Hello Dosto, Aapka fir se swagat hai Explain Me Banking me jahan ham aapke banking ko aasaan banate hai. Dosto iob account holders ke liye ab indian overseas bank atm pin generation and activation ka process available karwa diya hai. Agar aap iob atm card ya iob debit card use karte hai to yah post aap dhyaan se padhe aapke kai problem chutki bajakar solve ho jayenge.
Inhe Bhi Jaane:-
- Gramin Bank ATM / Debit Card Pin Change Karne Ka Complete Process
- ATM Transaction Failed Complaint Form PDF Download Here
Indian Overseas Bank ATM PIN Generation Ke Benefits
Sabse pahle aaiye jaante hai ki isse aapko kya-kya benefits hai. Iob debit card pin generation se aap neeche ke 3 kaam bina branch gaye khud se kar payenge.
- Ab aap khud se is process ko follow karke apna new indian overseas bank atm card activate kar sakte hai.
- Agar kabhi aap apna iob atm pin bhul jate hai to khud se iob atm pin generation ka use karke us iob atm pin ko forgot / reset kar sakte hai.
- 3 times wrong pin se blocked iob debit card unblock / restart bhi karwa sakte hai.
Agar upar bataye 3 me se koi bhi kaam aapko karwana hai to neeche ka process dhyaan se padhkar follow kare.
IOB Indian Overseas Bank ATM PIN Generation & Activation Process
Iske liye apna iob atm card and bank me registered mobile number ko lekar kisi bhi iob atm machine me chale jaye.
- Waha jakar apna card “SWIPE” kare.
- Language wale screen se apne pasand ka language select kare.
- Isi ke saath screen me “OTP Generated Successfully For The Card And Send To Your Registered Mobile Number” likha hua aayega.
Itna process follow karte hi aapke registered mobile number me ek 6 digit otp wala message aa jayega. Yahi aapka iob atm green pin hai. Jaise hi yah message aa jaye to neeche ka process follow kijiye.
- Dubara se card “SWIPE” kare.
- Aaye hue language me se ek language select kare.
- Agle screen me message me aaya hua 6 digit otp enter kar de aur “Confirm” button ko select kare.
- Ab aapko apne card ke liye new pin enter karna hai. Apne card ke liye 4 digit ka pin sochkar enter kar de.
- Abhi dubara se apna new pin re-enter kar de.
- ATM screen me “PIN Created Successfully” likha hua aa jayega.
Jaise hi yah likha hua aa jaye to aap samajh lena ki indian overseas bank atm pin generation ka process complete ho gaya hai.
- Indian Overseas Bank ATM Card / Debit Card Apply Kaise Kare?
- Bank Account Me Mobile Number Change Kaise Karwaye? 4 Sabse Aasaan Tarike
Isi ke saath aapka kaam bhi ho jayega. Jiske liye aap yah process follow kar rahe the.
We hope aapko indian overseas bank atm pin generate & activate karne ka pura process jaan chuke hai Isliye is post ko “SHARE” kar de. Dhanyawad.
Leave a Reply