Kya aap UCO Bank ke customer hai ? aur UCO Bank me Mobile Number Register karwana chahte hai ? ya apna UCO Bank registered Mobile number change karwana chahte hai ? to aap is post me ant tak bane rahiye, kuki yaha aapko iske baare me detail me jaankari mil jayegi.
UCO Bank Me Mobile Number Register Kyon Karwaye ?
Kai logo ke man me rahta hai ki bank account me mobile number registered ho ya na ho kya fark padta hai. Agar aap bhi aisa sochte hai aur abhi tak bank account me number registered nahi karwaya hai to aapko neeche bataye benefits jarur janne chahiye.
- Agar aapke UCO bank Account me kisi tarah ki gadbadi hogi to aapke registered number me usse related SMS Alert aa jayega jisse aap savdhaan ho sakte hai.
- Isse aap apne UCO bank Account se related balance enquiry, mini statement aur bhi bahut sari jankari ghar baithe le sakte hai.
- Agar aap UCO Net Banking, UCO bank mobile banking se ya kahi bhi UCO Bank ATM Card se payment karna chahte hai to aapke paas registered mobile number hona jaruri hai. Kyoki registered mobile number me hi OTP aata hai.
Isi tarah ke aur bhi kai benefits hai. Isliye agar aapne abhi tak apna mobile number UCO bank account me registered nahi karwaya hai to jitni jaldi ho sake karwa lijiye.
Ya agar aapka purana registered mobile number kisi kaaran se aapke paas nahi rahta hai to usko change karwa lijiye. Ab aap soch rahe honge ki UCO bank me mobile number registered karwane ka kya process hai ?
- UCO Bank Balance Enquiry Sirf 1 Missed Call Se Kaise Kare ?
- ATM PIN Bhul Jane Par Ise Forgot / Reset Karne Ke 2 Aasaan Tarike.
UCO Bank Me Mobile Number Register / Change Karwane Ke Tarike
UCO bank ne apne customers ko mobile number update karwane ke kai facility de rakha hai . Jaise –
- UCO bank ke kisi bhi branch se,
- Online UCO bank net banking se,
- UCO bank mobile banking se etc
Upar bataye kisi bhi tarike se aap UCO bank me mobile number registration karwa sakte hai. Chuki sabhi ke paas UCO net banking aur UCO mobile banking nahi rahta hai.
Isi kaaran se ham is post me aapko iske pahle tarike yani UCO branch se mobile number register ya change karwane ke process ko batayenge. Jisse is jaankari ka laabh sabhi log utha sake.
UCO Bank Me Mobile Number Register / Change Kaise Kare ?
Is process se mobile number change ya register karwana sabse aasaan hot hai. Isme aapko UCO Bank ke kisi bhi najdiki Branch me jana hoga. Waha jakar aap bolenge to aapko ek UCO bank mobile number registration form de denge.
Sabse pahle aapko is Form ko achhi tarah se fill up karna padega. To chaliye is form ko fill up karna sikh lete hai.
UCO Bank Mobile Number Registration Form Fill Up
Is form ko aap neeche ke image me dekh sakte hai. Is form ko fill up karna bahut hi aasaan hai.
- Iske sabse upar me aap us branch ka name likh de jisme is form ko aap jama karna chahte hai.
- Iske neeche aap apne UCO Bank account ke Customer Id ko likh de.
- Ab aapke bank account me jis tarah ka name hai usko iske boxes me likh de.
- Iske neeche aapko apna Date Of Birth likhna hai.
- Ab iske neeche aap chahe to apna Aadhaar Number and PAN Number likh sakte hai.
- Apne UCO Account number ko iske neeche likh de.
- Apne account number ke neeche jis UCO branch me aapka account hai uska name likh de.
- Inke neeche me aapko apne mobile number likhne ka options mil jayega. Inke upar wale option me apna existing mobile number jo abhi tak registered tha usko likhna hai. ( Agar koi number registered nahi tha to khali chod de )
- Iske neeche me aap abhi jo New Mobile Number registered karwana chahte hai usko likh dijiye.
- Ab aap is mobile number ko kyon change karwana chahte hai wah likhne ka jagah mil jayega. Yahan aapka jo bhi kaaran hai usko likh de.
- Uske neeche me communication address likhne ka jagah mil jayega. Yaha aapka jo bhi address hai usko fill up kar de.
- Ab baari aati hai signature ki . Yaha aapke UCO bank account me jis tarah ka aapka Signature hai usi tarah ka signature kar de.
- Signature ke neeche me aap jis date ko is form ko jama karenge us date ko likh de.
- Iske neeche wale options ko aapko touch nahi karna hai kyoki wah Bank Use ke liye hota hai.
Kabi kabhi iske saath Aadhaar Card ka photo copy manga jata hai. Isliye apne saath apna Aadhaar card ka xerox copy lekar jaye aur mange jane par attech kar de. Iske baad is Form ko aap kisi bhi UCO branch me jama kar de.
Aapke is form ko jama karne ke baad aapke UCO Bank me mobile number registered kar diya jayega. Saath hi jab yah process successfully complete ho jayega to aapke new number me UCO bank ki taraf is ek confirmation message bhi aayega.
Yahi Confirmation message aapke number registration ka proof hoga.
UCO Bank Mobile Number Change / Registration Complete Video Tutorial In Hindi
- UCO ATM Card Ko Block Karne Ka Sabse Aasaan Tarika.
- New ATM Card Ko Activate Kaise Kare ? 2 Simple Process
UCO Bank Me Mobile Number Registration Ke Liye Application Likhna
Kabhi kabhi jab ham iske liye UCO branch me jate hai to hame bola jata hai ki abhi mobile number registration form available nahi hai. Aap is condition me ek plane paper me chota sa application bhi likhkar jama kar sakte hai.
Chaliye ab mai bata deta hu ki aap application kaise likhenge. Mai iske liye neeche ek simple sa application likh raha hu isme aap apne detail fill kar de.
सेवा में ,
श्री मान शाखा प्रबंधक महोदय
यूको बैंक ( ब्रांच का नाम )
विषय :- मोबाइल नंबर रजिस्टर करवाने हेतु / मोबाइल नंबर बदलने हेतु
महाशय ,
मेरा नाम ( आपका नाम ) है | मेरा यूको बैंक अकाउंट नंबर ****-****-**** ( आपका यूको अकाउंट नंबर लिख दें ) और अकाउंट कस्टमर आईडी ******** ( आपका यूको कस्टमर आईडी लिख दें ), मेरा ब्रांच ………………( आपनें ब्रांच का नाम लिख दें ) है | मेरा पुराना मोबाइल नंबर +91********** (अपना पुराना नंबर लिख दें ) इस अकाउंट में रजिस्टर्ड है और मेरा नया मोबाइल नंबर 91********** ( आपका नया मोबाइल नंबर लिख दें ) है | मै इस नए मोबाइल नंबर को अपने इस बैंक अकाउंट के साथ रजिस्टर करना चाहता हूँ | मेरा मोबाइल नंबर बदलने / रजिस्ट्रेशन का कारण…………………………. ( अपना कारण लिख दे ) है | मै अपना आई.डी. प्रूफ इस आवेदन के साथ जमा कर रहा हूँ |
अतः श्री मान से अनुरोध है की मेरे इस नए मोबाइल नंबर को मेरे यूको बैंक अकाउंट के साथ रजिस्टर करने की कृपया करें |
आपका विशवासी
Signature
Name :-
Customer Id :-
Account Number :-
New Mobile Number :-
Yaha par meine ek sample application likhakar aapko bataya hai . Aap chahe to isme apne hisaab se badlaw kar sakte hai aur isko aur bhi achhe se likh sakte hai.
Is application ko likh lene ke baad iske saath apne Aadhaar Card ka photo copy laga de. Iske baad dono ko UCO bank ke kisi bhi branch me jama kar de.
Iske baad aapke UCO Bank me mobile number registered kar diya jayega. Saath hi jab yah process successfully complete ho jayega to aapke new number me UCO bank ki taraf is ek confirmation message bhi aayega.
Yahi Confirmation message aapke number registration ka proof hoga.
To aapne dekha ki kitni aasaani se app kisi bhi branch se UCO Bank me mobile number change ya register karwa sakte hai. Mujhe ummid hai ki is Post se aapko laabh hoga aur is topic par aage se aapko koi dikkat nahi hogi.
Inhe Bhi Jaane :-
- Wrong PIN Se Block Hue ATM Card Ko Unblock / Restart Kaise Kare ?
- ATM Card Expired Ho Jane Par New Card Kaise Milega ?
Kya aapne abhi tak hamare Facebook Page “Explain Me Banking” ko LIKE nahi kiya hai. Abhi LIKE kar le aur isi tarah ki jakari FREE me lete rahe. Dhanyawad
gulshan kumar says
Balance check nahi ho raha
EMB Team says
Kya problem ho rahi hai?
Mohd.sufiyan says
Mujhe ghar baithe apna mobile number apne uco bank account se link krna h uska kya tareeka h. Ye btaye. Mai kisi bhi branch nahi jana chahta hu. Ghsr baithe koi rasta ho to btaaye.
EMB Team says
Yes kar sakte hai lekin hame iska process abhi pata nahi hai, isliye aap apne bank ke customer care se baat karke pata kar sakte hai.
Shiman debbarma says
Uco bank online mobile number change ok