Maan lijiye aapke paas south Indian Bank ATM card hai aur galti se aapne us card ko block karwa diya hai to aap kya search karenge?
“How to unblock south indian bank ATM card? South indian bank ATM card unblock kaise kare?”
Agar aap bhi isi tarah ka kuch search karte hue yaha aaye hai to aapko yaha blocked sib atm card unblock karwane ke 2 simple methods milenge. Iske baad aap turant south indian bank debit card unblock karwake transaction karna start kar sakte hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- South Indian Bank ATM Green Pin Generate & Activate Kaise Kare?
- Bank Account Me Mobile Number Change Kaise Kare? 4 Sabse Aasaan Tarike
2 Methods For Unblock South Indian Bank ATM Card / Debit Card
Iske liye neeche ke 2 methods available hai.
- Unblock south indian bank debit card automatically
- Unblock south indian bank ATM card using green pin.
Pahle aap dono ko jane baad me aasaan wala process follow kare.
1. How To Unblock South Indian Bank ATM Card Automatically
SIB ne harek 3 times wrong pin se blocked ATM card unblock karwane ke liye block time period decide karke rakha hai. Yah Block Time Period 24-48 hours hai.
Agar aapka card 3 times wrong pin enter se block hua hai to bas 24-48 hours us card ko transaction ke liye use na kare. After 48 hours bank ka system (softwere) us blocked sib debit card ko unblock kar dega.
Yani ki 48 hours ke baad aap apne purane original PIN se transaction karna start kar sakte hai.
Ab kai log yah bhi puch sakte hai ki hame apna ATM PIN yaad hi nahi hai. Aaise condition me south indian bank debit card unblock karwane ke liye kya karna padega?
Agar aapko debit card PIN yaad bahi hai tab iska 2nd method ka use kare.
2. How To Unblock South Indian Bank Debit Card Using Green PIN
Without PIN apna sib atm card unblock / restart karwane ke liye apna blocked debit card. and bank me registered mobile number lekar kisi bhi SIB ATM Machine me chale jaiye.
- Waha apna blocked card “SWIPE” kare.
- Screen me aaye hue options me se “Create / Forgot PIN (Green PIN)” ke option ko select kare.
- Ab screen me 2 option aayenge inme se “Receive OTP on your mobile (One Time Password)” ko select kare.
- Abhi aapko apna “Registered Mobile Number” enter karna hai aur “Continue” button ko select karna hai.
Itna process follow karte hi aapke mobile me bank se ek SMS aayega is SMS me ek 6 digit OTP likha hua rahega. Isi OTP ka use karke aap south indian bank debit card unblock karwa payenge.
- OTP milne ke baad dubara se card “SWIPE” kare.
- Fir se “Create / Forgot PIN (Green PIN)” ko select kare.
- Aaye hue options me se “Create ATM PIN Using the OTP received” ko select kare.
- Ab aapke SMS me aaye OTP ko enter karke “Continue” ko press kare.
- Wah agle step me new PIN banane ko bola jayega. Apne card ke liye ek PIN soche jisko bhulne ka dar na ho aur usko “Enter” kar de.
- New PIN ko verify karne ke liye dubara se usi New PIN ko “Re-enter” kare.
- Isi ke saath ATM screen par “Your ATM PIN Hass Been Changed Successfully” likha hua aa jayega.
Oo hooo, hurrrreee aapka wah blocked south indian bank debit card unblock ho gaya hai. Dekha aapne yah karna kitna aasaan hai.
- New ATM Card Ko Activate Kaise Kare? How To Activate New ATM Card In Hindi?
- SBI Green Channel Fund / Money Transfer Karne Ka Pura Process In Hindi?
Hame ummid hai ki ab aapko “How to unblock south indian bank ATM card?” ya “South indian bank ATM card unblock kaise kare?” Search karne ki jarurat nahi padegi.
Aapko jo achchha lage usko istemal kare aur apna card unblock / restart karwa le. Kya aapko banking se related aur koi informathion chahiye to hame “Comment Box” me likhkar bataiye.
Banking se related video tutorial ke liye hamare YouTube Channel “Explain Me Banking” ko bhi SUBSCRIBE kar sakte hai. Dhanyawad.
Leave a Reply