
Kya aap Paytm Password ko bhul gaye hai ? Aur ab aap iske liye New Password set karna chahte hai ? lekin aapko iska process pata nahi hai. Tab aap is Post ko padhte rahiye, Is Post me ham aapko iske New process ke baare me detail se batane ja rahe hai.
Dosto ham sabhi jaante hai ki Paytm ab kewal ek Wallet nahi rah gaya hai balki yah ek Payment Bank ban gaya hai. Payment Bank banne ke baad Paytm ne apne Security ko badhane ke liye apne sabhi process ko badal diya hai. Isi dauran Paytm Password ko Forgot / Reset karne ke pure Process ko badal diya hai.
Iske purane process ko follow karke ab aap isko forgot / reset nahi kar sakte hai. To chaliye ab ham iske New Process ko detail me jaan lete hai.
Inhe Bhi Jaane :-
- SBI SMS Banking Ke Liye Mobile Number Register / Activate And Enquiry Kaise Kare ?
- BOI Internet Banking Ghar Baithe Online Registration Kaise Kare ?
Strong Paytm Password Kaise Banaye ?
Sabse pahle ham jaan lete hai ki jab ham iske liye new password set karenge tab hame kis tarah ka password enter karna hai jisse wah accept kiya jayega. Saath hi yah Strong bhi ho jisse hamara account secure bana rahe.
Strong Paytm Password banane ki liye apne password ko banate time neeche bataye baato ko dhyan me rakhe.
- Apna password kam se kam 10 character ka banaye. Jitna chota password hoga hackers ke liye use hack karna utna hi aasaan hota hai.
- Apne password me alphabet (a b c…….z), Number (0 1 2…..9) and Spacel Charecter (~ ! @……..&*) sabhi ko samil kare. kahne ka matlab yah hai ki aapke password me ye sabhi chije honi chahiye.
- Apna Password kisi ka Name, Nickname, Date of birth etc na rakhe. Isko guess karna aasaan hota hai.
Agar aap in baato ko dhyan me rakhkar apna Paytm Password banayenge to aapka Paytm account jyada secure bana rahega.
Agar aapne Password bana liya hai to ab aapko iske process ko follow karne ki jarurat hai.
Paytm Password Bhul Jane Par Ise Forgot / Reset Kaise Kare ?
Iske liye aap neeche bataye steps ko follow kare.
Step 1.
- Sabse pahle aap Paytm App ko khole.
- Isme aapke Right side me Profile ke icon par click kare.
- Ab “Login to Paytm” ka option aa jayega is Option par click kare.
- Is page me aapko “Forgot Password” ka option mil jayega, Is Option par click kare.

- Is Page me aapko ek Number dikhai dega. Is Number me aapko us Mobile Number se call karna hai jisse aapka Paytm Account bana hua hai.
Aap itna process nahi karna chahte hai to direct apne mobile number se is number 01203888388 par call kar sakte hai. Lekin jab Paytm is number ko badal dega tab yah kaam nahi karega.
Step 2.
Is Number me Call karne ke baad aapko call ke time me sahi option wale numbers ko pres karna hai-
- Apne bhasha ko select kare.
- Iske baad aap “Paytm Grahak hai” iske number ko press kare.
- Agle option me “Password Badalne” ke number ko press kare.
- Itna Process karne ke baad aapko bola jayega ki aapke number and Email id me ek link bhej diya gaya hai. Iske baad aap call ko disconnect kar de.
Step 3.
Iske baad aapke Mobile Number and Email id me Paytm ki taraf se ek SMS and Email aayega. Inme Password Reset ka link rahta hai.
- Aap Email ya Mobile Number me aaye link me se kisi bhi link par click kare.

- Iske baad aapse confirm kiya jayega ki aapne iske liye request kiya tha ki nahi. Aur agar kiya tha to kiske liye kiya tha. Yaha aap “No, I forgot the password of my account” ko select kare aur “Proceed” par click kare.
Step 4.
Ab aap Paytm Password Change wale page ne aa jayenge. Yaha aapko 2 box milega.

- Pahle box ” Enter new Paytm Password” me aapko apna new password enter karna hai. Aap upar bataye Strong password ke guidelines ko follow karke ek strong password create karke yaha enter kar de.
- Second Box “Confirm Password” me aapne jo bhi password pahle box me enter kiya use hi same-to-same yah enter kar de.
- Dono box me password enter karne ke baad “Proceed” par click kare.
Step 5.
Ab aapke saamne “You have successfully changed your Password” likhkar ek page aa jayega.

Yani ki aapne apne Paytm password ko safaltapurwak reset kar liya hai. Aur ab apne new password ka use karke Paytm me login kar sakte hai.
Aap isi page me mile link “Procced to Login” me click karke Login kar sakte hai. Ya fir apne Paytm App me jakar waha Login page me jakar apne New Password ki sahayta se Login kar sakte hai.
Yah Complete Process tha Paytm Password ko bhul jane par ise Forgot / Reset karne ka new Process. To aapne dekha ki kitni aasaani se aap Paytm Password ko Forgot / Reset kar sakte hai. Aur mujhe ummid hai ki ab aap aasaani se apne Password ko change karke Paytm me Login aur use kar payenge.
Inhe Bhi Jaane :-
- BOI ATM Green PIN Generate And Activate Kaise Kare ?
- BOI Net Banking Ko Activate / First Time Login Kiase Kare ?
Kya aapne abhi tak hamare YouTube Channel “Explain Me Banking” ko Subscribe nahi kiya hai ? To abhi turant SUBSCRIBE kar lijiye aise hi kamal ke Banking se related jankariya waha bhi bhara pada hai, uska labh uthaiye.
Apne Friends, Family Members ki help karne ke liye Is Post ko unko SHARE kare. Apne Social Media Friends (Facebook, WhatsApp, Twitter…etc) me unke saath bhi is Post ko Share karke apna Value badha sakte hai. Dhanyawad
Leave a Reply