Kya aap State Bank Of India ke customer hai ? Agar “HA” to aapko SBI SMS Banking ke baare me bhi janna chahiye. Isse aap apne account se related jankari jaise – Balance Enquiry, Mini statement aur bhi bahut kuch kewal ek SMS bhejkar Ghar Baithe jaan sakte hai.
SBI SMS Banking bahut hi achhi facility hai. Iska use karke aap apne bank account se related jankari to le hi sakte hai saath hi SBI ke bahut saare services ke liye bhi ghar baithe request kar sakte hai. Isse aap bank ke chakkar lagane ke dikkat se bach jayenge.
Dosto, Agar aapko SBI SMS Banking ke baare me janna hai to is post ko padhte rahiye. Is Post me mai iske baare me detail me batane ja raha hu jaise- Iske liye mobile number register kaise kare ? Iska use karke enquiry kaise kare ? Iske services ka use kaise kare ? Isme hame kitna charge lagega ? etc
To chaliye in sawalo ke jawab 1-1 karke detail me jaan lete hai.
Inhe Bhi Jaane :-
SBI SMS Banking Me Mobile Number Register / Activate Kaise Kare ?
Agar aapne apna Mobile number SBI Account me update karwa rakha hai to ise aap kabhi bhi register / Activate kar sakte hai.
Iske liye aap apne mobile ke create message box me jaye. Waha sabse pahle capital lettet me type kare ‘REG‘ uske baad space de aur apna pura ‘SBI Account Number‘ type kar de.
Format :- “REG<space>Account Number”
Example :- REG 12345678901
Is message ko apne SBI Account me updated mobile number se 09223488888 me send kar de.
Message karne ke kuch der ke baad SBI ke taraf se aapke paas ek Confirmation Message aayega. Jaise hi aapka confirmation message aa jaye to aap samajh lena ki aapka SBI SMS Banking ke liye mobile number registered ho gaya hai.
Is process ke baad ab aap kahi bhi, kabhi bhi SBI SMS Banking numbers me SMS bhejkar apne account se related jankari aur services ka maza le sakte hai.
To Chaliye ab ham aapko SBI SMS Banking numbers and isse account ki jankari kaise lete hai iski detail jankari de dete hai.
SBI Balance Enquary / Check Kaise Kare ?
Apne last cleared account balance janne ke liye ‘BAL‘ likhkar ise Registered Mobile Number se 09223766666 me bhejna hai.
Aapke message bhejte hi SBI ke taraf se ek message aayega jisme aapka Account Balance likha hua hoga.
SBI Mini Statement Enquary / Check Karna
Apne last 5 transaction ki jankari aap mini statement se le sakte hai. SBI Bank Account ka mini statement ke liye ‘MSTMT‘ likhkar ise Registered Number se 09223866666 me bhejna hai.
Aapke message bhejte hi SBI ke taraf se message aayega jisme aapka Account ka mini statement likha hua hoga.
Inhe Bhi Jaane :-
SBI ATM Card Green PIN Generation
Aap sms banking se ATM Card ka Green PIN bhi Generate kar sakte hai. Iske liye sabse pahle Capital Letter me likhe ‘PIN‘ ab Space dekar apne ‘ATM Card Number ka last 4 digit’ likhe phir space dekar apne ‘Account Number ka last 4 digit’ likhen.
Format :- “PIN<space>Last 4 digit of ATM Number<space>Last 4 digit of Account Number”
Example :- PIN XXXX YYYY
Yaha XXXX ATM Card number ka last 4 digit hai aur YYYY Account Number ka last 4 digit ko denote karta hai.
Message type karke use Registered Mobile Number se 567676 par SEND kar de. Message Send karne ke kuch der ke baad usi Mobile Number par ek SMS aayega jisme aapka Green PIN likha hota hai.
Is Green PIN se aap apne SBI New ATM Card ko Activate and PIN Forgot / Reset kar sakte hai.
SBI ATM Card Block Karna
Agar aapka SBI ATM Card kahi kho gaya hai ya chori ho gaya hai to SBI SMS Banking se ise aap turant block kar sakte hai.
Iske liye type kare ‘BLOCK‘ space de aur ‘last 4 digit of atm number‘ type kar de.
Format :- “BLOCK<space>Last 4 digit of ATM card number”
Example :- BLOCK 1234
Is message ko apne registered numnber se 567676 me bhej de. Message bhejne ke bad jab aapka request accept ho jayega to ek confirmation message aayega. Is confirmation mesage me aapka ticket number, date and time of blocking likha hua hoga.
In information ko acchi tarah rakhe kuki jab aapko us ATM Card ko fir se Activate / Unblock karna hoga to ye information manga jayega.
SBI Account ke last 6 month ka E-Statement Mangwana
Agar aapko kabhi apne account ka statement ki jarurat padi to ise bhi aap ghar baithe mangwa sakte hai. Iske tahat aapko aapke account ke last 6 month ka statement bheja jayega jo aapko bank me registered Email Id me Password encrypted PDF File ke rup me aayega.
Iske liye type kare ‘ESTMT‘ fir spsce de uske baad ‘Account Number’ type kare fir space de fir ‘Code‘ likhe.
Format :- “ESTMT<space>Account Number<space>Code”
Example :- REG 12345678901 1234
Yaha Code me aap apne man se koi bhi 4 digit ka number likh sakte hai. Yahi 4 digit number aapke e-statement ka password hoga jo aapko bheja jayega.
Is message ko 09223588888 me bhej de. Iske baad aapko aapka last 6 month ka e-statement aapke email id me bhej diya jayega.
Home & Car Loan Ki Jankari Lena
Isse aap sbi ke home and car loan ke latest feature ke baare me bhi jaan sakte hai. Iske liye aapko ‘HOME‘ ya ‘CAR‘ likhkar ise 09223588888 me bhejna hoaga. Iske baad aapko Instant SMS se iske latest features ke baare me bataya jayega.
Is tarah se aap dekh chuke hai ki SBI SMS Banking se apne bank account se related jankari ke saath iske services ka bhi use kar sakte hai.
Agar aap kabhi is banking ko band karna chahe to yah bhi aap badi hi aasaani se turat kar sakte hai.
SBI SMS Banking (SBI Quick) ko De-Register kaise kare ?
Iske liye aap apne mobile ke create message box me jaye. Waha sabse pahle capital lettet me type kare “DREG” and isko apne registered number se 09223488888 me send kar de.
Message send karte hi SBI ke taraf se ek confirmation message aa jayega. Iske baad aap SBI SMS banking and SBI Quick ka use nahi kar payenge.
Baad me jab bhi aapko is service ko dubara se use karna hoga to upar bataye tarike se register karna hoga. Fir se register karke aap ise dubara use kar payenge.
Chaliye ab ham ye saari chije to jan chuke hai lekin ab ek question aur aata hai ki iske liye hame charge / paise kitne dene padenge.
SBI SMS Banking Charges
- Iske liye State Bank Of India (SBI) khud kisi bhi tarah ka charge nahi leta hai.
- Aap jo message kar rahe hai uska charge aapke Telecom Company and aapke plan ke anushar hoga. Yani agar aapne Message pack liya hua hai ya Message ko FREE karwaya hua hai to usi ke hisaab se Telecom Company charge karegi.
To ab aap SBI SMS Banking ke baare me kaphi kuch jaan chuke hai. Ab aap is service ka use karne ke liye puri tarah se taiyar hai. Mujhe ummid hai ki is service ka use aap jarur karnge aur paresani se bache rahenge.
Inhe Bhi Jaane :-
Apne Friends, Family Member ki help karne ke liye Is Post ko unko SHARE kare. Apne Social Media (Facebook, WhatsApp, Twitter…etc) Friends ke saath bhi is Post ko Share karke apna Value badha sakte hai.
Kya aapne abhi tak hamare Facebook Page “Explain Me Banking” ko LIKE nahi kiya hai ? Abhi LIKE kar le aur isi tarah ki jaakari FREE me lete rahe.
Sunil sharma says
sir sbi bank me register mobile no. change kaise kare
Suraj Kumar says
Iske liye aap hamara ye dono post padh sakte hai-
1. Online Process
2. Offline Process