Agar aapke paas IDBI Bank Account hai to IDBI balance enquiry karne ki jarurat aapko hamesa padti hi rahti hogi. Is tarah se aap apne bank account me kitne paise abhi available hai wo jaan sakte hai.
Kyo aap apna idbi balance check karne ka sabse aasaan tarika dhundh rahe hai. Agar “HA” to is post ko padhne ke baad aapka dhundhna khatm ho jayega. kyonki abhi ham iska sabse aasaan tarika batane jarahe hai.
Inhe Bhi Jaane:-
IDBI Balance Enquiry Number (Toll Free)
Neeche ham aapko idbi balance enquiry missed call number dene jaa rahe hai. Jiska upyog karke aap turant apna idbi bank balance sirf 1 missed call karke jaan sakte hai. Ye ek toll free phone number hai isliye yah bilkul free hota hai.
IDBI Balance Enquiry Number :- 18008431122 (Toll Free)
Aapko apna bank balance check karne ke liye upar bataye number me apne bank account me registered mobile number se missed call karna hai.
Iske thodi der baad aapko bank se ek SMS aayega. Jisme aapka IDBI bank balance likha hua rahega.
IDBI Balance Enquiry SMS Number
Bahut saare banks ke tarah IDBI bank bhi sms se balance check karne ka service provide karti hai. SMS se IDBI bank balance enquiry karne ke liye neeche bataya gaya process follow kijiye.
Iske liye apne mobile me ek message type kariye. Is sms me sabse pahli capital letter me “BAL” likhe fir ek space de uske baad apna “CUSTOMER ID PIN” likh de iske baad fir se ek space dekar apna Account NUMBER likh de.
Format :- BAL <space> CUSTOMER ID PIN <space> ACCOUNT NUMBER
Example :- BAL 12345678 89623454321
Yaha par ACCOUNT NUMBER likhna optional hai.
Format :- BAL <space> CUSTOMER ID PIN
Example :- BAL 12345678
Upar batay dono me se kisi bhi tarike se message type karke isko apne IDBI bank me registered mobile number se iss sms ko idbi balance enquiry sms number 9820346920 ya 9821043718 me se kisi bhi number me bhej de.
aapke sms ko bhejne ke thodi der baad reply me bank ki taraf se aapko ek SMS aayega. Jisme aapka IDBI bank balance likha hua mil jayega.
- Wrong Pin Se Blocked Hue ATM Card Ko Unblock / Restart Kaise Kare?
- Bank Of India Account Me Mobile Number Register Kaise Kare?
To aapne dekha IDBI balance enquiry missed call and sms se karna kitna aasaan hai. Ab aapko apna balance janne ke liye koi tension lene ki jarurat nahi hai.
I hope aapko is post me puri jankari mil gayi hai. Isliye is post ko SHARE karna bilkul na bhule. Dhanyawad.
Leave a Reply