Friends, Bank account me registered mobile number hamare paas nahi rahne par hame koi tarah ki problem hoti hai. Jaise-SMS se alert nahi paa sakte hai, Internet banking, mobile banking, UPI, Online services ka use nahi kar sakte hai. Iska samadhan ye hai ke aap apne bank account me mobile number change karwa lijiye. Is post me aasaan process batane jaa rahe hai.
Agar aapke paas Gramin Bank account hai aur usme mobile number Change / Update karwana chahte hai to agle 2 minutes me iska kai tarika aap jaan jayenge.
Inhe Bhi Jaane:-
- Gramin Bank ATM Pin Generation & Activation Complete Process
- Blocked ATM Card Ko Unblock / Restart Kaise Kare?
Gramin Bank Mobile Number Change Kaise Karwaye?
Is kaam ke liye apna ek id proof (KYC document) and bank account passbook lekar apne branch me chale jaye.
- Branch ke employees ko gramin bank mobile number change form mang le.
- Is form ko lekar achchhi tarah fill-up kare. Isme apne bank account details and new mobile number ko achhe se bhare.
- Ab is fillup kiye hue gramin bank mobile no change form ke saath apna id proof attach kar de.
- Dono ko ab branch me jama kar de.
- Isi ke saath aapka kaam ho gaya hai. Iske 2-5 days ke andar aapka mobile number bank account me change kar diya jayega.
- Jab process complete ho jayega to confirmation message new number me aa jayega.
Waaah aapne branch se gramin bank me mobile number change karwane ka process jaan liya hai.
Gramin Bank Me Mobile No Change Karwana Through Application
Agar aap iske liye branch me jaye aur bola jaye ki gramin bank mobile no register / Change form hamare paas abhi nahi hai To upar ka process kaam nahi aayega.
Is condition me aap form ke jagah par simple sa ek application (letter) likhkar jama kar sakte hai. Ghabraiye nahi neeche is letter ko likhne ka pura process ham bata rahe hai.
Gramin Bank Mobile No Change Application Writting
To,
The Branch Manager
Gramin Bank, Branch Name
Subject :- Application for mobile number change in bank account.
Respected Sir,
I am ____(name)____ . I have saving bank account number 3142****2413 (your gramin bank account number), in your branch ____(current branch name)____ . My old registered mobile number is 91******32 which is i am not using presently. My new mobile number is 62******02. I want to register my new mobile number with my bank account.
I request you to update registered mobile number with my bank account, I will always be grateful for this.
Thanking You
Your Faithfully
Signature
Name :-
Account Number :-
New Mobile Number :-
Is tarah se aap ek simple sa letter likh le. Is application ke saath apna koi bhi id proof ka xerox lagakar branch me jama kar de.
Jis din inko aap jama karenge uske 2-5 din me aapke gramin bank account me mobile number change kar diya jayega.
- Bank Account Transfer Application Kaise Likhe? Hindi & English
- ATM Pin Change Kyu Kare? Iske Reasons & Benefits Ki Detail Jankari
Gramin Bank Me Mobile Number Online Change Karwane Ka Process
Sabse jaruri baat ye hai ki abhi harek gramin bank online mobile number change karwane ka process provide nahi karte hai. Aapko pata karna padega ki aapka bank online process provide karta hai ki nahi. Agar karta hai to apne gramin bank internet banking ya mobile banking se aap yah kaam online ghar baithe kar sakte hai.
Iske liye aap net banking me login karke “Mobile Number Update” wala option dhundhkar aage ka simple sa process follow kare. Is method se aap khud se aur matra 24 hours me apna gramin bank mobile no online change karwa sakte hai.
Ab aap gramin bank mobile no change karwane ke kai methods jaan chuke hai. Ham puri ummid karte hai ki iske baad aapka kaam aasaani se ho jayega. Isliye is post ko aap “SHARE” bhi kar sakte hai.
Aap hamare saath Facebook me “Explain Me Banking” page par bhi jud sakte hai. Dhanyawad.
Kapil says
Sarva haryana bank