Agar aapka bank account Indian Bank me hai aur aap apna Indian bank balance check karne ke sabse aasaan tarike ki talash kar rahe hai to aapki talash abhi khatm ho jayegi. Is post me ham aapko bank balance enquiry karne ka sabse easy method batane ja jahe hai.
Neeche ham aapko Indian Bank balance enquiry number bata rahe hai, jasme aap kewal 1 missed call karke apna bank account balance check kar sakte hai. Yah method bilkul FREE hai aur instant balance bata deta hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- PNB Balance Enquiry Sirf 1 Missed Call / SMS Se Kaise Kare? Puri Jankari
- SBI ATM Pin Forgot / Reset Kaise Kare? Without Visiting Branch
Indian Bank Balance Enquiny Number
Hamne neeche jo number likha hua hai wo Indian Bank balance enquiry missed call number hai. Aap apne bank account me registered mobile number se is number me kewal ek missed call kijiye.
Indian Bank Balance Check Number:- 09289592895
Jaise hi aap missed call karenge uske thodi der bad aapko Indian Bank ki taraf se 1 SMS aayega. Is SMS me aapka account Balance likha hua hoga.
Indian Bank Balance Check SMS Number
Bahut bank ki tarah yah bank bhi kewal ek SMS bhejkar apna account balance check karne ka service provide karti hai. Agar aap bhi SMS se balance check karna chahte hai to neeche bataye steps follow kijiye.
Iske liye sabse pahle aap apne mobile me neeche bataye format me ek SMS type kar lijiye.
Format:- BALAVL <space> Account Number <space> MPIN
Example:- BALAVL 140314031403 1234
Upar bataye tarike se SMS type karne ke bad ise apne registered number se Indian Bank balance check SMS Number – 9444394443 par send kar dijiye.
Aapke is message ke bhejne ke thodi der bad aapka bank account balance SMS ke dwara aapko bhej diya jayega.
Hamare hisab se Indian Bank balance enquiry ka sabse aasaan tarika missed call wala tarika hai. Lekin aapko inme se jo pasand hai uska istemal kar sakte hai.
I hope aapko Indian Bank balance enquiry number mil gaya hoga. Isi tarah ke banking ko aasaan banane wale videos ki Jankari ke liye hamare “Explain Me Banking” Channel ko SUBSCRIBE kar sakte hai.
Agar aapko yah post pasasnd aaya to aap is post ko SHARE jarur kare. Dhanyawad.
Leave a Reply