Namaskar Dosto, Hame nahi lagta hai ki abhi ke samay me debit card atm card ke bare me batane ki jarurat hai. Ab to hamare banking ka maximum kaam iske bina hona muskil hai. Isliye aaj ke post me ham indian bank atm card apply / application karne ka step-by-step complete process batayenge.
Harek bank ki hi tarah yah bank bhi apne new account holders ko saath me hi new card de deti hai. Lekin sayad aapko yah card nahi mil paya hai. Ya fir aapko mila hua purana card expired, blocked ho gaya hoga. Kya ham sahi hai …???? Thoda sa bhi paresaan hone ki jarurat nahi hai. Neeche hamne aapke liye hi indian bank new debit card apply karne ka pura process bataya hua hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- Indian Bank Balance Enquiry Number, Missed Call Se Balance Kaise Check Kare?
- Indian Bank ATM / Debit Card Unblock Kaise Kare? Complete Process
How To Apply Indian Bank ATM Card / Debit Card Online ?
Dosto indian bank atm card apply online karne ka bhi process available hai. Lekin is post me ham iske offline process ke baare me batayenge. Kyonki online process me ham kewal indian bank photo debit card apply kar sakte hai. Is card ka charge lagbhag 300 Rs extra lagta hai.
Agar aapko iska photo atm card chahiye to neeche ke link se iska complete process jaan sakte hai.
Indian Bank ATM Card Apply / Application Karne Ka Complete Process
Is atm card ko offline apply karne ke liye aap apne branch me chale jaye. Waha jakar indian bank atm card apply form mang le. Yah form waha aasaani se mil jayega. Agar yah form aapko nahi mil raha hai to neeche ke link se isko download kar sakte hai.
“Indian Bank ATM Card Application Form Pdf Download”
Jab yah form aapke haath lag jaye to isko dhyaan se fill up kare.
Indian Bank ATM Card Application Form Fill Up Process.
Yah form bharna bilkul aasaan hai.
- Sabse pahle upar me left side me apne branch ka name and right side me date mention kar dijiye.
- Ab neeche apna account number likhe.
- Iske neeche apna “Personal Details” jaise Father’s / Husband’s Name, Office Address, Residend Address, mobile number and email id etc fill up kar de.
- Ab baari aati hai “Account Details” enter karne ki. Iske column me account number, date of opening, balance rs, due bate etc ko achchhe se fill up kare.
- Aage aapko declearation mil jayega usko padh le aur isi ke khali jagah me apna name likh de.
- Agar aapko main card ke saath add-on card bhi chahiye to unse related details jaise – name, date and signature put kar de.
- Is account me agar koi dusra person joint account holder bhi hai to name and A/c number neeche fill kar de.
- Ab sabhi ke autherised signature karwa le.
- Iske neeche ke sabhi option khali chod de. Aage ke sabhi “TERMS AND CONDITIONS” ko padh sakte hai.
Bas ho gaya aapka indian bank atm card apply form fillup complete. Ab is form ko apne branch me submit kar de. Aapke form ko submit karne ke 25-30 days me ek new debit card bankar aapke diye hue address me bhej diya jayega.
Is mile hue indian bank new atm card ko activate karke usko use karna start kar sakte hai.
Indian Bank ATM Card Apply Letter Application Writting
Dosto kai baar branch jane par bola jata hai ki abhi form available nahi hai. Is condition me aap ek chota sa application letter likhkar apna kaam karwa sakte hai.
To,
The Branch Manager
Indian Bank
Name Of Branch
Subject :- Application for apply a new ATM card / Debit card.
Respected Sir,
I ……(your name)…… holding a bank account number 2943****3492 …..,(your indian bank account number)….. in your branch ……(your branch name )…… . I want to attract your attention that i have a lot of difficulty in money transactions and online transactions. So i want to apply a new ATM card.
I request you to issue a new ATM card for me as soon as possible, I will always be grateful for this.
Your Faithfully
Signature
Name :-
Account Number :-
Contact Number :-
Upar bataye format me jaise hi aap apne bank account details bhar denge to furant aapka indian bank new atm card apply letter, application likhna complete ho jayega.
Ab is letter ke saath apna koi bhi ek photo identity proof laga de. In dono ko apne branch me submit kar de. Is tarah se aapka indian bank debit card apply, application ho jayega. Iske lagbhag 25-30 working days me aapke liye ek new card banakar diye hue address me send kar diya jayega.
- Indian Bank Mobile Number Register / Change Kaise Kare?
- Indian Bank ATM Pin Forgot / Reset Kaise Kare? Complete Process
Jab yah card aapko mil jaye to green pin generate karke khud se usko activate bhi kar sakte hai.
Waaaw aapne to ab indian bank atm card apply / debit card apply karne se related pura jaankari le liya hai. Bas jaiye aur apne liye ek new card apply kar lijiye.
Isi tarah se banking ko aasaan banane ke liye “Explain Me Banking” Fb page ko LIKE bhi kar sakte hai. Dhanyawad.
Pranav Singh says
Mujhko ATM card ki bahut jarurat hai isliye ATM card Ishu karva rahe hain please mam I request u
Team EMB says
Aap apne bank ke branch me contact kijiye waha se aasaani se ATM Card apply ho jayega
Mukesh Kumar jayasawal says
Sar Mera ATM card abhi tak nahi aaya hua hai jiska account number 21644xxxxx hai kripya jald se jald ki kripa kare
EMB Team says
Aap apne bank ke customer care se contact kare.