Hellooo Dostooo, mujhe lag raha hai ki aapka Axis Bank ATM card block ho gaya hai. Isliye aap axis bank ATM card unblock karwane ka tarika dhundh rahe hai. Is post me ham aapko axis bank debit card unblock karwane ke 2 aasaan methods batayenge. In methods ka istemal karke aap turant blocked axis bank ATM card unblock karwakar usko use karna start kar denge.
Maine bhi kai baar apna axis bank debit card 3 times wrong pin enter karke block karwaya hai. Lekin neeche bataye methods se turant apna ATM card restart karwa leta hu. Aaisa aap bhi aasaani se kar lenge.
Inhe Bhi Jaane:-
- Axis Bank ATM Pin Forgot / Reset Kaise Kare? Axis Bank ATM Pin Bhul Gaya
- ATM Green Pin Kya Hai? Iske Generation, Benefits And Features Ki Puri Jankari
Axis Bank ATM Card Unblock / Restart Karwane ke 2 Aasaan Tarike
- Automatically axis bank debit card unblock karwana.
- Axis bank ATM PIN generation ki madad se unblock karwana.
Aap pahle dono ka pura process padh lijiye uske bad decide kijiyega ki aapke liye kon sa method achcha aur aasaan hai.
1. Automatically Axis Bank Debit Card Unblock Karwana
Axis bank ne 3 times wrong PIN se blocked card ko unblock karwane ke liye ek Time Period rakha hai. Yah time period 24-72 Ghante hai. Ab agar aap apna blocked axis bank ATM unblock karwana chahte hai to aapko bas 24-72 hours tak chupchap wait karna padega. Jaise hi aapka 72 hours complete ho jayega bank ka system us blocked ATM card ko automatically unblock kar dega.
Yani ki 72 hours ke baad aap bina kuch kiye us apne debit card ko purane original PIN se use karna start kar sakte hai.
Isme problem yah hai ki bahut sare logon ko apna purana original PIN yaad nahi rahta hai. Agar aapko purana PIN yaad nahi hai to neeche bataya second method aapke kaam ka hai.
2. Axis Bank ATM PIN Generation ki Madad Se Unblock / Restart Karwana
Is method me aapko purane PIN ki jarurat nahi padegi. Iske liye aap apne axis bank account me registered mobile number, DOB and blocked card ko lekar kisi bhi Axis Bank ATM machine me chale jaye.
- Waha jakar apne blocked card ko ATM machine me “SWIPE” kar de.
- Agle screen se apna pasandida Language select kar le.
- Ab bahut sare options aa jayenge. Inme se “Set New PIN” ko select kare.
- Agle step me apna Registered Mobile Number enter karke “Press Yes” ko select kare.
- Ab apna Date Of Birth “DDMMYYYY” ke format me enter karke “Press Yes” ke option ko select kare.
- Isi ke saath aapko pascode enter karne ko bola jayega.
Jaise hi aap itna step complete kar lenge aapke registered mobile number me ek message aayega. Is message me ek 4 digit OTP likha hua rahega yahi aapka “Passcode” rahta hai. Yahi Pascode aapko ATM machine me enter karna hai.
- Jaise hi message aa jaye to usme likhe Passcode ko enter kar de.
- Isi ke saath aapko New PIN enter karne ka option mil jayega. Yahan ab aap apne blocked axis bank atm card ke liye ek new PIN soch le jo aage aapko aasaani se yaad rah sake. Ab is “New PIN” ko enter kar de.
- Ab apne New PIN ko dubara se “Re-enter” kar de.
- ATM screen me “Thankyou your transaction was successful” likha hua aa jayega.
Jaise hi ATM screen me yah likha hua aa jaye to aapka axis bank debit card unblock ho jayega. Itna process karne ke baad ab aap New PIN ka use karke us card se kisi bhi tarah ka transaction (POS transaction, Online transaction, ATM transaction) kar sakte hai.
- Axis Bank ATM Pin Generate & Activate Kaise Kare? Puri Jankari
- Axis Bank Mobile Number Register / Change Kaise Kare?
Congratulations, Ab aapne blocked axis bank ATM card unblock karwane ke dono aasaan methods ko jaan liya hai. Ab hame puri ummid hai ki upar ke kisi-na-kisi method se apna axis bank debit card unblock karwa lenge.
Dinesh Solanki says
Hii sir.
My debit card has been blocked due to some security reason beacase i did some wrong way transaction by misteck. And this time I’m out of india how can i unblock my atm card without visiting branch..
Please mail me your valuable solution on below mail address. Thanks
Regards
dinesh kumar solanki
Axis bank customer
NRI saving account
+919521510722
ds7823101@gmail.com
EMB Team says
Dear Dinesh, please contact Axis bank customer care, because they will give you proper and authentic solution. Thank You
Sinand says
Sir axis bank atm block ho gaya hai unblock keyse kare branch jana hoga ya atm machine
EMB Team says
Branch me jakar aap pata kare kaise aapka axis bank ka atm unblock hoga.
Nandkumar patel says
Sir ji mara atm bolck ho chuka hy suko unblocked karwna hy sir ji pls unbolck kr dijye sir ji
Suraj Kumar says
Koun se bank ka ATM Card hai jise unblock karwna hai?