Kya aap apne Punjab and Sind Bank ATM card ka PIN bhul gaye hai aur kya aap apne is Punjab & Sind Bank ke atm card ka PIN Forgot / Reset karna chahte hai to is post ko ant tak jarur padhe.
Dosto, kai baar aisa hota hai ki hum apne ATM Card ko bahut dino tak use nahi karte hai aur jab dubara istemal karna chahte hai to hum uska PIN bhul chuke hote hai, ya phir aur bhi bahut sare reasons ke kaaran ham apne ATM Card ka PIN bhul jate hai. Aise samay me hamare paas ATM Pin ko forgot / reset karne ka ek hi rasta hota hai. Jisko maine is post me bataya hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- Wrong PIN Se Blocked Hue ATM Card Ko Unblock / Restart Kaise Kare?
- SBI Balance Check / Enquiry Missed Call Ya SMS Se Kaise Kare?
Punjab and Sind Bank ATM Card Ka PIN Forgot / Reset Karne Ke liye Jaruri Information
Agar aap apne Punjab & Sind Bank ke ATM Card ka PIN Forgot/Reset karna chahte hai to aapke paas kuch infromation ka hona jaruri hai.
- PSB Bank ka ATM Card
- PSB Account me Registered Mobile Number
Aapke paas agar upar ki chize hai to aap taiyar hai apna ATM Pin Forgot / Reset karne ke liye.
Punjab and Sind Bank ATM PIN Forgot / Reset Kaise Kare?
Yah process bahut hi aasan hai bas aapko neeche bataye gaye steps ko acche se follow karna hai.
- Upar bataye gaye sabhi information ko lekar aap kisi bhi Punjab and Sind Bank ke ATM me chale jaye.
- Ab aap wahan ke ATM machine me apne Punjab & Sind Bank ATM Card ko “Swipe” kar de.
- Iske baad aapke samne kuch bhashayen aa jayengi, inme se aapko jo bhi pasand ho us “Bhasha ko Select” kar lijiye.
- Language select karte hi aapke samne do options aa jayega, lekin aapko isme “GREEN PIN” Wala option ko select karna hai.
- Ab phir se aapke samne 2 options aa jayega, inme se aapko abhi “OTP GENERATION” ke option ko select kar lena hai.
- Jaise hi aap is option ko select karenge aapke samne likha hua aa jayega “OTP IS GENERATED AND SENT TO THE REGISTERED MOBILE”. Iska matlab hai ki aapke ATM ke liye ek OTP generate ho gaya hai aur aapke PSB account me registered mobile number par bhej diya gaya hai.
Itna process karne ke baad aapke Punjab and Sind Bank ke Account me Registered Mobile Number par ek SMS aayega jisme aapke ATM Card ke liye 6 Digit ka OTP hoga.
Abhi aapke PSB Bank ke ATM Card ka PIN Forgot / Reset nahi hua hai, abhi aapko neeche bataye process ko follow karna hai tabhi aap apne atm card ke liye naya PIN set kar payenge.
- Jab aapke PSB registered mobile number me OTP aa jaye to aap apne Punjab & Sind Bank ATM Card ko phir se ATM Machine me “Swipe” kar de.
- Iske baad aap phir se apne manchaha bhasha ko “Select” kar le.
- Ab phir se wahi do options aa jayenge, inme se aapko phir se “GREEN PIN” wale option ko select karna hai.
- Green PIN select karte hi aapke samne phir se do options aa jayenge, lekin is baar aap “OTP VALIDATION” ke option ko select kar le.
- Iske baad aapse aapke registered mobile number me aaye hue 6 digit OTP enter karne ke liye bola jayege, to yahan par aap us OTP ko daal de aur wahi pr diye gaye “CORRECT” ke option ko select kar de.
- Ab aapko aapke Punjab & Sind Bank ke ATM Card ke liye “New PIN” enter karne ko bola jayega, to yaha par aap jo bhi 4 digit ka New PIN rakhna chahte hai use enter kar de.
- Ek baar naya ATM PIN daalne ke baad agle screen me aapse phir se wahi PIN dalne ko bola jayega, to ab yahan par aapne jo New PIN dala tha use same to same yahan “re-enter” kar dijiye.
- Do baar New ATM PIN daalte hi aapke samne likha hua aa jayega “YOUR PIN WAS SET SUCCESSFULLY” matlab ki aapke PSB ATM Card ka new pin set kar diya gaye hai.
Itna process karte hi aapka Punjab & Sind Bank ATM Card ka PIN Forgot / Reset ho jayega aur abhi abhi aapne jo pin banaya hai uska use karke aap apne is atm card ko kabhi bhi aur kahi bhi use kar payenge.
Ab mujhe asha hai ki aap jaan gaye honge ki Punjab & Sind Bank ATM Card ka PIN Forgot / Reset kaise karte hai.
Isi tarah se aap lagbhag sabhi Banks ke ATM Card ka PIN Forgot / Reset karne ka process ko jaan sakte hai. Inme se kuch Banks ke links main neeche de raha hu.
- SBI ATM PIN Bhul Jane Par Forgot / Reset Kaise Kare? Without Visiting Branch
- OBC ATM PIN Bhul Jane Par Ise Forgot / Reset Kaise Kare? Puri Jankari
- Central Bank Of India ATM PIN Forgot / Reset Kaise Kare?
Baaki Banks ke process aap upar search karke jaan sakte hai.
Agar aapko abhi bhi is Post ya Website se sambandhit koi sawal ya sujhav hai to aap hame Comment Box me jarur bataye.
Banking se related Tutorial Videos ke liye aap hamare YouTube Channel “Explain Me Banking” ko bhi Subscribe kar sakte hai, aur bahut kuch seekh sakte hai.
Agar aapko is post se kisi tarah ki bhi help hui hai to is post ko apne dosto aur social media me SHARE jarur kare, jisse kisi dusre ki madad ho sake.
Thongam says
Thank you so much