
Namaskar Dosto, Andhra bank ek jana pahchana name hai. Jo banking ke sath hi kai tarah ke financial services provide karta hai. In banking and financial services ka benefit lene ke liye lakho logo ne is bank me apna bank account khulwaya hua hai. Inhi banking services me se ek service andhra bank ATM Card ya Andhra bank debit card bhi hai. Iska istemal karke ham kai tarah ke transaction, Pos transaction badi aasaani se kar pate hai.
I hope aap bhi Aadhra bank ke Customer hai. Kya aapka Andhra bank ATM card expire kar gaya hai? ya fir abhi tak aapne appne liye ek bhi card nahi liya hai? ya Andhra bank chip debit card na hone ke karan purana card block ho gaya hai? Agar inme se kisi bhi sawal ka jawab “HA” hai to aapko Andhra bank ATM apply karna padega. Iske baad aapko bhi new card mil jayega.
Inhe Bhi Jaane:-
- Andhra Bank Balance Enquiry Number, Andhra Bank Balance Check Through Missed Call
- Kisi Bhi Bank Ka ATM Card Unblock / Restart Kaise Kare?
Is post me ham aapko Andhra bank ATM apply / Debit card apply karne ka complete process batane ja rahe hai.
Andhra Bank ATM Apply / Debit Card Apply Karne Ke Tarike.
Is bank ke new card ke liye application karne ke 2 aasaan tarike hai.
- Online andhra bank ATM card Apply karna.
- Branch se andhra bank debit card apply karna.
Agar aap Online andhra bank atm card apply karna chahte hai to aapke paas net banking or mobile banking hona chahiye. Chuki sabhi ke paas ye services nahi hoti hai isliye aaj ham offline wala complete process batane ja rahe hai.
Andhra Bank ATM Apply / Debit Card Apply Kaise Kare?
Branch ke dwara bhi apna debit card apply karna bahut aasaan hai. Iske liye aap apne bank ke branch me chale jaye. Waha jane par aapko waha ke employees ek Andhra bank debit card application form denge. Ab bas aapko is form ko achchhe se fillup karke jama karna padega.
Andhra Bank ATM Application Form Fill Up Complete Process
Jab aapko yah form mil jaye jo neeche image me dikh raha hai tab usko neeche bataye tarike se achhe se bhar le.
- Sabse pahle (New / Renewal / Replacement) me se apne option ko tick kar de.
- Ab apne branch ka name likh de.
- Apna “Full Name” capital letter me likh de. Yaha aapke Andhra Bank account me jo name likha hai usko hi likhna hai.
- Aapka jo “Permanent Address” hai usko pura likh de.
- Aap apna ATM PIN jis Address me mangwana chahte hai, us Addres ko yaha pura likhna hai.
- Apna “Mobile Number” likh de.
- Aapka “Place Of Birth” jo bhi hai usko likh de.
- Aapke Mother ka jo Surname hai usko yaha likh de.
- Apna valid “E-mail id” jo bhi hai usko yaha fill kar de.
- Apne andhra bank ATM card me jo name likhwana chahte hai usko yaha likh de.
- Aapka jo bhi andhra bank primary account number hai uska detail branch name ke saath fill up kar de.
- Agar aapke paas secondery Account number hai to uska detail bhi bhar sakte hai.
- Additional Information me apna “Date Of Birth and Wedding Anniversary” Date likh sakte hai.
Iske baad Declaration ko padh sakte hai aur uske baad apna Signature kar de.
Iske second page me aapko kuch term condition likha hua mil jayega. Inko aap chahe to padh sakte hai. padhne ke baad second page ke neeche Date likhkar Signature karna rahta hai.
Andhra Bank ATM Card Apply Kaise Kare? Video Tutorial
Bas aapka yah Aadhra bank ATM application form fill up pura ho jayega. Is form ko ab aapko apne branch me jama karna hai.
- Bank Account Mobile Number Change Application Kaise Likhe? Hindi & English
- ATM PIN Change Kyun Kare? Iske Reasons & Benefits
Aapke is form ko jama karne ke bad lagbhag 15-30 dino me ek new ATM card bankar aapke diye hue Address me aa jayega. Is new atm card ko activate karne ke baad use karna start kar sakte hai.
Ab hame lagta hai ki is topic par aapko complete information mil gaya hai aur aap apna andhra bank atm apply karne ke liye puri tarah se taiyar hai.
Isi tarah ke banking se related videos ke liye aap hamare YouTube Channel “Explain Me Banking” Ko bhi Subscribe kar sakte hai.
Is information ka labh uthaiye aur apne friends ke help ke liye is post ko unke saath SHARE jarur kare. Dhanyawad.
Leave a Reply