Dosto sunne me to lagta hai ki bank of maharashtra ek gramin bank hai jiske branch sirf maharashtra me hai. Lekin aisa nahi hai is bank ke branches pure india me harek jagah par hai. BOM hamesha apne bank account holders ke sahuliyat ka pura dhyan rakhta hai. Jaise hi is bank ko pata chala ki atm card green pin generate karne ke process se customers ko benefit hoga inhone bank of maharashtra atm pin generation and activation ka process available karwa diya.
Inhe Bhi Jaane:-
- Bank Account Address Proof Documents or Bank Account Address Change Documents Complete List
- BSBD Account Features, Benefits, Charges Ki Detail Jankari.
Is post me ham bank of maharashtra atm pin generate and activate kaise karte hai iska pura process step-by-step batayenge.
Iske process ko jaanne se pahle ham yah jaan lete hai ki iske kya-kya benefits hai.
Bank Of Maharashtra ATM PIN Generate And Activate Karne Ke Benefits.
Is process ko follow karke aap banking ke kai kaam bina branch gaye khud se kar sakte hai.
- Aap khud sebank of maharashtra new atm card activation karwa sakte hai.
- Jab kabhi apna atm pin bhul jaye tab branch ke chakkar katne ki koi jarurat nahi hai neeche ka process follow karke khud se apna atm pin forgot / reset kar v sakte hai.
- Kai baar ham galti se wrong pin enter karke debit card block karwa lete hai. Is condition me khud se apne us card ko unblock / restart karke turant use karna start kar sakte hai.
In sab facilityes ko dekhkar ab aapko iska complete process jaanne ka man jarur kar raha hoga…. Hai Naaaaaa….?????
Bank Of Maharashtra ATM PIN Generation Ke Liye Jaruri Information.
Is process ko karne ke time hamare paas kuch chijo ka hona jaruri hai. Jaise-
- Aapka bom atm card / debit card.
- Aapke bank account me registered mobile number.
Bas agar ye chije aapke paas hai to aap bilkul taiyar hai.
Bank Of Maharashtra ATM PIN Generation Process.
Iska step-by-step process neeche ham bata rahe hai.
- Kisi bhi bom atm machine me chale jaye.
- Apna card waha ke atm machine me “INSERT” ya “SWIPE” kar le.
- Abhi screen me kuch option aa jayenge. Inme se left side ke option “RE-PIN GREEN PIN REQUEST” ko select kare.
- Screen par kuch likha hua aayega. Isi screen ke “PROCESS” ko select kare.
- Turant screen par “YOU WILL RECEIVE YOUR OTP AFTER 8 HOURS” likha hua aa jayega.
Iska matlab hai ki agle 8 hours or 8 ghanto ke baad aapke registered mobile number me bank ke taraf se ek 6 digit otp wala message aayega.
Jab aapko yah otp wala message aayega uske baad bank of maharashtra atm card activation process kar sakte hai.
Bank Of Maharashtra ATM Card PIN Activation Process.
Jab aapko otp mil jaye uske baad neeche ka process aap kar sakte hai.
- Fir se kisi bhi bom atm machine me chale jaye.
- Ab usi card ko waha ke atm machine me “SWIPE” or “INSERT” kar le.
- Abhi kai tarah ke options aa jayenge. Inme se “Activate NEW PIN” ko select kare.
- Aapko otp enter karne ko bola jayega. Aapko message me jo 6 digit otp mila hai usko enter kare uske baad “CONFIRM” ko select kare.
- Abhi new pin enter karne ko bola jayega. Apne liye ek 4 digit ka pin soch le aur usko enter kar de.
- Dubara se apne new pin ke “Re-enter” karke “YES” ko press kare.
- Isi ke saath screen me “Your Transaction Is Complete” likha hua aayega.
- Saath hi ek receipt niklega jisme “PIN Has Been Changed” likha hua rahega.
Waaaaaw aapme sikhne ka gajab ka hunar hai. Aap jaise logon ke liye hi “Jon Holt” ne kaha hai.
“Sikhna Sikhane Ka Parinam Nahi Hai. Sikhna To Sikhne Wale Ki Gatiwidhi Ka Parinam Hai”
Aapne bhi apne gatiwidhi se bank of maharashtra atm pin generation and activation ka complete process sikh liya hai.
- Bank Account Me Mobile Number Change Kaise Karwaye? 4 Sabse Aasan Tarike
- Bank of Maharastra ATM Card Apply / Debit Card Apply Complete Process
Hame ummid hai ki aapka kaam aasaani se ho jayega. Aapke is post ko “SHARE” karne se kai logon ki madad ho sakti hai. Isliye is post ko “SHARE” karna bilkul na bhule.
Aapne is post ko pura padha iske liye bahut-bahut Dhanyawad.
Leave a Reply