Sabhi banks ki hi tarah bank of maharashtra bhi ATM card / debit card apne customers ko provide karti hai. Kya abhi tak aapko card nahi mila hai? ya fir purana card expired or blocked ho gaya hai? Is tarah ki situation me aapko bank of maharashtra atm card apply application karna padega.
Is post me aapko bank of maharashtra debit card apply karne ka pura process detail me bataya gaya hai. Last tak padhne ke baad aap bhi aasaani se ye kaam karne ke liye taiyar ho jayenge.
Inhe Bhi Jaane:-
- Application For Closing Bank Account. Bank Account Band Karne Ke Liye Application
- Gramin bank Balance Enquiry / Check Karne Ke 4 Sabse Aasaan Tarike.
How To Apply Bank Of Maharashtra ATM Card Online???
Harek person ki hi tarah sayad aap bhi online atm card apply karna chah rahe honge. Lekin abhi tak bank of maharashtra atm card apply online karne ka koi process available nahi hai. Yani agar aapke paas bank of maharastra internet banking and mobile banking hoga uske baad bhi yah kaam ghar baithe online nahi kiya ja sakta hai.
Agar future me aisa koi process bank ne banaya to ham uspar bhi post jarur se likhenge.
Bank Of Maharastra ATM Card Apply / Application Process
Chuki iske liye koi bhi online process nahi hai isliye sirf ek tarah se ye kiya ja sakta hai. Iske liye apne bank details and ek id proof lekar branch me chale jaye.
Waha bank ke employees aapko bank of maharastra atm card application form de denge. Sabse pahle aapko fillup karna padega.
Bank Of Maharashtra ATM Card Application Form Fill up Process
Isko fillup karna bahut hi aasaan hai.
- Aabse pahle aap apne branch ka name likhne.
- Ab neeche me aap apne card name likhe jo bank account me hai.
- Iske neeche me aap apne card me jo name print karwana chahte hai usko “SURNAME” “FIRST Name” “MIDDLE Name” ke format me likh de.
- Ab apna date of birth DDMMYYYY ke format me likhe.
- Iske neeche me apna address likh de. Isi address me aapka card send kiya jayega.
- Apne OCCUPATION / BUSINESS ke baare me jo bhi details dena chahe de sakte hai.
- FINANCIAL INFORMATION me apne bank account details fill up karna hai. Jaise – Account Type, Account Number, Balance, and Joint Holder’s Name.
- Agar aapke paas pahle se koi credit card ATM card hai to uske details likh de.
- Apna nationality ko tick kar de.
- Aap iske saath kon se id proof de rahe hai usse related details fillup kar de.
- Declaration ko padhkar last me apna signature kar de. Agar joint bank account hai to sabhi ke signature hona jaruri hai.
Is tarah se aapka bank of maharastra atm card application form fillup complete ho jayega. Ab iske saath apna id proof attach karke branch me submit kar de.
Aapke form ko submit karne ke 20-30 working days me ek new card bankar aapko mil jayega. Iske baad isko activate karke use karne start kar sakte hai.
Bank Of Maharashtra ATM Card Application Letter Writting
Imagin kijiya ki aap branch gaya nahi hai tab aap kya karenge ????
Aap ek simple sa application likhar ye kaam karwa sakte hai.
To,
The Branch Manager
Bank Of Maharastra
Branch Name
Subject :- Application for apply a new ATM card / Debit card.
Respected Sir,
My name is ……(name)…… holding a bank account number 1432****2341 ……(your bank of maharastra account number)…… in your branch ……(your home branch name )…… . I want to attract your branch attention that i have a lot of difficulty in money transactions and online transactions. So i want to apply a new ATM card.
I request you to issue a new ATM card for me as soon as possible, I will always be grateful for this.
Your Faithfully
Signature
Name :-
Account Number :-
Contact Number :-
Upar hamne jo format bataye hai usme aap apne bank account ke details daalkar turant apna bank of maharastra atm card application letter likh sakte hai. Jab yah letter likhna complet ho jaye tab iske saath ek id proof attach karke isko branch me submit kar de.
- Bank Account Me Mobile Number Change Kaise Karwaye? 4 Sabse Aasaan Tarike
- ATM Card Block Ho Jane Par Ise Unblock / Restart Kaise Kare? Puri Jankari
Aapke dono ko branch me submit karne ke 20-30 working days me aapke liye ek new debit card banakar bank ko diye hue address me send kar diye jayega. ye card milne ke baad isko activate karke use karna start kar sakte hai.
We hope ki aapko bank of maharastra debit card apply karne se related kafi information mil gaya hai. Aur ab ye kaam aap aasaani se kar lenge.
Agar aap isi tarah ke banking se related video tutorial dekhna chahte hai to hamare YouTube Channel “Explain Me Banking” ko SUBSCRIBE kar sakte hai. Dhanyawad.
Leave a Reply