Dosto, UCO Bank hamare desh ka ek pratisthit bank hai. Jo banking ke saath – saath kai tarah ke financial services bhi provide karta hai. In banking and financial services ka labh uthane ke liye bahut sare logo ne is bank me apna bank account khulwaya hua hai. In banking services me se ek product UCO bank ATM card ya uco bank debit card bhi hai. Iska istemaal karke ham kai tarah ke transactions (Jaise – ATM transaction, Online transaction, POS transaction) aasaani se kar sakte hai.
I hope aap bhi UCO bank ke customer hai. Kya aapka UCO ATM card expire kar gaya hai ? y fir kya abhi tak aapne ek bhi card nahi liya hai ? Is tarah ke condition me aapko apne liye uco bank ATM card apply karna padega tabhi ek new card aapko mil payega.
sayad aapko lag raha hoga ki uco bank debit card apply karna muskil wala kam hai. Lekin aap galat hai yah bahut aasaan kaam hai, Jise aap badi hi aasaani se kar sakte hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- UCO Bank Me Mobile Number Register / Change Kaise Kare?
- ATM Ka PIN Bhul Jane Par Ise Forgot / New PIN Set Kaise Kare? 2 Aasaan Tarike
UCO Bank ATM Card Apply Karne Ke Tarike
Is kaam ko aap 2 tarah se kar sakte hai. ye dono tarike nimn hai –
- Online UCO bank ATM apply karna
- Branch se UCO bank debit card apply karna
Dono hi process aasaan hai lekin Online debit card apply karne ke liye aapke paas uco bank net banking hona jaruri hai. Chuki sabhi ke paas net banking nahi rahta hai isliye is post me ham branch wale process ko batane ja rahe hai.
UCO Bank Debit Card / ATM Card Apply Kaise Kare ?
Branch se offline uco bank atm card apply karna bhi bahut aasaan hai. Iske liye aap apne uco bank account ko lekar apne branch me chale jaye. Branch me aap waha ke employees se uco Bank debit card Application form le lijiye.
Ab aapko is atm card apply form ko acche se fill up karna hai. Is form ko bharne ka tarika bhi ham neeche batane ja rahe hai.
UCO Bank ATM Card / Debit Card Application Form Fill Up Process.
Is form ko aap neeche ke image me dekh sakte hai.
- Sabse pahle is form ke upar left side me apne branch ka name likh de.
- Branch ke neeche agar apna Branch ID pata hai to likh de aur nahi pata hai to khaali chod de.
- Ab iske right side me Date likh de.
- Iske baad aap apna full Name likh de jaisa aapke bank account me likha hua hai.
- Name ke right side me apna Date of Birth “DDMMYYYY” format me likh de.
- Ab iske neeche aap apne uco bank debit card me jo Name chapwana chahte hai usko First Name, Middle Name and Surname ke format me likh de.
- Ab aapko apna bank account se relatd Information dena hai. Sabse pahle bank account ka type likhe (Savinge / Current) iske baad apna account number bhi likh de. Agar aapke paas secondry account hai to uska information bhi iske right side me likh sakte hai.
- Iske neeche me sabse pahle tick kar de ki is card ko aap kaha mangwana chahte hai. uske baad uska complete Address likh de. Isi address me apke card ko bheja jayega.
- Apna mobile number aur email Id jarur likh de.
- Ab is form ke sabse neeche me aakar apna signature kar de jaise ki aapke bank account me kiya hua hai.
UCO Bank ATM Card / Debit Card Apply Kaise Kare? Video Tutorial
Bas aapka uco bank debit card application form fill up ho gaya hai. Aap is bhare hue form ko apne bank me jama kar dijiye.
Aapke form ke jam karne ke 30 dino ke andar aapka uco bank ATM card / debit card bankar diye hue address me aa jayega. Jab card aapko mil jaye to usko activate karke use karna start kar sakte hai.
“UCO Bank ATM Card Activate Kaise Kare ? Puri Jankari”
Ab aapko bhi apna card apply karna aasaan lag raha hoga. To intijaar kis baat ki hai abhi apna uco atm card apply kijiye.
kya aap uco debit card online apply karne ka process bhi janna chahte hai iske baare me hame comment Box me likhkar bataiye.
Ankit Raj says
Thik hai Mai try karunga