Agar aap apne SBI Internet Banking Password bhul gaye hai aur aap ise forgot / reset karna chahte hai to is post ko ant tak jarur padhe kyonki main is post me aapko bataunga ki aap kaise apne SBI Net Banking ke Password ko Forgot / Reset kar sakte hai.
Abhi ke samay me hamare paas itne online accounts ho gaye hai ki hum kai baar apne accounts ke password bhul jate hai, iske baad hame bahut saari pareshaniyo ka samna karna padta hai, jisse hamara kaafi loss hota hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- SBI ATM Pin Bhul Jane Par Ise Forgot / Reset Kaise Kare? Without Visiting Branch
- PNB Account Opening Valid KYC Documents Ka Pura List
SBI Internet Banking Password Forgot / Reset Kaise Kare? Without Visiting Branch
Agar aap apne SBI Intenet Banking ke password ko bhi bhul gaye hai to aap neeche ko steps ko follow kare.
SBI Intenet Banking ke password ko aap 3 tareeko se forgot / reset kar sakte hai, jo hai-
- Using ATM Card Details
- Using Profile Password
- Through The Branch
Upar ke teeno methods ke baare me main aapko alag alag details me bataunga.
1. SBI Net Banking Password Forgot / Reset Using ATM Card Details
- Apna Password forgot / reset karne ke liye sabse pahle aap SBI Internet Banking ke official website https://www.onlinesbi.com par chale jaye.
- Yahan par aane ke baad left side ke “Login” option par click karna hai.
- Iske baad ek naya page khulega, is page me aapko “CONTINUE TO LOGIN” ke option par click kar dena hai.
- Continue To Login par click karte hi aap login karne wale page me pahuch jayenge. Is page me aapko bahut saare options milenge, in options me se Password reset karne ke liye “Forgot Login Password” wale option ko aapko select karna hai.
- Ab aapke samne ek naya page khulga, jisme aapko ek drop down menu milega, isme se aapko “Forgot My Login Password” ke option ko select karna dena hai aur neeche diye gaye “Next” button par click karna hai.
- Iske baad aapke samne ek naya page khulga aur is page me aapko kuch informations bharni padegi.
- Sabse pahle wale box me aapke SBI Intenet Banking ka “Username” bharna dena hai. Agar aap apna Username bhul gaye hai to yahan par Click karke apna Username wapas paa sakte hai.
- Uske baad wale box me aapko apne SBI ka “Account Number” bharna hai.
- Uske neeche apko apni “Country” select karni hai.
- Country select karne ke baad usi ke neeche apke SBI account me “Registered Mobile Number” bharna hai. is mobile number par ek OTP bheja jayega.
- Iske baad wale box me aapko apna “Date Of Birth” bharna hai, jo aapne account me diya hai.
- Sabse last wale box me us “Captcha Code” ko bhare jo usi box ke right side me diya hua hai.
- Sabhi informations ko acche se bharne ke baad neeche diye gaye “Submit” ke button ko click kar de.
- Submit par click karte hi aapke samne ek naya page khulega jisme ki ek “OTP” manga jayega. OTP aapke SBI Account me Registered Mobile number par bheja gaya hoga, Is OTP ko us box me bhar de aur “Confirm” button par click kare.
- Iske baad aapke samne ek naya page khul jayega, is page me aapko 3 options diye honge, in options me se aapko sabse pahle wale option “Using ATM Card Details” ko select karna hai aur neeche diye gaye “Submit” ke button par click kar dena hai.
- Ab ek naya page khulega jisme aapko apne SBI ke ATM card ki details bharni padegi.
- Is page me aapko apne SBI ATM card se related details jaise “Card Number, Card ki Validity, Card Holder Name, ATM PIN” bhar dena hai.
- Saari info bharne ke baad last wale box me us captcha code ko bhar de jo usi box ke right side me diya hua hai.
- Iske baad neeche diye gaye “Proceed” ka button par click kar de.
- Proceed ke button par click karne ke thodi der ke baad aapke samne ek naya page khulega jisme ki “New Password” banane ke liye 2 box diye hue honge.
- Yahan “Enter New Login Password” wale box me aapko apna jo bhi naya password rakhna hai usko type kar de. Ab uske neeche “Confirm New Login Password” wale box me new password jo abhi abhi aapne upar wale box me dala tha, same to same is box me daal de.
- Password dono boxes me daalne ke baad sabse neeche diye gaye “Submit” ke button par click kar de.
- Iske baad aapke samne ek naya page khul jayega aur likha hua aayega “Your Login Password has been reset successfully”, iska matlab hai aapka password successfully change kar diya gaya hai.
Itna process karne ke baad aapne abhi abhi jo naya Password banaya hai uski madad se aap apne SBI Internet Banking ko phir se use kar payenge.
2. SBI Internet Banking Password Forgot / Reset Using Profile Password
Yah method filhal kaam nahi kar raha hai jiske karan abhi mai iske bare me nahi bata paunga, lekin jaise hi yah method kaam karne lagega mai yaha update kar dunga.
3. SBI Internet Banking Password Forgot / Reset Through Branch
Agar aapke paas SBI ATM card nahi hai aur aap apne SBI Internet Banking password ko bhul gaye hai to aap is method se apna password reset kar sakte hai. Password reset karne ke liye neeche ke steps ko follow kare.
- Apna Password forgot / reset karne ke liye sabse pahle aap SBI Internet Banking ke website https://www.onlinesbi.com par chale jaye.
- Yahan par aane ke baad “Login” ke option par click karna hai.
- Iske baad ek naya page khulega, is page me aapko “CONTINUE TO LOGIN” ke option par click kar dena hai.
- Continue To Login par click karte hi aap login karne wale page me pahuch jayenge. Is page me aapko bahut saare options milenge, in options me se Password reset karne ke liye “Forgot Login Password” wale option ko aapko select karna hai.
- Ab aapke samne ek naya page khulga, jisme aapko ek drop down menu milega, isme se aapko “Forgot My Login Password” ke option ko select kar dena hai aur neeche diye gaye “Next” button par click karna hai.
- Iske baad aapke samne ek naya page khulga aur is page me aapko kuch informations bharni padegi, jaise aapke SBI Internet Banking ka “Username, Account Number, Country, Registered Mobile Number, Date of Birth” bhar dena hai. Lekin agar aap apna Username bhul gaye hai to yahan par Click karke apna Username wapas paa sakte hai.
- Sabse last wale box me us “Captcha Code” ko bhare jo usi box ke right side me diya hua hai.
- Sabhi informations ko acche se bharne ke baad neeche diye gaye “Submit” ke button ko click kar de.
- Submit par click karte hi aapke samne ek naya page khulega jisme ki ek “OTP” manga jayega. OTP aapke SBI Account me Registered Mobile number par bheja gaya hoga, Is OTP ko us box me bhar de aur “Confirm” button par click kare.
- Iske baad aapke samne ek naya page khul jayega, is page me aapko 3 options diye hue honge, in options me se aap sabse neeche ke option “Reset your login password with Branch activtaion” ko select kar le aur sabse neeche diye gaye “Submit” ke button par click kar de.
- Jaise hi aap submit button ko click karenge ek naya page khulega jisme aapko ek “Reference Number” diya hua hoga, aur usi ke neeche ek form download karne ka link diya hua hoga, is form ko download karne ke liye “Click here” ke option par click kare.
- Ab aapke samne wo form khul jayega, is form ko aap print kar le aur ise bhar kar branch me jama kar de.
Is form ko jama karne ke kuch din baad aapke SBI Internet Banking Password ko reset kar diya jayega aur naya password aapko mil jayega, jiski sahayata se aap apne SBI Net banking ko dubara istemal kar payenge.
- SBI Mobile Number Online Register / Change Kaise Kare? Withour Visiting Branch
- Bank Of Baroda Mobile Banking Register aur Activate Kaise Kare? Ghar Baithe
Ab mujhe aasha hai ki aap apne SBI Internet Banking Password ko khud se Forgot / Reset kar payenge, aur agar future me phir se agar aap apne password ko bhul jate hai to ise khud se reset karke dubara naya password paa ya bana sakenge.
Agar aapko is website ya post se related kisi tarah ki sawal ya sujhav hai to aap hame “Comment Box” me bata sakte hai.
Isi tarah ke Banking se related useful Tutorial Videos ke liye aap hamare YouTube Channel “Explain Me Banking” ko Subscribe kar sakte hai aur bahut saari chize jaan sakte hai.
Agar aapko is post se madad mili ho to ise SHARE karna bilkul na bhule, isse aap dusre logo ki madad kar payenge.
Leave a Reply