Agar aap Dena Bank ATM card ya dena bank debit card use karte hai to yah aapke liye bahut importent jaankari hai. Kyonki is post me hamne dena bank atm pin generation and activation ka pura process easy language me bataya hai. Isse aap kai tarah ke kaam aasaani se aur bina branch me gaye khud se kar sakte hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- Bank Account Me Mobile Number Change Kaise Karwaye? 4 Aasaan Tarike
- Gramin Bank Balance Enquiry / Check Karne Ke 4 Sabse Aasaan Tarike
Dena Bank ATM PIN Generation Ke Benefits
Dosto isse aap kai tarah ke kaam khud se kar sakte hai. Jaise-
- Apna dena bank new ATM card activate khud se karwa sakte hai.
- Agar apna ATM PIN bhul gaye hai to khud se is dena bank ATM PIN forgot / reset kar sakte hai.
- 3 times wrong pin se blocked dena bank ATM card unblock / restart bhi khud se kar sakte hai.
Upar bataye 3 kaamo ke liye pahle branch ke chakkar lagane padte the. Lekin ye sabhi kaam ab aap neeche ka process se khud se kar lenge. To chaliye process bhi jaan lete hai-
Bank Account Address Proof Documents / Address Change Documents Complete List
Dena Bank ATM PIN Generation & Activation Easy Process
Is kaam ke liye apna card and registered number lekar kisi bhi dena ATM machine me chale jaye.-
- Waha jaakar apna card “SWIPE” kare.
- Aaye options me se “PIN GENERATION” ko select kare.
- Abhi 2 option me se “SELECT OTP GENERATION” ko press kare.
- Ab apna registered mobile number enter karke “CORRECT” ko select kare.
- ATM screen me “OTP SENT TO REGISTERED MOBILE” likha hua aa jayega.
Iske turant baad mobile me ek message aa jayega. Isme ek 6 digit ka OTP lilkha rahta hai. Jab yah OTP wala message mil jaye to aage ka process kare-
- Fir se usi card ko “SWIPE” kare.
- “SELECT PIN GENERATION” ko press kare.
- Abhi aaye hue 2 option me se “SELECT OTP VALIDATION 4 PIN SET” ko press kare.
- Ab aapke number me aaye 6 digit OTP enter karke “Correct” ko press kare.
- Abhi New PIN Enter karne wala screen aa jayega. Yaha apne dena bank card ke liye 4 digit PIN sochkar enter kar de.
- Isi New PIN ko dubara se enter yani Re-enter kar de.
- Screen me “YOUR PIN WAS SET SUCCESSFULLY” likha aa jayega.
Waaaaaah jaise hi screen me ye aa jaye waise hi aapka dena bank debit card pin generate and activate karne ka pura process ho jayega.
- Dena Bank Mobile Number Register / Change Kaise Kare?
- ATM Card Unblock Application In Hindi & English
Upar baraye 3 me se kisi bhi kaam ke liye aap is dena bank atm pin generation process ka istemaal kar sakte hai. Aur hame ummid hai ki aapko yah process achchhe se samajh me aa gaya hai. To ab der kis baat ki hai jaiye aur apna kaam haste-haste pura kar lijiye.
Aap hamare saath sabhi social media me “Explain Me Banking” search karke jud sakte hai. Dhanyawad.
Leave a Reply