Hello. friends Hamare ek regular reader ne hame Comment me pucha hai ki “ubi atm pin forgot / reset kaise kar sakte hai? Agar ham apna atm pin bhul jate hai to.
Baat ye hai ki wo apna Union Bank Of India ATM card / Debit card ka PIN bhul chuke hai. Iske karan ab wo kisi bhi tarah ka transaction nahi kar pa rahe hai. Aaise condition me har person pareshan ho hi jata hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- Union Bank Of India Me Mobile Number Register / Change Kaise Kare?
- ATM Card Expire Hone Wala Hai Ya Ho Gaya Hai, New ATM Card Kaise Milega?
Pahle mai bhi jab UBI atm pin bhul hata tha to pareshan hota tha but ab maine UBI ATM PIN Forgot / Reset karne ka aasaan tarika sikh liya hai. Aur usi ke bare me is post me aapko puri information dene ja rahe hai.
UBI ATM PIN Forgot / Reset Karne Ka Process
Ye kaam aap bina bank jaye khud se kar sakte hai. iska process 2 bhago me bata hua hai-
- UBI ATM PIN Generate karna
- Green PIN OTP se UBI atm pin Reset / Forgot karna
Chaliye in dono process ko alag-alag detail me jan lete hai.
UBI ATM PIN Generation Process
Aap apna ubi atm card lekar kisi bhi UBI ATM Machine me chale jaiye. Iska pura process wahi karna hota hai.
- Waha jake apna Debit Card ATM Machine me “SWIPE” kar lijiye.
- Agle screen me ek option “SET ATM PIN (Green PIN)” ko select kare.
- Aaye hue 2 option me abhi “OTP Generate” ko click kare.
- Ab screen me “OTP Generated Successfully” likha hua aa jayega.
Yaha ye pehla process pura ho gaya. Iske turant bad aapke registered number me ek SMS aayega. Is SMS me ek 4 digit ka OTP likha rahta hai. Isi OTP ki sahayta se aap apna ubi atm password reset kar sakte hai.
UBI ATM PIN Forgot / Reset Karna (Using Green PIN OTP)
Is OTP wale SMS ko aane ke baad neeche ka process kare.
- Dubara se apna card “SWIPE” kare.
- Fir se “SET ATM PIN (GREEN PIN)” ko select kare.
- Iske baad 2 options me se “OTP VALIDATE” ko select kare.
- Ab aapko aapka OTP Validation ke liye enter karne ko bola jayega. Yaha aapke SMS me aaye hua OTP enter kar de.
- Isi ke saath aapko “New PIN” Banane ka option milne lagega. Yaha se aap apne card ka New PIN bana sakte hai. Iske liye ek new pin sochkar enter kar de.
- Ab dubara se New PIN “Re-enter” kar de.
- Isi ke saath “PIN Change Complete” likha hua aa jayega.
Jab ye likha hua aa jaye to aap samajh lena ki aapka UBI ATM PIN Reset ho gaya hai. Ab aap apne us ubi debit card ko istemal karke koi bhi transaction kar sakte hai.
- UBI New ATM Card Activate Kaise Kare? Puri Jankari
- Wrong Pin Se Blocked UBI ATM Card Ko Unblock / Restart Kaise Kare?
Congratulations aapne UBI ATM PIN Forgot / Reset karne ka Process sikh liya hai. Meri tarah aap bhi ab apna union bank of india atm pin forgot kar payenge aur is condition me tension nahi lenge.
Agar aapko banking ke sector me kisi bhi tarh ki problem ho rahi hai to hame Comment me likhkar puch sakte hai. Saath hi agar aapka problem solve ho gaya hai to is post ko “SHARE” karna bilkul na bhule. Dhanyawad.
Leave a Reply