Dosto agar aap Bank Of India ( बैंक ऑफ़ इंडिया ) ke Net Banking ka use karte hai, to aapko pata hi hoga ki isse kisi bhi tarah ka transaction karne ke liye hame BOI Transaction Password ki jarurat padti hai.
Agar aap BOI Net Banking se transaction nahi kar paa rahe hai to aap transaction password ke liye turant apply karke ise mangwa sakte hai. Iske baare me detail se jaanne ke liye Yaha click kare.
Kai log BOI Transaction Password milte hi use direct use karene ki kosis karte hai, aur jab usse transaction nahi kar pate hai to pareshan ho jate hai. Jaise hi hame yah password milta hai use sabse pahle Activate / Enable karna padta hai. Bina activate kiye hue yah password hamare kisi kaam ka nahi hota hai.
Agar aapne bhi apne BOI Transaction Password ko mangwa liya hai to is Post ko padhte rahiye. Is Post me ham “BOI Transaction Password Activate / Enable kaise kare ? How to Enable / Activate BOI Transaction Password In Hindi ?” yani BOI transaction Password Activation ke Complete Process ko detail me batane jaa rahe hai.
BOI Transaction Password Activate / Enable Karne Ke Tarike
Aap BOI Transaction Password ko 2 tariko se activate / enable kar sakte hai.
- Isko ghar baithe Online Activate kiya ja sakta hai.
- Kisi bhi Bank Of India ke branch me jakar bhi ise Activate kiya ja sakta hai.
Is post me ham iske sabse aasaan yani Transaction Password ko Online Activate karna batayenge. Saath hi iske baad aap by post aaye hue transaction password ko change karke kaise apne liye ek strong password banayenge iske bare me bhi batayenge. Isse aap safely apne net banking se transaction kar payenge.
Inhe Bhi Jaane :-
- Bank Of India Me Apna Mobile Number Register Kaise kare ?
- Wrong PIN Se Blocked Hue ATM Card Ko Unblock / Restart Kaise Kare ?
Online BOI Transaction Password Activate Karne Ke Liye Jaruri Information
Agar aap ise Online activate karna chahte hai to iske liye apake paas kuch information ka hona jaruri hai. Jaise-
- BOI Net Banking User Id
- BOI ATM Card / Debit Card ke details jaise – Card Number, ATM PIN, ATM Expiry Date etc
- Post se aaya hua Transaction Password.
Agar aapke paas upar bataye hue details hai to aap taiyaar hai. Chaliye ab iske process ko detail me jaan lete hai.
BOI Transaction Password Activate / Enable Kaise Kare ? Online Method
Yah bahut hi aashan process hai iske liye bas neeche bataye hue process ko follow kare.
Step 1.
- Sabse pahle aap Bank Of India website https://www.bankofindia.co.in me jaye.
- Is website me jaane ke baad aap isme thoda neeche jaye waha ek section “Internet Banking” ka milega. Iske neeche aapko Retail and Corporate 2 options milenge. aapka jis bhi tarah ka Internet banking hai usme click kare.
Step 2.
Ab aap BOI Internet Banking ke official website me aa jayenga . Yaha aapko ek option “FORGOT PASSWORD” milega ispar click kare.
Step 3.
Ab aapke saamne ek page khulega jisme aapko kuch information fill up karna padega.
- Sabse pahle aap apna User Id fill up kar de.
- Iske baad apne BOI Debit Card / ATM Card ka Number enter kar de.
- Next box me apne ATM Card ka PIN enter kar de.
- And Last box me apne ATM Card ka expiry date likhna hai. Expiry date aapko MM/YY ke formate me likhna hai. Jaise 05/18, 10/19 etc
Jab aap ye sabhi information fill up kar lenge tab inko ek baar achhi tarah se verify kar le. Jab aapko lage ki sabhi information sahi hai to “Submit” button par click kare.
Step 4.
Iske baad aapke saamne ek new page khulega. Is page se aap kai kaam kar sakte hai jinke baare me ham aapko aage ke post me detail se batayenge. Aaj hame apne transaction password ko activate karna hai.
- Apne BOI Transaction Password Activate karne ke liye iske options me se 4th option “Acknowledgement of Transaction Password” me click kare.
- Jaise hi aap is option par click karenge us page ke sabse upar left side me “User Successfully enabled for transaction” likha hua aa jayega.
Congratulations Jab aap itna process follow kar lenge to aapko BOI Transaction Password activate ho jayega. Iake baad aap by Post aaye hue transaction password ka use karke transaction kar sakte hai.
Chuki Post se aaya hua Password kai channel se hokar hamtak pahuchta hai. Saath hi yah auto generated Password hota hai isliye is Password ka use karke hame transaction nahi karna chahiye. Hame ise activate karne ke baad turant change karke ek Strong transaction password bana lena chahiye.
To chaliye ab ham jaan lete hai ki jab aap apne boi transaction password activate kar lenge to isko change karke strong password kaise bana sakte hai.
Inhe Bhi Jaane :-
- BOI New ATM Card Ka PIN Generate And Activate Kaise Kare ?
- SBI Pehla Kadam Pehli Udan Bachho / Children Ke Liye Khash Bank Account Ki Detail Jaankari
BOI Transaction Password Change Kaise kare ?
Transaction Password ko change karne ko Bank Of India khud support karta hai. Isliye jab aap apna BOI transaction password activate kar lenge aur pahli baar net banking me Login karenge to direct ise change karne wale page me pahuch jayenge.
Ise change karna bahut hi aasaan hai to chaliye iske process ko bhi jaan lete hai.
Step 1.
- Iske liye aap BOI Net Banking website ke home page me aa jaye.
- Yaha apna User Id and Login Password ka use karke Login kar le.
Step 2.
Jaise hi aap Login karenge aapke saamne Transaction password ko change karne ka page automatically khul jayega. Isme sabse upar hi aapko apna Strong Transaction Password kaise bana sakte hai uske baare me bataya hua rahta hai. In Guidelines ko padhkar aap apne liye ek Strong Password bana le. Iske baad
- Is Page me aap sabse pahle “Change txn Password” me tick kar de.
- Apne Post se aaye hue Transaction Password ko pahle box me enter kar de.
- Dusre box me aapne jo Strong new Transaction Password banaya hai usko enter kar de.
- last wale box me apna new Transaction Password ko same to same dubara se enter kar de.
Ye sabhi information fill up karne ke baad “OK” button par click kare. Jasise hi aap OK par click karenge aapke saamne Password change successful likha hua aa jayega.
Congratulations, Iska matlab hai ki aapka Transaction Password safaltapurwak change ho chuka hai.
BOI Transaction Password Activation Complete Process In Hindi Video Tutorial
Inhe Bhi Jaane :-
- SBI SMS Banking Me Mobile Number Register Kaise Kare ?
- New ATM Card Ko Activate Karne Ke 2 Aasaan Tarike Kon Se Hai ?
Ab aapne apne BOI Transaction Password activate bhi kar liya hai aur apne liye ise change karke new Strong transaction Password bhi bana liya hai. Ab aap apne BOI Internet Banking se kisi bhi tarah ka Transaction karne ke liye taiyaar hai.
Mujhe ummid hai ki yah post aapke kaam ka sabhit hua hoga aur sabhi chije achhi tarah se samajh me aa gaya hoga. Agar abhi bhi kisi tarah ka sawal hai to Comment Box me likhkar hamse puch sakte hai.
Kya aapne abhi tak hamare YouTube Channel “Explain Me Banking” ko Subscribe nahi kiya hai ? To abhi turant SUBSCRIBE kar lijiye. Aise hi kamal ke Banking se related jankariya waha bhi bhara pada hai, uska labh uthaiye.
Apne Friends, Family Members ki help karne ke liye Is Post ko unko SHARE kare. Apne Social Media Friends (Facebook, WhatsApp, Twitter…etc) me bhi is Post ko Share karke ek saath bahut saare logon ki Help kar sakte hai. Dhanyawad
Leave a Reply