Kya aapke paas Punjab and Sind Bank ATM Card hai aur kya aap use activate karna chahte hai? Agar han to aap is post ko ant tak padhe kyonki main is post me batane jaa raha hun ki aap kaise apne Punjab & Sind Bank ke New ATM Card ke liye Green PIN generate aur use validate karke apne ATM Card ko activate kar sakte hai.
Abhi ke samay me Green Pin bahut hi useful method hai jisse aap apne ATM Card ko kahi bhi activate kar sakte hai bina apne branch ke chakkar lagaye, iske liye aapko bas apne bank ka atm machine ki jarurat padegi. Iske baad aap apne new ATM card ke liye Green PIN Generate aur use Validate karke naya PIN set kar sakte hai, aur use baad me kabhi bhi use kar sakte hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- SBI ATM PIN Bhul Jane Par Forgot / Reset Kaise Kare? Without Visiting Branch
- Wrong PIN Se Blocked ATM Card Ko Unblock Kaise Kare?
Punjab and Sind Bank ATM Card Green Pin Generate & Validate Karne ke liye Jaruri Information
Agar aap apne Punjab & Sind Bank ke ATM Card ko activate karna chahte hai to aapke paas kuch infromation ka hona jaruri hai.
- PSB Bank ka ATM Card
- PSB Account me Registered Mobile Number
Agar aapke paas ye dono chize hai to aap taiyar hai, apna atm card activate karne ke liye.
Punjab and Sind Bank ATM Activation Process
PSB Bank ke ATM Card ko activate karne ke liye hame do steps karne padte hai.
- Green PIN OTP Generation
- Green PIN OTP Validation
To chaliye ab hum yah dono steps acche se detil me jaan lete hai.
Punjab and Sind Bank ATM Green PIN Generate Kaise Kare?
Dosto yah process kaafi aasan hai bas aap neeche bataye gaye steps ko acche se follow kare-
1. Upar bataye gaye sabhi information ko lekar aap kisi bhi Punjab & Sind Bank ke ATM me chale jaye.
2. Wahan ke ATM machine me apne Punjab & Sind Bank ATM Card ko “Swipe” kar le.
3. Iske baad apke samne kuch languages aa jayenge, inme se aap apne pasandida “Bhasha ko Select” kar le.
4. Ab aapke samne kuch options aa jayenge, lekin aapko inme se “GREEN PIN” Wale option ko select karna hai.
5. Iske baad aapke samne 2 options aa jayenge, inme se aapko abhi “OTP GENERATION” ke option ko select karna hai.
6. Is option ko select karte hi aapke samne likha hua aa jayega “OTP IS GENERATED AND SENT TO THE REGISTERED MOBILE”. Iska matlab hai ki aapke ATM ka Green PIN generate ho gaya hai aur aapke PSB account me registered mobile number par bhej diya gaya hai.
Itna process karne ke baad aapke P&S Bank Account me Registered Mobile Number par ek SMS aayega jisme aapke ATM Card ke liye 6 Digit Green PIN OTP hoga.
Abhi aapka PSB atm card activate nahi hua hai, aapko is Green PIN OTP ko validate karna hoga tabhi aapka atm card activate ho payega. Iske liye neeche bataye gaye process ko follow kare.
Punjab and Sind Bank ATM Green PIN Validate Kaise Kare?
1. Jab aapke mobile me OTP aa jaye to aap apne Punjab & Sind Bank ATM Card ko phir se usi ATM Machine me “Swipe” kar le.
2. Ab aap phir se apna pasandida bhasha ko “Select” kar le.
3. Iske baad phir se wahi options aayenge, inme se aap phir “GREEN PIN” ke option ko select kar le.
4. Ab aapke samne wahi 2 options aayenge, lekin is baar aapko “OTP VALIDATION” ke option ko select karna hai.
5. OTP Validation ke option ko select karte hi aapse aapke mobile me aaye hue 6 digit Green Pin OTP ko daalne ke liye bola jayege, to yahan par aap us OTP ko enter kar de aur wahi pr right side me diye gaye “CORRECT” ke option ko select kare.
6. Iske baad aapko aapke Punjab & Sind Bank ATM Card ke liye “New PIN” enter karne ko bola jayega, to yaha par aap jo bhi 4 digit ka PIN rakhna chahte hai use Enter kar de.
7. Ek baar naya ATM PIN daalne ke baad next screen me aapse wahi PIN dubara dalne ko bola jayega, to yahan par aapne jo new pin dala tha use same to same re-enter kar de.
8. Do baar New ATM PIN daalte hi aapke samne likha hua aa jayega “YOUR PIN WAS SET SUCCESSFULLY” matlab ki aapke PSB ATM Card ka new pin set kar diya gaye hai.
Punjab and Sind Bank ATM Green PIN Generate & Activate Kaise Kare? Video Tutorial
Itna process karte hi aapka P&S Bank ATM Card Activate ho jayega aur abhi abhi aapne jo pin banaya hai uska use karke aap apne atm card ko kabhi bhi aur kahi bhi istemal kar sakte hai.
Ab mujhe aasha hai ki aap Punjab & Sind bank ke ATM Card ka Green Pin Generate aur Validate karna seekh chuke honge aur iska use karke aap apne atm card ko kabhi bhi activate kar payenge.
Isi tarah se aap lagbhag sabhi Banks ke New ATM Card Activate karne ke process ko jaan sakte hai. Inme se kuch Banks ke links main neeche de raha hu.
- SBI ATM Green PIN Generate & Activate Kaise Kare?
- Punjab National Bank ATM Green PIN Generate and Activate Kaise Kare?
- Bank of Baroda ATM Card Ka PIN Generate & Activate Kaise Kare?
Baaki Banks ke process aap upar SEARCH karke jaan sakte hai.
Agar aapko abhi bhi is Post ya Website se related koi sawal ya sujhav ho to hame Comment Box me jarur bataye. Hame aapke comment ka intezar rahega.
Banking se related Tutorial Videos ke liye aap hamare YouTube Channel “Explain Me Banking” ko bhi Subscribe kar sakte hai.
Agar aapko is post se kisi tarah ki bhi madad hui hai to is post ko apne dosto aur social media me SHARE karna bilkul na bhule.
Gursinder singh says
Hlo sir mne atm card activate kiya tha pr vo confirm nhi hua sir kya aap mujhe bta skte hai ki mera card activate kyu nhi hua
EMB Team says
Agar aapka debit card activate nahi hua hai to aap yah process fir se apply karke apna psb atm card activate kar sakte hai.
Mehak gupta says
Ye process ATM card milne ke 3 days baad krna hai na??
EMB Team says
Yah process aap PSB atm card milne ke baad kabhi bhi kar sakte hai.
Gursinder singh says
Mere atm aaye ko 15 din sae jyada ho gae hai pehle to bank saerver down chal rha tha fir mera otp nhi aa rha tha jb ab Jake otp aaya to fir bhi activate nhi hua
EMB Team says
Agar aapko problem ho rahi hai to aap kuch din baad try kare ya phir aap psb customer care se contact karke apna problem ka solution paa sakte hai.