Dosto, Gramin bank bhi ab logo ko financial and banking services provide karne walo me agrani hote jaa rahe hai. Inhi me se ek kashi gomti samyut gramin bank bhi hai. Yah ab dhire-dhire popular hota jaa raha hai. Bahut sare logo ne isme trust dikhakar apna account khulwaya hai. Kya aap bhi inhi me se ek hai….???? Aur kashi gomti samyut gramin bank mobile number register, change karwana chahte hai?
Agle kuch minutes me aap KGSG bank me mobile number update karwane ka pura process sikh sakte hai. Iske liye bas aapko is post ko pura read kar lena hai. To der kis baat ki hai chaliye….
Inhe Bhi Janne:-
- Kashi Gomti Samyut Gramin Bank ATM Pin Forgot / Reset Kaise Kare?
- Gramin Bank Balance Enquiry / Check Karne Ke 4 Sabse Aasaan Tarike
How To Register / Change Mobile Number In Kashi Gomti Samyut Gramin Bank Online?
Agar aapke paas KGSG bank internet banking ya mobile banking hai to aap apna number online update jarur karwana chah rahe honge. Lekin hame ofsos ke saath batana pad raha hai ki abhi tak KGSG Bank mobile number online register / change karwane ka koi bhi process available nahi hai.
Yani ki aap ghar baithe Online yah kaam abhi nahi karwa sakte hai. Agar future me aisa koi tarika aaya to ham ispar jarur post likhenge.
Kashi Gomti Samyut Gramin Bank Mobile Number Register / Change Kaise Kare?
Chuki Iska koi online process nahi hai isiliye yah kaam aapko branch me jakar hi karwana padega. Iske liye aap KGSG bank passbook, new mobile number and apna ek id proof ka photo copy lekar apne branch me chale jaye. Fir neeche ka steps follow kijiye.
- Apne branch me jakar kashi gomti samyut gramin bank mobile number form mang le.
- Yah form mil jane par isko ache se fillup kar le. Form me apna account details new mobile number and other required informtion dhyaan se fillup kar le.
- Jab form completely fillup ho jaye uske baad iske saath apna ek id proof ka xerox attach kar de.
- In dono ko branch me submit kar le.
- Aapke form ko branch me jama karne ke 1-3 working days me number update kar diya jayega.
Is tarah se aapka kashi gomti gramin bank mobile number number registration complete ho jayega. Iske baad ek confirmation message bhi aa sakta hai.
Kashi Gomti Samyut Gramin Bank Mobile Number Register / Change Karwana Through Application.
Sochiye agar aap iske liye branch gaye hai aur bola jaye ki iska form available nahi hai. Is condition me kya karenge aap ….?????
Ya to aap form ke branch me aane ka wait kar sakte hai. Ya fir turant branch manager ke name par ek application letter likhkar number update karwa sakte hai. Yah letter kaise likhna hai wo ham neeche bata rahe hai.
Kashi Gomti Samyut Gramin Bank Mobile Number Change Application Letter Writting
To,
The Branch Manager
Kashi Gomti Samyut Gramin Bank
Name of Branch
Subject :- Application for mobile number change in bank account.
Respected Sir,
I am ____(write your name)____ . I have saving bank account number 2143****3412 (your KGSG bank account no.), in your branch ____(branch name)____ . My old registered mobile number is 97******79 which is i am not using presently. My new mobile number is 94******31. I want to register my new mobile number with this account.
I request you to update registered mobile number with my bank account, I will always be grateful for this.
Thanking You
Your Faithfully
signature.
Name :-
Account Number :-
New Mobile Number :-
Ho gaya isi tarah se aap bhi apne liye ek kashi gomti samyut gramin bank mobile number change application likh le. Ab iske saath, laya hua id proof laga de. Ab dono ko branch me jama kar de. Jaise hi aap application jama karenge uske 1-3 working days me number link kar diya jata hai.
- Kashi Gomti Samyut Gramin Bank New ATM Card Activate Kaise Kare?
- Gramin Bank ATM Card Apply Karne Ka Aasaan Tarika In Detail
Abhi aap KGSG bank me mobile number change register karwane ka complete process jaan chuke hai. Apne banking ko aur bhi aasan banane ke liye is website ke aur bhi post ko padh sakte hai. Dhanyawad.
Leave a Reply