Kya aap Punjab National Bank ke customer hai ? aur PNB me Mobile Number Register karwana chahte hai ? to aap sahi jagah par aaye hai, kuki is post me aapko iske baare me detail me jaankari mil jayegi.
Dosto, Abhi ke samay me hamara mobile number Bank account me registered hona jaruri hai. Bank account me mobile number registered hone se kai tarah ke benifits hote hai. jaise –
- Isse aap apne PNB Bank Account se related balance enquiry, mini statement and aur bhi bahut sari jankari ghar baithe le sakte hai.
- Agar aap Net Banking, mobile banking se ya kahi bhi PNB ATM Card se payment karna chahte hai to aapke paas registered mobile number hona jaruri hai.
- Agar aapke PNB Account me kisi tarah ki gadbadi hogi to aapke registered number me usse related SMS Alert aa jayega jisse aap savdhaan ho sakte hai.
Iske aur bhi kai tarah ke benefits hai . Isliye agar aapne abhi tak apna mobile number PNB Bank Account me registered nahi karwaya hai to jitni jaldi ho sake karwa lijiye.
Inhe Bhi Jaane :-
- PNB SMS Banking Registration And Enquiry Ki Detail Jaankari
- Apne PNB ATM Card Ko Block Karne Ke 3 Sabse Aasaan Tarike
PNB Me Mobile Number Registration Ke Tarike
Dosto, Punjab National Bank ek aisa bank hai jo apne customers ko mobile number register / Change karwane ka kewal 1 option provide karwata hai. Is option ke tahat aapko kisi bhi PNB Branch me jakar hi apna mobile number register / Change karwana padta hai .
Agar aap soch rahe hai ki apna number aap PNB net banking, PNB mobile banking ya PNB ATM machine inme se kisi option se register / change karwa lenge to yah posible nahi hai. Kyoki PNB Bank ne aisi koi facility abhi tak provide nahi kiya hai.
Agar future me kabhi PNB ne aisi koi facility provde ki to ham uske baare me bhi Post jarur likh denge. To chaliye ab ham iske ek matr option branch wale process ko jaan lete hai.
PNB Me Mobile Number Register / Change Kaise Kare ?
Dosto jab aap PNB Branch me Mobile Number registration ke liye jayenge tab aapke paas 2 option rahta hai.
- PNB me Mobile Number registration form fill up karke jama karna. and
- Dusra 1 simple paper me apne mobile number registration ke liye application likhkar jama karna.
Is post me ham ye dono tarike aapko batayenge.
1. Registration Form Se PNB Me Mobile Number Registration Kaise Karwaye.
Iske liye jab aap PNB Bank ke branch me jayenge to waha ke employees aapko ek mobile number registration form ( neeche image me dekhe ) denge aur bolenge ki isko achhi tarah se fill up karke laiye.
To chaliye ham is form ko achhi tarah se fill up karna sikh lete hai .
PNB Me Mobile Number Registration Form Fill Up
- Iske liye aap sabse pahle upar me us PNB branch ka name likh de jisme is form ko aap jama karenge.
- Ab aap kis date ko is form ko jama karenge us Date ko likh de.
- Iske baad aap apne PNB bank account ka Customer Id likh de.
- Iske neeche jiske name par yah Bank account hai uska name “Account Holder” wale box me likh de .
- Ab baari aati hai apna mobile number likhne ki. Iske neeche wale box me aap apna wah mobile number likh de jisko registered karwana chahte hai.
- Ab is form ke sabse neeche aap aa jaye aur apne Signature kar de. Yaha aapke account me jaisa signatue hai same waisa hi signature kare.
Bas yah PNB me mobile number registration form fill up ho jayega. Iske baad aap is form ko kisi bhi PNB branch me jama kar de.
Aapke is form ko jama karne ke baad us mobile number ko aapke PNB Bank account ke saath link / registered kar diya jayega. Saath hi jab yah process complete ho jayega to aapke new number me PNB ki taraf is ek confirmation message bhi aayega.
Jab aapko yah Confirmation message aa jaye to samajh lena ki aapka number registered ho gaya hai.
Inhe Bhi Jaane :-
- PNB ATM Card Ka Green PIN Generate & Activate Kaise Kare ?
- Wrong PIN Se Block Hue ATM Card Ko Unblock / Restart Kaise Kare ?
PNB Me Mobile Number Registration Ke Liye application Likhna
Kabhi kabhi ham jab iske liye PNB branch me jate hai to hame bola jata hai ki abhi iska registration form available nahi hai. Is condition me aap ek plane papper me chota sa application bhi likh sakte hai.
chaliye ab mai bata deta hu ki aap application kaise likhenge. Mai iske liye neeche ek sample application likh raha hu isme aap apne detail fill kar de.
सेवा में ,
श्री मान शाखा प्रबंधक महोदय
पंजाब नेशनल बैंक ( ब्रांच का नाम )
विषय :- मोबाइल नंबर रजिस्टर करवाने हेतु / मोबाइल नंबर बदलने हेतु
महाशय ,
मेरा नाम ( आपका नाम ) है | मेरा बैंक अकाउंट कस्टमर आईडी ******** ( आपका कस्टमर आईडी नंबर ) और अकाउंट नंबर ****-****-**** ( आपका अकाउंट नंबर ) है | मेरा मोबाइल नंबर 91********** ( आपका मोबाइल नंबर ) है | मै इस मोबाइल नंबर को अपने बैंक अकाउंट के साथ रजिस्टर करना चाहता हूँ | मै अपना आई.डी. प्रूफ इस आवेदन के साथ जमा कर रहा हूँ |
अतः श्री मान से अनुरोध है की मेरे इस मोबाइल नंबर को मेरे बैंक अकाउंट के साथ रजिस्टर करने की कृपया करें |
आपका विशवासी
Signature
Name :-
Customer Id :-
Account Number :-
New Mobile Number :-
Yaha par meine ek sample application likhakar aapko bataya hai . Aap chahe to isme apne hisaab se badlaw kar sakte hai. Jab is tarah se aap application likh lenge to isko PNB Branch me jama kr de.
Aapke is application ko jama karne ke baad us mobile number ko aapke PNB Bank account ke saath registered kar diya jayega. Saath hi jab yah process successful ho jayega to aapke new number me PNB ki taraf is ek confirmation message bhi aayega.
Jab aapko yah Confirmation message aa jaye to samajh lena ki aapka number registered ho gaya hai.
NOTE :- Upar bataye dono process se PNB me mobile number register karwate time ho sakta hai ki aapko aapka ID Proof manga jaye. Isliye aap apne saath Aadhaar Card jarur lekar jaye.
Punjab National Bank Me Mobile Number Change / Register Kaise Kare? Video Tutorial
Is tarah se aap apne PNB Account me mobile number registered karwa sakte hai. Mujhe ummid hai ki is Post se aapko laabh hoga aur is topic par aage se aapko koi pareshani nahi hogi.
Inhe Bhi Jaane :-
- ATM PIN Bhul Jane Par Ise Forgot / Reset Kaise Kare ? 2 Aasaan Tarike
- ATM Card Expired Ho Gaya Ya Expire Hone Wala Hai . New ATM Kaise Milega ?
Apne Friends, Family Member ki help karne ke liye Is Post ko unko SHARE kare. Apne Social Media Friends (Facebook, WhatsApp, Twitter…etc) me unke saath bhi is Post ko Share karke apna Value badha sakte hai. Dhanyawad
Sunita says
Phone number link
Babarmultanu says
Nice
Sadhana Devi says
Please sir aap apne PNB account me mobile number register karwa sakte hai
EMB Team says
Is post me humne jo process bataya hai usko follow kijiye, aapka pnb mobile number register kar diya jayega.
Yogesh kumar says
Mujhe apna number change karana h
Mhbub says
Main apna number bank account mein receive karna chahta hun
Suraj Kumar says
Is post me humne bataya hai, use follow kare.
MR KULDEEP says
Kripya main apna phone number account Se Lagana chahta hun
Suraj Kumar says
Is post me bataye hue method se aap apne PNB account me mobile number Register ya Change karwa sakte hai.