Hello Friends Agar aapke paas bob bank account hai aur aap internet banking use nahi karte hai to bahut badi galti kar rahe hai. Mai aisa isliye bol raha hu kyoki aap bob net banking ka use karke banking ke saare kaam ghar baite online kar sakte hai, na branch jane ka jhanjhat na time ki barbadi na number lagne ka koi dikkat aur kaam ho jata hai fatafat.
Ab kai log iska istemal isliye nahi karte hai kyoki unko bank of baroda net banking registration and activation ke process hi nahi jaante hai. Agar aap bhi isi list me hai to bilkul sahi jagah par aaye hai. Is post me aapko bob net banking registration and activation ka pura process hindi me aur aasaan lenguage me batane jaa rahe hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- BOB mPassbook Me Register Karke Apna Passbook Ghar Baithe Kaise Dekhe?
- Bank Of Baroda Balance Check Sirf 1 Missed Call / SMS Se Kaise Kare?
Aapko baas thoda dhyan se neeche bataye hue steps ko follow karna hai. Aur agle 5-7 minutes me aap bhi apna bank of baroda net banking first time registration process aasaani se pura kar lenge.
Bank Of Baroda Net Banking Registration Ke liye Jaruri Information.
- Aapka bob bank account number
- Bank account me registered mobile number
- Aapka bank of baroda atm card / debit card
Ye tino chije aapke paas hona jaruri hai tabhi is process ko complete kar payenge. Sabse pahle aap ye chije jama kar lijiye aur fir neeche ka bataya hua process step-by-step follow kijiye.
Bank Of Baroda Net Banking Registration And Activation Process.
Dosto iske liye aap dhairya rakhkar neeche ke steps ko pura karte jaiye ye bahut aasaan hai.-
STEP 1
Sabse pahle aap bob online banking ke official website __________ me chale jaye. Aapko iske home page me hi ek link- “Not registered Retail User (Click Here)” milega. Ispar click kar dena hai.
STEP 2
Ab next page me aapka ek captcha code milega. Aapko bas is code ko same-to-same iske saamne wale box me enter karke “Validate” par click kar dena hai.
STEP 3
Isi ke saath aage bob atm card / debit card enter karne wala page khul jayega.
- First wale box me apna bob card ka 16 digit number achchhe se fillup kar dijiye.
- Second wale box me apne isi card ka expiry date likh de.
- Third wale box me iske saame ke vartual keyword ka use karte hue apne usi card ka atm pin enter kar dijiye.
- Ab bari aayegi captcha code ko enter karne ki. Jo bhi code aapko dikh raha hai usko left side ke box me same-to-same enter kar de.
Jab aapka ye saara details fill ho jaye tab isi page ke “Validate” button ko click kar dena hai.
STEP 4
Abhi turant aapke number me bank ki taraf se ek sms aa jayega. Is massage me ek otp likha hua rahta hai. Aapko message me jo otp mila hai usko iske box me enter karke “Next” button ko click kar dena hai.
STEP 5
Agle page me aapko kai tarah ke details jaise- registered mobile number, address, name …. etc show karaya jayega. Agar ye sabhi details sahi hai tab neeche ke details ko fillup kijiye-
- “Type Of Facilityes” wale section se aapke net banking me jis tarah ka facility chahiye jaise- (a) view only (b) both view & transaction right. Inme se apne hisab se select kar le.
- Iske neeche me apne bank of baroda online banking ke liye 3 user id bharna padega. Agar aapka yaha diya hua user id available rahega to mil jayega.
- Iske baad apne liye ek signon password banakar usko “Enter Signon Password” wale box me enter kar de.
- Same password ko “Re-enter Signon Password” wale box me same-to-same enter kar de.
- Ab apne liye ek transaction password bana lijiye aur usko “Enter Transaction Password” wale box me enter kar de.
- Same password ko “Re-enter Transaction Password” wale box me enter kar de.
Jab upar ke sabhi details fill up ho jayenge to neeche ke “Next” button par click kare.
STEP 6
Agle page me aapko aapka bank of baroda net banking registration complete hone ka message aa jayega. Saath hi aapka user id bhi likha rahega. Aap is user id ko likhkar rakh le kyoki ye baad me kaam me aayega.
Hurrrrreeeee aapka bob internet banking registration process complete ho gaya hai. Lekin abhi aap isko use karna start nahi kar sakte hai. Agle 24 hours tak bank wale aapke details ko check karenge aur aapka online banking setup hoga.
- Bank Of Baroda Mobile Banking Register & Activate Kaise Kare?
- Bank of Baroda Me Mobile Number Register / Change Kaise Kare? Puri Jankari
Agle 24 hours ke andar aapko bank ki taraf se confirmation message aayega uske baad bank of baroda net banking first time login ka process complete karna padega. BOB net banking first time activation ka process jaanne ke liye neeche ke link ko follow kar sakte hai.
Isi tarah ke Banking se related Video tutorials dekhne ke liye hamare YouTube Channel “Explain Me Banking” Ko SUBSCRIBE jarur kare.
Ummid hai aap apna bank of baroda net banking register aasaani se kar lenge. Abhi bhi agar aapke maan me koi sawal hai to comment me likhe aur agar isse fayda hua hai to “SHARE” bhi kar de. Dhanyawad.
Leave a Reply