Hello Dosto, Hame nahi lagta hai ki kisi ko bhi bank ke sms alert service ke bare me batane ki jarurat hai. Is service se aap ghar baithe apne bank account ki sabhi jaankari pate rah sakte hai. Agar aap psb bank ke customer hai to is service ka maza lene ke liye punjab and sind bank mobile number registration karwana padta hai.
Is post me hamne aapko punjab and sind bank mobile no register / change karne ka pura process bataya hai. Iske baad aap bhi apne bank account ke details mobile se hi le payenge.
Inhe Bhi Jaane:-
- Punjab & Sind Bank New ATM Card Activate And Use Karna Start Kaise Kare?
- PNB Balance Enquiry / Check Sirf 1 Missed Call Ya SMS Se Kaise Kare?
How To Register / Change Punjab And Sind Bank Mobile Number Online For SMS Alerts
kya aap isko online karwana chahte hai. ….??? Lekin abhi iske liye koi bhi online process available nahi hai. Aap isko psb net banking or mobile banking rahne ke bawjud online nahi karwa sakte hai.
Agar future me aisa koi onilne process aayega to uspar bhi ham post jarur likhenge.
Punjab And Sind Bank Mobile Number Registration Process For SMS Alert
Dosto chuki iska abhi tak koi online process available nahi hai isliye offline branch se hi yah kaam karwana padega.
Aap apne bank ke branch me chale jaye. Waha se punjab and sind bank mobile number registration form for sms alert mang le. Ab is form ko achchhe se fill up kar lena hai.
Punjab And Sind Bank Mobile Number Registration Form Fill up
Ye kaam aap badi hi aasaani se kar lenge.
- Sabse upar apne branch ka name likhe.
- Apne psb bank account number achche se likhe.
- Iske neeche apna name jo bank account me hai usko likh de.
- Agle line me “Mode Of Operation” ko fill kar de.
- Ab wah minimum amount likhe jisse jyada amount ka sms alert aapko bheja jayega.
- Isi ke saath ab apne mobile number se related details jaise- mobile number, mobile owner’s name, service provider’s name dhyaan se bhar de.
- Iske neeche chahe to term and condition padh sakte hai.
- Apna full signature kar de.
- Apna full name and date bhi mention kar de.
Yaha aapka punjab and sind bank mobile number change form fillup complete ho jayega.
Ab is form ko apne branch me submit kar de. Agle 3-5 days me is service ko register kar diya jayega. Iske baad aap sms alert ka maza le sakte hai.
Punjab And Sind Bank Mobile Number Change For SMS Alert Process
Ho sakta hai ki is servise ke liye aapka dusra number pahle se register kiya hua hai aur ab dusra number isme update karwana chah rahe hai.
Is condition me aapko upar wala hi pura process follow karna padega. Bas mobile number wale box me apne new number ke details fillup karna padega. Is tarah se jab aap form fillup karke branch me submit karenge uske 3-5 working days me number change kar diya jayega.
Iske baad aap new number se apne bank account ke details lene ke liye taiyar ho jayenge.
- ATM Card Block Ho Jane Par Is Unblock / Restart Kaise Kare?
- Bank Account Transfer Application Kaise Likhe? In Hindi & English
Ab aap psb mobile number registration and change karwane ka complete process jaan chuke hai. Hame ummid hai ki is tapic par aapko pura jaankari ho gaya hai.
Isi tarah ke banking ko aasaan banane wale aur bhi information ki notification pate rahne ke liye fb page “Explain Me Banking” ko like kar sakte hai. Dhanyawad.
Leave a Reply