
Kya aap apne punjab and sind bank me mobile number register / change karwana chahte hai? Agar “HA” to aap bilkul sahi jagah par aaye hai. Is post me aapko punjab and sind bank mobile number register / change karwane ka complete process bataya jayega.
Dosto abhi ke time me bank account me mobile number registered karwake rakhna bahut jaruri hai. Isliye aaj ham psb mobile number change karwane ka complete information dene jaa rahe hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- Punjab & Sind Bank ATM Card Apply / Debit Card Apply Kaise Kare?
- Bank Account Transfer Application Kaise Likhe? Hindi & English
Punjab And Sind Bank Mobile Number Online Register / Change Kaise Kare?
Dosto hame badi dukh se batana pad raha hai ki psb bank ne abhi tak koi aisa tarika nahi diya hai jisse aap ghar baithe psb mobile number online change karwa sakte hai.
Jab bhi yah bank aisa koi bhi process launch karega uska alag ek post ham jarur likhenge.
Punjab And Sind Bank Mobile Number Register / Change Kaise Karwaye?
Chuki iska koi online process available nahi hai isliye kewal branch jakar is kaam ko karwaya jaa sakta hai.
Iske liye aap apne psb bank passbook aur ek id proof ka xerox lekar apne branch me chale jaye. Waha jakar waha ke employees se punjab and sind bank mobile no. change form mang le. Jab aapko yah form mil jayega to isko achhe se sabhi details fillup kare.
Punjab And Sind Bank Mobile Number Change Form Fillup Process.
Is form ko fillup karne ka pura process ham neeche bata rahe hai.
- Sabse pahle isme apne branch ka name likh le
- Ab apna psb account number likh de.
- Ab jiske name par yah account hai uska name likh de.
- Is account ko kon aur kis tarah use karta hai uske bare me “Mode Of Operation” wale column me likh de.
- Aapke kitne amount (Paise) se jyada ke transaction ka sms alert chahiye wah amount likh de.
- Ab baari aati hai mobile number se related information bharne ki box ke sabse upar apna new mobile number likh de.
- Iske baad yah mobile number kiske name par hai uska name likhe.
- Yah sim kis company ka hai (ex-jio, Airtel, Vodafone, idea….. etc) usko likhe.
- Iske baad term and condition ko padh le ab neeche me apna signature, name and date likh de.
Yaha aapka yah form fillup pura ho jayega. Aap chahe to isko branch me jama kar sakte hai.
Kai baar iske saath id proof manga jata hai. Agar aapse bhi manga jaye to apna ek id proof ka xerox is form ke saath attach kar le. Fir is form ko branch me jama kar de.
Aapke is psb mobile number change form ko jama karne ke thik 2-5 dino me aapka kaam ho jayega.
Punjab And Sind Bank Mobile Number Registration / Change Karwana Through Application.
Dosto, sochiye aap branch gaye aur bola jaye ki yah form hamare paas abhi nahi hai. Aap kya karenge?
Iska simple solution yah hai ki ek chota sa application likhkar apna kaam karwa lijiye.
Punjab And Sind Bank Mobile Number Change Application Letter Writting.
To,
The Branch Manager
Punjab And Sind Bank
Name of Branch
Subject :- Application for mobile number change in bank account.
Respected Sir,
I am ____(name)____ . I have bank account number 2153****3512 (your psb account number), in branch ____( current branch)____ . My old registered mobile number is 96******24 which is i am not using presently. My new mobile number is 66******66. I want to register my new mobile number with this account.
I request you to update registered mobile number with my bank account, I will always be grateful for this.
Thanking You
Your Faithfully
signature.
Name :-
Account Number :-
New Mobile Number :-
Is aasaan process se aap bhi apne liye ek application likh le. Ab aap jo id proof ka xerox laye hai usko isme attach kar de.
In dono ko apne branch me jama karne ke 2-5 working dino me aapke mobile number bank account me register kar diya jayega.
- Blocked PSB ATM Card Unblock / Restart Kaise Kare? 2 Aasaan Tarike
- Punjab and Sind Bank ATM Green Pin Generate & Activate Kaise Kare?
Ab hame lagta hai ki aap punjab and sind bank mobile number register / change karwane ka pura process jaan chuke hai. Isliye is post ko SHARE jarur kare. Dhanyawad.
Leave a Reply