Hello Dosto, Hamne is website me lagbhag sabhi bank ke bank account me mobile number change karwane ke process bataya hua hai. Lekin kai baar sawal ye uthta hai ki aakhir kitni tarah se ham apne bank account me mobile number register / change karwa sakte hai?
Is Post me ham aapko iske liye available sabhi options ke baare me bata denge, taki aap choos kar sake ki kon sa option aapke liye aasaan rahega. Taki easily aap apne account me mobile number change karwa sake.
Inhe Bhi Jaane:-
Basically iske liye 4 tarah ke methods available hai jinko ham neeche detail me bata rahe hai.
1. Bank Account Me Mobile Number Change Karwana Through Application Form
Yah sabse purana process hai aur yah process sabhi bank’s me available hai. Is tarike se account mobile number change karwane ka process is tarah hai-
- Visit your bank branch.
- Branch me jakar mobile number change form mange.
- Form milne par isko acchhe se fill-up kare.
- Fill-up kiya hua bank account me mobile number change form branch me submit kar de.
- Form submit karne ke 2-3 days me mobile number bank account me update kar diya jayega.
Jab number change ho jayega to iska confirmation message aapko new number me mil jayega.
2. Application (Letter) Ke Dwara Bank Account Me Mobile Number Change karwana
Kai baar jab aap apne branch me jayenge to mobile number update form available nahi rahta hai. Is condition me aap ek simple sa letter likhkar bhi apna number change karwa sakte hai. Iske liye neeche ka process follow kare-
- Sabse pahle bank account me mobile number change application likhe.
- Is letter ko lekar apne branch me visit kare.
- Branch me is application ko submit kare.
- Application submit karne ke 2-3 dino me aapka number bank account me change kar diya jayega.
Yah process bhi sabhi banko me available hai. Aur branch najdik hone par aasaan bhi hai. Upar ke dono process bahut purane hai, Ab badhte hai new age process ki taraf.
- SBI Mobile Number Registration Application Kaise Likhe? Hindi & English
- BOI Mobile Number Registration Application In Hindi & English
Bank Account Mobile Number Change Application In Hindi, Video Tutorial
3. Bank Account Me Mobile Number Online Change Karwana Through Internet Banking
Dosto abhi ke digital world me lagbhag sabhi bank internet banking se ghar baithe online apna number change karwane ka option provide karti hai. process-
- Apne bank ke internet banking site me jaye.
- Apna net banking Username & Passward se account me login kare.
- Ab “Mobile Number Update/ Change” ke option ko dhundhe. (sabhi bank ke net banking me ye option alag-alag jagah par hota hai). Jab yah option mile to uspar click kare.
- Apna New Mobile Number Enter kare.
- Confirmation ke liye dubara apna New Mobile Number Enter kare.
- Apne registered number me aaye OTP ya security password ko enter kare.
- Iske baad your mobile number change successfully ka message aayega.
Itna process ke baad 24 hours me aapka new number bank account me register kar diya jayega. Apne Bank ke complete process ke liye neeche ke link par click kare-
4. Mobile Banking Se Online Bank Account Me Mobile Number Change Karwana
Jab laptop computer ke jagah par sare function mobile me milne lage aur har persion ke paas smart phone rahne laga, tab bank’s ne mobile banking app launch kiya. In apps se aap banking ke sabhi kaam kar sakte hai. Jaise- mobile number change karwana, transaction karna …. etc
Process :-
- Apne bank ke mobile banking app ko open kare.
- Apna Username and login password se usme login kar le.
- Ab “Mobile Number Change / Update” wale option ko dhundhe. (sabhi banks ke app me yah option diffrent place par hota hai.
- Apna New Mobile Number enter kare.
- Fir se confirmation ke liye New Mobile Number Re-enter kare.
- Registered number me aaye hue secured OTP ko enter karke process complete kare.
Bank Account Me Mobile Number Change Kaise Karwaye? Video Tutorial
Is process ke baad 24-48 houres me aapke bank account me mobile number change kar diya jayega.
- ATM Pin Change Kyu Kare? Iske Reasons & Benefits Ki Detail Jankari
- New ATM Card Ko Activate Kaise Kare? How To Activate New ATM Card In Hindi?
Dosto ab aap apne account me mobile number change karwane ke 4 aasaan tarike jaan chhuke hai. Aapko inme se jo bhi pasand ho usko istemal kijiye aur apna kaam complete kar lijiye.
Isi tarah ke banking se related video tutorial ke liye hamare YouTube Channel “Explain Me Banking” ko bhi SUBSCRIBE kar sakte hai.
We hope aap apne account me mobile number register / change aasaani se karwa lenge, Isliye is post ko SHARE jarur kare. Dhanyawad.
Deepak Kumar says
Uttar Bihar gramin Bank jamuniya mobile number change karna hai
Team EMB says
Iske liye hamne ek alag se post likha hua hai usko padhe aur detail me jaane.
Rakesh Ram says
Bank of Baroda mobile n. Change
Jamal says
Aapne jo form download karne ko kaha he woh to opening account ka he
Aap bata rahe hen mobile number change karne ka
Please number change karne ka form ka jo link he woh batayen
Suraj Kumar says
Humne bahut saare banks ke mobile number change karne ka forms download karne ka post publish kiya hua hai, wo post aap dekh le.
Rajesh Ahir says
Mere canera bank a/c me phone no register nhi he
Suraj Kumar says
Canara Bank me mobile number kaise register karte hai iske upar humne alag se post likha hua hai jise aap yaha click karke padh sakte hai.
sukumar das says
upna centrel bank account ka mobile number ceng korni hain
Suraj Kumar says
Apne branch me jakar change karwa le.
MDSHABBIR says
How to write an application for mobile number change in bank account english
Suraj Kumar says
Iske upar humne alag se post likha hua hai, use padh lijiye.