Hello Friends ATM card or Debit card ke khobiyo se har koi parichit hai. Iske aane se ham sabhi jab chahe, jahan chahe waha ATM transaction, Online transaction & Po.S. transaction kar pate hai. Isiliye abhi har chota-bada bank apne account holders ko ATM card provide kar rahi hai. Agar aap CG gramin bank ke customer hai to aap bhi chhattisgarh rajya gramin bank atm card apply karke is facility ka labh utha sakte hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- Bank Account Mobile Number Register Application Kaise Likhe? Hindi & English
- Wrong Pin Se Blocked Hue ATM Card Ko Unblock / Restart Kaise Kare?
Ab agar aap soch rahe hai ki chhattisgarh rajya gramin bank debit card apply karne ka process kya hai? to is post me aapko iska complete information detail me mil jayega.
Chhattisgarh Rajya Gramin Bank ATM Card Apply Kaise kare?
Iske liye aap CG gramin bank passbook ko lekar apne branch me chale jaye. Waha jakar bank ke employees ko bole mujhe ATM apply karna hai. Iske baad wo aapko chhattisgarh rajya gramin bank ATM application form de denge. Ab bas aapko is form ko achchhe se fill-up karna padega. Chaliye ham aapko is form ko sahi se fill-up karna sikhate hai.
Is chhattisgarh gramin bank ATM card apply form ko neeche ke image me dekh sakte hai.
- Sabse pahle aap apne branch ka name likh de.
- Iske right side me ho sake to apna ek photo laga de.
- Iske baad aap apne CG gramin bank debit card me jo Name chapwana chahte hai usko likh de.
- Apne gender ke aage tick kar de.
- Ab aap chahe to apna PAN Number likh sakte hai.
- Bank account me registered apna Date Of Birth “DDMMYYYY” format me likh de.
- Iske neech aapka jo Residential Address hai usko acchhe se likh de. Isi column me apna ek active Mobile Number jarur se likhe.
- Ab baari aati hai account details dene ki. Yaha aapke paas jis type ka bank account hai Jaise- Saving bank account, Current Bank account, or KCC bank account uske saamne apna Account Number likh de.
- Iske neeche ke Ghosna ko aap padh sakte hai. Isse aapko term and coditions pata chal jayega. Inko padhne ke baad neeche me place ka name likhkar Date mention kar de.
- Last me aap apna full signature kar de.
- Iske neeche ke jo options hai wo Bank Use ke liye hote hai. Inko touch mat kijiega.
Ho gaya na aapka chhattisgarh rajya gramin bank ATM card apply form fill-up complete.
Ab is bhare hue form ko branch me submit kar dijiye. Aapke is form ke jama karne ke 15-30 dino ke andar aapka CG gramin bank debit card bankar aapko mil jayega.
Kai baar aisa hota hai ki branch me yah ATM card application form available nahi rahta hai. Is situation me form ke jagah par chhattisgarh gramin bank ATM card apply karne ke liye application (letter) bhi likhkar submit kar sakte hai.
Chhattisgarh Rajya Gramin Bank ATM Card Apply Application In Hindi
सेवा में,
श्री मान शाखा प्रबंधक महोदय
छतीसगढ़ राज्य ग्रामीण बैंक, शाखा का नाम
विषय :- नया एटीएम कार्ड अप्लाई करने हेतु आवेदन
महाशय,
सविनय निवेदन यह है कि मैं ……(आपका नाम)…… आपके बैंक का एक खाताधारक हूँ | मेरा खाता संख्या 2431****2431 (आपका खाता संख्या) आपके इस शाखा ……(शाखा का नाम)…… में है | मेरे पास ए. टी. एम. कार्ड ना होने के कारण मुझे पैसों के लेन – देन और ऑनलाइन ट्रांजेक्शन में काफी कठिनाई होती है | इस कारण से मैं अपनें इस खाते में एक नया एटीएम कार्ड अप्लाई करना चाहता हूँ |
अतः श्री मान से अनुरोध है की मुझे जितनी जल्दी हो सके एक नया एटीएम कार्ड | डेबिट कार्ड प्रदान करने की कृपा करें | इसके लिए मै सदा आपका आभारी बना रहुँगा |
आपका विश्वासी
हस्ताक्षर
नाम :-
खाता संख्या :-
मोबाइल नंबर :-
Bas ho gaya aapko yah application bhi likhna complete. Aapke is letter ke ya upar ke form ke submit karne ke 15-30 days ke andar aapka chhattisgarh rajya gramin bank debit card bankar aapko mil jayega.
- New ATM Card Ko Activate Karke Use Karna Start Kaise Kare?
- Bank Account Transfer Application Letter Kaise Likhe? Hindi & English
Kitnaa Aasaan hai is gramin bank me ATM card appliy karna. Hame puri ummid hai ki aap yah kaam kar lenge. Is post ko pura padhne ke liya Dhanyawad.
Isi tarah ke Banking se related video tutorials ke liye aap hamare YouTube Channel “Explain Me Banking” ko bhi Subscribe kar sakte hai.
Gulab ram says
Gramin bank
Gulab Ram says
Hame ATM card ka nambar cha hiye
Nirbhy Kumar nayak says
ATM card chahiye chattisgarh rajya gramin Bank
Team EMB says
Is post me maine detail me bataya hai use aap acche se padhe aur apna atm card apply kar le.
Pratap says
Atm. Chaiye
Tushar yadu says
Bhai Mai 17 Saal Ka hu
ATM card without name print
Kitne din me mil Jata hai or Kitna
Paisa dena padta hai
Team EMB says
Without name ka atm card to turant mil jayega. Lekin aap pata kar le ki aapka bank minor ko atm card issue karte hai ya nahi.
Nirbhy Kumar nayak says
Sar mujhe atm card chahiye
Team EMB says
Is post me maine detail me bataya hai use aap acche se padhe aur apna debit card apply kar le.