Gramin bank me aryavart bank ka name uttar pradesh me kaphi popular hai. Yah bank allahabad up gramin bank and gramin bank of aryavart ko merge karke banaya gaya hai. Isi ke saath yah ek bahut bada gramin bank ban chuka hai. Kya aap bhi is bank ke customer hai…??? Aur aryavart bank mobile number register, change karwane ka process jaanna chahte hai????
Abhi ham aapko is post me step-by-step process barane jaa rahe hai jisse aap aasaani se aryavart bank me mobile number change / register karwa lenge.
Inhe Bhi Jaane:-
- Bank Account Transfer Application Kaise Likhe? In Hindi & English
- Bank Account Address Proof Documents Complete List
How To Register / Change Mobile Number In Aryavart Bank Online
Abhi tak aryavart bank me online mobile number registration, change karwane ka koi process available nahi hai. Yani agar aapke paas aryavart bank internet banking and mobile banking dono available hai tab bhi ghar baithe isko online nahi kar payenge.
Hame bhi is tarah ke kisi process ka intijar rahega. Jaise hi koi online tarika aayega ham tarant is par post likhenge.
Aryavart Bank Mobile Number Register / Change Kaise Karwaye?
Chuki isko koi bhi online method nahi hai isliye yah kaam offline branch se karwana padega. Iske liye apna passbook, new mobile number and ek id proof ka photo copy lekar branch me visit kare. Waha jakar neeche ka process follow kare.
- Branch me jakar aryavart bank mobile number change form mang le. Yah form waha aasaani se mil jayega.
- Form mil jane ke baad isko dhyaan se fillup kar le. Is form me apna bank account details, new mobile number and other details achchhe se fillup kar le.
- Ab is fillup kiye hue form ko apne branch me jama kar sakte hai. kabhi-kabhi iske saath id proof ka xerox manga jata hai. Is condition me apna id proof and form dono ko attach karke branch me submit kar de.
- Aapke form ko submit karne ke 1-2 working days me aapka number bank account me update kar diya jayega.
Is tarah se aasaani se aap apne aryavart gramin bank me mobile number change, register karwa lenge.
ATM Card Block Hone Par Ise Unblock / Restart Kaise Kare?
Aryavart Bank Mobile Number Change / Register Kaise Karwaye Through Application.
Dosto, kai baar dekha gaya hai ki branch me jane par form available nahi rahta hai is condition me aap ek simple sa application letter likhkar turant yah kaam karwa sakte hai.
Aryavart Bank Mobile Number Change Application Letter Writting.
To,
The Branch Manager
Aryavart Bank, Name of Branch
Subject :- Application for mobile number change in bank account.
Respected Sir,
My name is ____(name)____ . I have saving bank account number 2497****7942 (your aryavart bank a/c no.), in your branch ____(current branch name)____ . My old registered mobile number is 99******12 which is i am not using presently. My new mobile number is 68******12 (your new mobile number). I want to register my new mobile number with this account.
I request you to update registered mobile number with my bank account, I will always be grateful for this.
Thanking You
Your Faithfully
Signature.
Name :-
Account Number :-
New Mobile Number :-
Isi tarah aap bhi simple sa aryavart bank mobile number change application likh le. Iske baad letter ke saath apna id proof ka photo copy laga de. Iske baad dono ko apne branch me submit kar de.
Aapke dono ko submit karne ke 1-2 working days me mobile number link kar diya jayega.
- Gramin Bank Balance Check / Enquiry Karne Ke 4 Sabse Aasaan Tarike
- Gramin Bank ATM Card Apply / Application Process In Detail
To ab aapne aryavart bank mobile number register, change karwane ka pura information le liya hai. Hame ummid hai ki aap ye kaam ab aasaani se karwa lenge.
Hame comment box me bataiye ki aapko is bank se related aur kya jaanna hai. Ham jaldi-se-jaldi uspar post likhne ki kosis karenge.
Isi tarah ke banking se related Video Tutorial dekhne ke liye YouTube Channel “Explain Me Banking” ko jarur se SUBSCRIBE kar le. Dhanyawad.
Leave a Reply