Hello Friend, Agar aapka bank account Allahabad bank me hai to allahabad bank balance enquiry karne ki jarurat aapko hamesha padti hi hogi. Isse aap yah jan sakte hai ki abhi aapke bank account me kitne paise (amount) hai.
Jab bhi koi is tarah ke situation me rahta hai to wah allahabad bank balance check karne ke liye sabse aasaan tarike ki talash karta rahta hai. Jisse hamara kam jaldi aur free me ho sake. yah post aapka yah talash khatm kar dega.
Inhe Bhi Jaane:-
- Allahabad Bank Account Me Mobile Number Register / Change Kaise Kare?
- Block Hue ATM / Debit Card Ko Unblock / Restart Kaise Kare?
Allahabad Bank Balance Enquiry Number
Neeche ham aapko allahabad bank balance enquiry missed call number de rahe hai. Iska istemal karke aap turant apna bank balance check kar sakte hai.
Allahabad Bank Balance Enquiry Number :- 9224150150
Apna bank balance janane ke liye upar bataye phone number me apne registered mobile number se sirf 1 missed call kar de. Missed call karte hi aapko aapka bank balance messege se bhej diya jayega.
Chuki yah toll free balance enquiry phone number hai isliye yah bilkul free hota hai aur instant balance check ho jata hai.
Allahabad Bank Balance Check SMS Number
Bahut saare banko ki hi tarah yah bhi SMS se bank balance enquiry karne ka facility provide karta hai. SMS se apna balance check karne ke liye neeche bataye process follow kare.
Apne mobile ke message box me jakar ek SMS type kijiye. Sabse pahle capital letter me likhe “BALAVL”
Format 1:- BALAVL
Example 1:- BALAVL
Agar aapka number ek se jayada allahabad bank account me registered hai to “BALAVL” likhkar ek space dekar “Account Number” likh de.
Format 2:- BALAVL <space> ACCOUNT NUMBER
Example 2:- BALAVL 123412341234
Is tarah se type kiye gaye SMS ko apne registered number se allahabad bank balance enquiry SMS number – 9223150150 me send kar de. Iske turant baad aapko message me bank balance bhej diya jayega.
NOTE:- In dono me se kisi bhi process se apna balance enquiry karne ke liye sabse pahle aapko number Allahabad Bank Missed Call Banking me registered hona chahiye. Agar abhi tak aapne number registered nahi kiya hai to neeche ke link par click karke iski puri jankari le sakte hai.
I hope aapko ab Allahabad Bank Balance Enquiry Karne Ke Ye dono Tarike aasaan lage honge. Iske bad aapko kaam aasaan ho gaya hoga.
Is post ko SHARE karke aap hamara manobal badha sakte hai taki ham aur bhi achchhi jaankari aapke liye la sake. Dhanyawad.
Leave a Reply