Dosto, agar aapka bank account Punjab National Bank me hai. Aur aap apne bank account me Mobile Number register / change karwana chahte hai, to is post se aapko bahut madad milegi.
PNB apne customer ko bank account me mobile number register / change karwane ka kewal 1 option provide karta hai. Wo option hai PNB bank ke kisi bhi branch me jakar ye kaam karewana. Agar aap soch rahe hai ki ye kaam aap Online karwaa lenge to aisa koi facility abhi tak nahi hai.
Iske liye jab aap PNB bank branch me jayenge to waha ke employee aapko ek PNB mobile number registration / change Form de denge. Iske baad sabse bada kaam isko achhi tarah Fill Up karna rahta hai. Agar aap form ko galat tarah se Fill Up Karke jama kar denge to dubara aapko ye kaam karna padega.
Is Post me ham aapko PNB Mobile Number Registration / Change Form Fill Up karne ka complete process achhe se batane jaa rahe hai. Jisse aap 1 hi baar me ye kaam karwaa lenge.
Inhe Bhi Jane :-
- Punjab National Bank Me Required Valid KYC Document Ka Pura List
- PNB Balance Enquiry sirf 1 Missed Call / SMS Se Kaise Kare ?
PNB Mobile Number Registration / Change Form Fill Up Kaise Kare ?
Jaisa ki neeche ke Image me dekh sakte hai ye kaam bahut aasaan hai-
- Iske liye sabse upar me us PNB branch ka name likh de jisme aap is form ko aap jama karenge.
- Ab iske right side me us din ka Date likh de jis Date me is Form ko aap jama karenge.
- Iske baad aap apne PNB bank account ka Customer Id likh de. ( Yah aapke PNB account passbook me mil jayega)
- Iske neeche jiske name par yah Bank account hai uska name “Account Holder” wale box me likh de .
- Ab baari aati hai apna mobile number likhne ki. Iske neeche “Mobile Number to Be Registered” wale boxes me aap apna wah mobile number likh de jisko registered karwana chahte hai.
- Yaha aapka pahla page fill up complete ho jayega. Ab iske Dusre page me aa jaye aur apna Signature kar de. Yaha aapke account me jaisa signature hai same waisa hi signature kare.
PNB Mobile Number Registration / Change Form FillUp Complete Video Tutorial In Hindi
Congratulations, aapne PNB mobile number registration / change Form ko achhi tarah se Fill Up kar liya hai . Iske baad aap is form ko kisi bhi PNB branch me jama kar sakte hai.
Inhe Bhi Jaane :-
- PNB ATM Green PIN Generation Se Jude Aapke Sabhi Sawalo Ke Jawab.
- India Post Payments Bank Me Online Ghar Baithe Account Open Kaise Karwaye ?
PNB Mobile Number Registration / Change Form Ke Saath Kya Jama Karna Hai ?
Ye sab janne ke baad aapke man me ek sawaal aa sakta hai ki jab ye form ham jama karne jayenge to kya hame iske saath koi document bhi jama karna padega ?
Iske saath koi document jama karna padega aisa kahi bhi likha hua nahi hai. Lekin agar aapke PNB Bank account me Aadhaar Number ya PAN Number update nahi kiya hua hai to aapko inka photo copy manga jayega.
Iska matlab yah hai ki aap apne sath apna Aadhaar Card aur PAN Card ka 1-1 xerox lekar jaye taki aapko dubara se ghar jane ki jarurat naa pade. Agar aapse manga jaye to de dijiyega nahi manga jaye to wapas lekar aa jaiyega.
Ye sabhi chije karne ke baad, aapke is form ke PNB Branch me jama karne ke 2-3 dino me aapka PNB account me mobile number register kar diya jayega.
To ab mujhe ummid hai ki aapko iske baare me puri jaankari ho gai hai. Aap aur kis type ke Form FillUp ka post padhna pasand karenge iske bare me hame neche COMMENT BOX me likhkar bataye.
Inhe Bhi Jaane :-
- PNB SMS Banking Ke Liye Registration & Enquiry Kiase Kare ?
- PNB ATM / Debit Card Apply Kaise Kare ? Puri Jaankari
Kya aapne abhi tak hamare Facebook Page “Explain Me Banking” ko LIKE nahi kiya hai. Abhi LIKE kar le aur isi tarah ki jakari FREE me lete rahe. Dhanyawad
RinkuJatav says
Mobile number change karna hai
Ilias akthar says
Mobile number chenge Karna hai