ATM PIN ya Debit Card PIN ek 4 digit ka number hota hai. Iske istemal se ham apne card ka use kisi bhi tarah ka transaction karne me kar sakte hai. Agar aapke pas Punjab National Bank ka ATM card hai aur aapka PNB ATM PIN isi ko pata chal jaye to wah uska galat istemal karke aapke pure savinge (Money, Paise) ko chura sakta hai. Isliye PNB apne account holders ko bolta hai ki harek person ko kam-se-kam 6 month me ek baar apna PNB ATM PIN change jarur karna chahiye.
ATM PIN change nahi karne se hone wali nuksan ki adhik jankari ke liye yaha click kare
Is post me ham aapko pnb atm pin change ya pnb debit card pin change karne ka complete information dene ja rahe hai.
PNB ATM PIN Change / PNB Debit Card PIN Change Kaise Kare?
Iska process bahut aasaan hai. Aap apne card ko lekar kisi bhi PNB ATM machine me chale jaye. Uske baad neeche bataye process ko follow kare.
- Apne pnb bank card ko waha ke machine me “SWIPE” kar de.
- Language wala screen aane par apne pasand ka bhasha select kar le.
- Ab bahut sare options aa jayenge. Inme se “PIN Change” wale option ko select kare.
- Ab “Please Enter Your PIN” likha hua aa jayega. yaha aap abhi tak jo PIN use karte the usko enter kar de.
- Iske baad “Please Enter Your New PIN” aa jayega, ab aap apne card ka jo new PIN rakhna chahte hai usko enter kar de.
- Iske baad apne New PIN ko “Re-enter” yani dubara enter kar de.
- Ab “PIN CHANGED SUCCESSFULLY” likha hua aa jayega.
Jab ATM screen me yah likha hua aa jaye iska matlab yah hai ki aapka PNB ATM PIN Change ho gaya hai. Ab aap apne new PIN ka use karke koi bhi transaction kar sakte hai.
- Punjab National Bank New ATM Card Activate Kaise Kare?
- PNB Balance Enquiry / Check Sirf 1 Missed Call ya SMS Se Kaise Kare?
PNB ATM PIN Online change bhi kiya ja sakta hai lekin uske liye aapke paas pnb net banking, pnb mobile banking hona jaruri hai. Agar aap online pnb ptm pin change karne ka process janana chahte hai to comment box me bataiye.
Aap hamare YouTube Channel “Explain Me Banking” ko Subscribe karke banking ko aasaan banane wali videos dekh sakte hai. Dhanyawad.
Leave a Reply