Dosto, Hame Ummid hai ki aapne apna canara bank internet banking registration karwa liya hai. Lekin iske baad bhi kisi bhi tarah ka fund transfer nahi kar paa rahe hai. Yani ki aapke paas abhi tak canara bank net banking transaction password nahi hai.
Kya aapko pata hai abhi turat agle 5 minutes se bhi kam time me canara bank internet banking transaction password create or generate kiya jaa sakte hai ? Nahi na..???
Inhe Bhi Jaane:-
- Canara Bank ATM PIN Forgot / Reset Kaise Kare? Complete Process
- Bank Account Transfer Application Hindi & English Me Kaise Likhe? Puri Jankari
Lekin ye sahi hai ham is past me aapko isi ka complete process batane wale hai. Aap bhi bas agle 5 minutes is past ko padh lijiye, iske baad ye aapko bhi aasaan lagne lagega.
Canara Bank Internet Banking Transaction Password Create / Generate Karne ke liye Jaruri Information
Neeche bataye information aapke paas hone jaruri hai, Tabhi aap bhi apna transaction Password bana payenge.
- Canara bank net banking user id & login password.
- Bank account me registered mobile number.
- Aapka canara bank ATM card / Debit Card.
Kya aapke paas ye sabhi chije hai tab aap taiyar hai. Agar nahi hai to inko jama kar le.
Canara Bank Net Banking Transaction Password Create / Generate Kaise Kare?
Iska process bilkul aasaan hai. Bas aapko neeche bataye steps ko dhyaan se padhkar apply karna hai.
STEP 1
Sabse pahle apne canara bank online banking user id & login password se apne net banking me “Sign In” kar lijiye.
STEP 2
Ab aapke saamne iska Home page aa jayega.
- Yaha left side ke options me se “My Profile” par click kare.
- Turant iske neeche kuch options aa jayenge. Inme se “Generate Transaction Password” ko select kare.
STEP 3
Next page me aapko canara bank ATM card / debit card ke details enter karne ko bola jayega.
- Sabse upar apne card ka 16 digit number enter kar de.
- Ab iske neeche apna ‘ATM PIN’ enter kare.
- Agle option me isi card ka “Expiry Date” MMYY format me enter kare.
- Ye sare information fillup karne ke baad “Submit” par click kare.
Canara Bank ATM Card Unblock / Restart Kaise Kare? Puri Jankari
STEP 4
Itna process karne ke baad aapko OTP manga jayega. Yah OTP turant aapke registered mobile number me aa jata hai. Jab yah OTP aa jaye tab-
- Isko “OTP Password” wale box me enter kar de.
- Same OTP ko “Re-enter OTP Password” wale box me enter kare.
- Iske baad “Submit” par click kare.
STEP 5
Turant aapko canara bank net banking transaction password create karne ka option mil jayega. Lekin dhyan rahe yah password ek simple password nahi hota hai. Isko kaise banana hai uska pura term & condition isi page me neeche likha hua mil jayega. Isko padhkar apne liye ek strong transaction password bana lijiye.
- Ab isko “Enter Transaction password” wale box me enter kare.
- Same password ko “Re-enter Transaction Password” wale box me enter kar de.
- Ab “Submit” button par click kare.
STEP 6
Agle screen me canara bank net banking transaction password generate hone ka successfull wala message aa jayega.
Canara Bank Internet Banking Transaction Password Online Create / Generate Karne Ka Video Tutorial
Iska matlab hai ki aapne is process ko complete kar liya hai aur password create kar liya hai.
- Canara Bank Me Mobile Number Register / Change Kaise Kare?
- Canara Bank New ATM Card Activate Kaise Kare? Complete Process
Ab aap is transaction password ka istemal karke fund transfer kar sakte hai. Waw iska process kitna aasaan tha…..???
Abhi aapne canara bank net banking transaction password generate karne ka complete process sikh liya hai. Aap aur bhi post padhkar apne banking ko aasaan bana sakte hai.
Isi tarah ke Banking se related Videos ke liye aap hamare YouTube Channel “Explain Me Baning” ko bhi SUBSCRIBE kar sakte hai. Dhanyawad.
Leave a Reply