Dosto, ATM PIN Security ke liye hota hai lekin jab isko time-to-time badla nahi jata to yah security kamjor ho jata hai. Isiliye Andhra Bank apna card holders ko harek 6 month me kam-se-kam ek bar andhra bank ATM PIN change jarur karne ki salah deta hai.
“ATM card PIN change nahi karne se hone wale nukshan ki adhik jaankari yaha se le”
Agar aap bhi andhra bank debit card use karte hai to is post ko padhkar andhra bank debit card PIN change karne ka complete process sikh sakte hai.
Andhra Bank ATM PIN Change Karne Ke Tarike
Iske liye aapke paas 2 process available hai.
- Andhra bank debit card pin change through ATM machine.
- Online andhra bank debit card pin change karna through Net banking and Mobile banking.
Chuki sabhi ke paas andhra bank net banking and andhra bank mobile banking nahi rahta isliye abhi ham iska pahla tarika sikhenge.
Andhra Bank ATM PIN Change Complete Process
Iske liye apna card lekar kisi bhi andhra bank ATM machine me jakar neeche ka process follow kijiye.
- Sabse pahle apna card machine me “SWIPE” kare.
- Ab apna purana ATM PIN enter kare.
- Bahut saare options ATM screen me aa jayenge. Inme se “PIN Change” ko select kare.
- Ab “Enter Your New PIN” likh hua aayega. Yaha aap jo bhi new pin rakhna chahte hai usko enter karke “Press Continue” button ko select kare.
- Agle step me apne new PIN ko Re-enter kare aur fir se “Press Continue” ko select kare.
- Isi ke saath screen me “PIN Change Complete” likha hua aayega.
Iska matlab hai ki aapka andhra bank debit card pin change ho gaya hai, Ab aap apne New PIN jisko abhi-abhi banaya hai usse transaction kar sakte hai.
- Andhra Bank ATM Card Apply Kaise Kare? Puri Jankari
- Bank Account Transfer Application Kaise Likhe? In Hindi & English
Kya aapke paas andhra bank net banking, mobile banking hai? Iska online process aap jaanna chahenge? Comment me likhkar bataiye.
Isi tarah ke Banking related problem solving videos dekhne ke h aap hamare YouTube Channel “Explain me Banking” ko Subscribe kar sakte hai aur updated rah sakte hai.
Ab aapne andhra bank debit card pin change karne ka process jaan liya hai. Isliye is post ko chahe to “SHARE” kar sakte hai. Dhanyawad.
Leave a Reply