New ATM Card Ka Green PIN Generate And ( Validate ) Activate Kaise Kare ?
- Paytm Password Bhul Jane Par Ise Forgot Reset Kaise Kare ? New Process
New ATM Card Ko Activate Kaise Kare? Video Tutorial
Agar abhi bhi aapke man me kisi tarah ka sawal hai to hame Comment Box me likhkar bataiye, Hame aapki madad karke khushi hogi.
Kya aapne abhi tak hamare YouTube Channel “Explain Me Banking” ko Subscribe nahi kiya hai ? To abhi turant SUBSCRIBE kar lijiye aise hi kamal ke Banking se related jankariya waha bhi bhara pada hai, uska labh uthaiye.
Aapke jaise aur bhi log honge jo is problem se paresan honge isliye is Post ko apne Friends, Family Member and Social Media (Facebook, WhatsApp, Twitter…etc) me SHARE karke unki help karna bilkul na bhule. SHARE karke aap dusre Jaruratmand logon ki madad karenge. Dhanayawad
Parmod shah says
Mera ATM card apply karna hai abhi nahin aaya hai
Jitendra Kumar says
Uniun Bank Of India Ka Atm Card Bana Hai Ki Nahi Pata Kaise Lagega
EMB Team says
Union bank ke customer care se contact kare.
Neelam says
ATM card bank se aane ke kitne Dino me activate karna hota had?
Suraj Kumar says
Aap kabhi bhi activate kar sakte hai.
Ishu sing says
New atm bne k bad kitte din k andr activate kr skte h…………..?????
Suraj Kumar says
ATM card aapko milne ke baad kabhi bhi kar sakte hai.
Suraj Bharti says
Sir new atm card ko kaise activate kar sakte hai
EMB Team says
Isi post me maine bataya hai ki aap kaise apne atm card ko activate karke use karna start kar sakte hai.
Kunja bdr chhetri says
I want to create a new pin from my mobile
Suraj Kumar says
Please provide your bank name, than we can give you perfect suggestion.
Monika sharma says
me apna khud pin generate karna chahti hu bina bank jaye to plz mujhe clue batayiye pehle kya karu me takinme apna pin khud generate kar apu or mera atm card active ho jaye
Suraj Kumar says
Aap apna bank ka name bataiye uske baad hum apko solution bata payenge.
Akhlesh mishra says
Cbi bank ka new ATM pin kase banaye
Suraj Kumar says
First time apko apne branch me hi jakar pin lena hoga uske baad kabhi bhi khud se PIN banane ke liye hamara yah post padhe.
How To Set New PIN of CBI ATM Card