Kya aapka Bank Account Bank Of India me hai ? Aur aap BOI me mobile number register karwana chahte hai ? to is post ko padhiye is Post me aapko “BOI Me Mobile Number Register Kaise Kare ? How to register mobile number in BOI account in Hindi ?” par detail jaankari mil jayegi.
Dosto, Abhi ke time me hamara mobile number Bank account me registered hona jaruri hai. Bank account me mobile number registered hone se kai tarah ke benefits hote hai. jaise –
- Isse aap apne BOI Account se related balance enquiry, mini statement and aur bhi bahut sari jankari ghar baithe le sakte hai.
- Agar aap Net Banking, mobile banking ka use ya kahi bhi ATM Card se payment karna chahte hai to aapke paas BOI registered mobile number hona jaruri hai.
Isliye agar aapne abhi tak apna mobile number BOI Account me registered nahi karwaya hai to jaldi se karwa lijiye. Aap yaha par 2 condition me ho sakte hai.
- Aapne abhi tak BOI me Mobile Number Register hi nahi karwaya hai.
- Aapne apna koi mobile number registered karwaya to tha lekin wah mobile number abhi aapke paas nahi hai.
In dono hi condition me BOI me Mobile Number Register karwane ke liye kewal 1 option Bank Of India apne customers ko deta hai. Aur yah 1 option BOI Branch me jakar apne mobile number register karwana hai.
Aap soch rahe honge ki agar yah online ho jaye ya ATM se ho jaye to achha rahta. Lekin abhi tak Bank Of India ne aisi koi facility nahi provide kiya hai. Agar future me aisi koi facility aai to uske bare me bhi ham aapko bata denge.
To ab aap samajh chuke hai ki aapko BOI me mobile number register karwane ke liye Bank ke Branch me hi jana padega. Ab aap soch rahe honge ki waha jate time kya-kya lekar jaye.
Inhe Bhi Jaane :-
- BOI Net Banking Ghar Baithe Online Registration / Apply Kaise kare ?
- Bank Of India Net Banking Activate / First Time Login Kiase Karte ?
BOI Me Mobile Number Registration Ke Liye Kya-Kya Lekar Jaye ?
Iske liye aapko apne saath kuch document bhi lekar jana padega aur application ke saath use bhi jama karna padega jaise-
- Apna Aadhaar Card ka photo copy jama karna jaruri hai.
- Aap apna Bank Passbook bhi lekar jaye jisse apna detail aap sahi sahi fill up kar sake.
To chaliye ab ham jaan lete hai ki BOI Branch se Bank Of India me mobile number kaise register karwa sakte hai.
BOI Me Mobile Number Register Kaise Kare ?
Dosto jab aap apne BOI Branch me Mobile Number registration ke liye jayenge tab aapke paas 2 option rahta hai.
- BOI me Mobile Number registration form fill up karke jama karna. and
- Dusra 1 simple paper me apne mobile number registration ke liye application likhkar jama karna.
Is post me ham ye dono tarike aapko batayenge.
1. Updation Form Se BOI Me Mobile Number Register Karwana
Iske liye jab aap Bank Of India ke branch me jayenge to waha ke employee ke dwara aapko ek updation form diya jayega ( neeche image dekhe ). Aapko bola jayega ki isko achhi tarah se fill up karke jama karna hai.
To chaliye is form ko fill up kar lete hai.
BOI Mobile Number Registration Form Fill up Kaise kare ?
- Sabse pahle aap apna full name jo aapko BOI account me hai use likh de.
- Apna Date Of Birte bhi likh de.
- Aapka bank account jis bhi branch me hai us branch ka name likh de.
- Apna Bank Of India ka account number yaha likh de.
- Ab sidha aap Mobile Number wale column me aa jaye. Is column me aap jis bhi mobile number ko register karwana chahte hai usko likh de.
- Agar aap apna email id register karwana chahte hai to use 8 no. column me likh de.
- Ab apna Aadhaar Number ko 10 no column me likh de. Chuki aadhaar card ka xerox jama karna jaruri hai isliye iska number bhi likhna jaruri hai.
- Ab sidha neeche aa jaye aur jis date ko aap yah form jama karenge uska date likh de, aur uske neeche us jagah ka name likh de.
- Aapke bank account me jaisa signature hai same usi type ka signature yaha kar de.
Bas ho gaya aapka BOI mobile number registration form fill up complete. Ab bas iske saath apne aadhaar card ka xerox ko self attested karke attach kar de. Aur ye dono apne BOI branch me jama kar de.
Inhe Bhi Jaane :-
- BOI New ATM Card Ka PIN Generate And Activate Kaise Kare ?
- BOI ATM PIN Change Kaise Kare ? Detail Jaankari
2. BOI Me Mobile Number Registration Ke Liye application Form likhna.
Dosto kai baar jab ham is tarah ke problem branch me batate hai to hame bola jata hai ki iske liye form abhi available nahi hai. Aap iske liye application bhi likhkar jama kar sakte hai, isse aapka kaam ho jayega.
Iske liye aap ek simple paper me application likh sakte hai jo Branch Manager ke name se hoga. Is application me aap apna mobile number and aadhaar number ke saath apna account number ke details add kare. Is tarah se ek simple sa application aap likh sakte hai.
Kai aise log bhi hote hai jinko application likhne me pareshani hoti hai. Agar aapko bhi pareshani ho rahi hai to aap neeche bataye gaye sample application ko follow kar sakte hai. Ab mai bata deta hu ki agar aisi kisi condition me aap ho to application kaise likhenge. Mai iske liye neeche ek sample application likh raha hu isme aap apne detail add kar de.
सेवा में ,
श्री मान शाखा प्रबंधक महोदय
बैंक ऑफ़ इंडिया ( ब्रांच का नाम )
विषय :- मोबाइल नंबर रजिस्टर करवाने हेतु
महाशय ,
मेरा नाम ( आपका नाम ) है | मेरा बैंक अकाउंट नंबर ****-****-**** ( आपका अकाउंट नंबर ) इस ब्रांच में है | मेरा मोबाइल नंबर 91********** ( आपका मोबाइल नंबर ) है , मै इस मोबाइल नंबर को अपने बैंक अकाउंट के साथ रजिस्टर करना चाहता हूँ | मै अपना आई.डी. प्रूफ इस आवेदन के साथ जमा कर रहा हूँ |
अतः श्री मान से अनुरोध है की मेरे इस मोबाइल नंबर को मेरे बैंक अकाउंट के साथ रजिस्टर करने की कृपया करें |
आपका विशवासी
Signature
Name :-
Account Number :-
Mobile Number :-
Yah application aap kaise likh sakte hai uska kewal ek udaharan hai. Aap apne anushar jaha chahe jaise bhi chahe badlaw karke is Application ko likh sakte hai.
Jab aap is application ko likh lenge tab iske saath apne aadhaar card ka xerox ko self attested karke attech kar de. Ab ye dono apne BOI branch me jama kar de.
Bank Of India Me Mobile Number Register Kaise Kare ? Video Tutorial
Aap upar bataye dono me se kisi bhi Form ya Application ko Branch me jama kar denge tab 1, 2 dino me ispar action liya jayega. Iske baad aapke diye hue mobile number ko BOI Account ke saath registered kar diya jayega.
Jab yah process complete ho jayega tab aapke diye hue mobile number me ek confirmation message bhi aayega. Ya fir jab aapke bank account ki activity ka SMS alert aapke number me aane lagega. In dono me se koi bhi activity jab ho jaye tab aap samajh lena ki aapka mobile number registered ho gaya hai.
To aapne dekha ki BOI me Mobile Number Register karwana utna mushkil nahi hai jitna ham sochte hai. To ab aap jaiye aur is process ko karke apna number register karwa lijiye.
Inhe Bhi Jaane :-
- SBI SMS Banking Me Mobile Number Register & Enquiry Kaise Kare ?
- BOI Internet Banking Transaction Password Ke Liye Apply Kaise Kare ?
Kya aapne abhi tak hamare YouTube Channel “Explain Me Banking” ko Subscribe nahi kiya hai ? To abhi turant SUBSCRIBE kar lijiye aise hi kamal ke Banking se related jankariya waha bhi bhara pada hai, uska labh uthaiye.
Apne Friends, Family Member ki help karne ke liye Is Post ko unko SHARE kare. Apne Social Media Friends (Facebook, WhatsApp, Twitter…etc) me unke saath bhi is Post ko Share karke apna Value badha sakte hai. Dhanyawad
Sunil kumar says
Mobile number change karna hai
Suraj Kumar says
Is post me bataye process ko follow kare.
Deepak kumar says
New ATM card banana hai
Suraj Kumar says
Iske liye humne alag se post likha hua hai use padh lijiye.
MaheshPradhan says
Mera mobile number link karna hai
Suraj Kumar says
Is post me bataye process ko follow kare.
Priyanka pathak says
Sir mera account Jharkhand me h or Mai av vanars me hu to kya yha se mob.no.register ho jayega??
Suraj Kumar says
Yes, agar aapke pass BOI ka net banking hai to aap BOI Mobile number change / register kar sakte hai.
Vikas Yadav says
Sir Mera khata link hai fhir bhi aadhar se paisa nahi nikl Raha hai
Suraj Kumar says
contact Your Branch