Kya aapne apna Central Bank Of India ATM / Debit card use karte samay 3 time wrong PIN enter kar diya hai? Aur ab aapka CBI ATM card blocked ho gaya hai? jiske karan aapko tension and Paresaani ho rahi hai?
Agar iska jawab hai “HA” to aap sahi place me aaye hai. Ham abhi is post me aapko yahi batane ja rahe hai ki Wrong PIN se blocked CBI ATM card Unblock / Restart karne ke kya tarike hai. Iske bad aap apne blocked CBI debit card unblock karke usko istemal karna start kar sakte hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- Central Bank of India ATM Green Pin Generate & Activate Kaise Kare?
- IDBI Bank Balance Check Missed Call / SMS Se Kaise Kare? Puri Jaankari
3 Time Wrong PIN Enter Karne Se Central Bank Of India ATM Card Block Kyun Hota Hai?
Is tarah se ATM card block hona hamare liye accha hai ya bura ye janana jaruri hai taki ham safe rah sake.
Jab bhi koi person Central Bank Of India ATM / debit card use karte time lagatar 3 times wrong PIN enter karta hai to bank ke system ko sak ho Jata hai ki is ATM card ko jarur koi galat tarike se istemal karne ka kosis kar raha hai. Is liye bar-bar wrong PIN enter kar raha hai. Is condision me hamare 3 time wrong pin enter karte hi usko blocked kar deta hai.
Hamare anusaar yah acchi baat hai kyoki agar hamara card koi galat tarike se istemal karne ka kosis karega us time ATM card wrong PIN se block ho jayega aur hamare paise bach jayenge. Aapko kya lagta hai hame comment box me likhkar bataiye.
Wrong PIN Se Blocked CBI ATM Card Unblock / Restart Kaise Kare?
Jab bhi kisi ka CBI debit card wrong pin se block hota hai to usko activate karwane ke 2 tarike hote hai. In dono hi tariko ko ham neeche bata rahe hai.
1. Automatically CBI ATM card unblock hona
2. PIN Reset karke CBI debit card unblock karwana
Chaliye in dono tariko ko detali me jan lete hai.
Automatically CBI ATM Card Unblock / Restart Hona
Jab bhi CBI ATM card wrong PIN se blocked hota hai to Central Bank Of India ka system usko temporary block karta hai. Jo 48 hours ke liye hota hai.
Iska matlab yah hai ki is tarah se blocked atm card 48 ghanto ke baad automatically unblock ho jata hai. Agar aapko apna CBI ATM PIN yaad hai to 48 hours ke baad aap isko use karna start kar sakte hai. Iske liye aapko koi process karne ki jarurat nahi hai bas 48 hours wait karna hai.
PIN Reset Karke CBI ATM Card Unblock Karwana
Agar aapko apna cbi atm pin yaad nahi hai to aapko is dusre wale tarike se atm unblock karwana padega.
Is process ko karne ke liye apne CBI ATM Card, Registered Moblie Number and CIF Number / Client ID lekar kisi bhi Central Bank India ATM machine me jana padega.
Process:-
- Waha jane ke bad apne blocked CBI debit card ko atm machine me “Insert” kar de.
- Iske baad aaye ATM screen se apna pasand ka Language ko select kar le.
- Ab aapke saamne 2 options aayenge inme se “Forgot PIN” ko select kare.
- Ab aapko CIF No / Client ID enter karne ke liye bola jayega. Yaha apna CBI bank account ka “CIF Number / Client ID” enter kar de aur isi screen ke “Confirm” button ko select kare.
- Ab screen par likha hua aa jayega- “If you have received OTP then press continue”.
Itna process karte hi aapke registered mobile number me CBI ki taraf se ek SMS aayega. Is SMS me aapko 6 digit ka OTP likha hua mli jayega. Isi OTP ko ATM me enter karne ko bola ja raha hai.
- Jab aapko yah messsage aa jaye to is screen ke “Confirm” button ko press kare.
- Agle step me message me aaye 6 digit OTP ko enter kar de aur “Confirm” button ko press kare.
- Ab aapko new PIN enter karne ko bola jayega yaha aap apne liye ek new PIN sochkar usko enter kar de.
- Jaise hi New PIN enter karenge aapko New PIN Re-enter karne ko bola jayega. Aapne jo PIN abhi- abhi enter kiya tha usko dubara se enter kar de.
- Jaise hi aap itna process karenge “Your PIN Successfully Changed” likha hua aa jayega, Aur isi ke saath aapka blocked CBI ATM card unblock ho jayega.
Central Bank of India ATM Card Unblock / Restart Kaise Kare? Video Tutorial
Is upar wale process ko jaise hi aap complete karenge aapka CBI ATM card unblock ho jayega aur abhi- abhi banaye PIN ki sahayta se usko aap use karna start kar sakte hai.
- Bank Account Transfer Application Kaise Likhe? In Hindi & English
- UCO Bank Mobile Number Register / Change Kaise Kare?
Ab aap wrong PIN se blocked Central Bank atm card unblock karwane ke dono tarike jaan chuke hai. I hope aap apne card ko fir se restart kar payenge.
Is tarah ke situation me aur bhi bahut sare log padte rahte hai. Aap is post ko SHARE karke unki madad kar sakte hai. Dhanywad.
Leave a Reply