Dosto, I hope aapko pata hoga ki abhi ke time me hamara current mobile number bank account me register rahna kitna jaruri hai. Isliye harek bank apne account holders ko bolta hai ki wo safe banking ke liye apna number hamesha updated rakhe. Chhattisgarh rajya gramin bank bhi mobile number registered karwa kar rakhne ke liye bolti hai.
Agar aapne abhi tak apne CRGB Account me mobile number register nahi karwaya hai. Ya fir aapka registered number kho gaya / band ho gaya hai. In sabhi conditions me aapko apna new mobile number apne chhattisgarh rajya gramin bank account me register karwa lena chahiye.
Chhattisgarh rajya gramin bank me mobile number register / change karwana bahut aasaan hai. Is post me ham iska complete process batane ja rahe hai. Is post ko pura padhkar aap bhi aasaani se yeh kaam karwa sakte hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- Wrong ATM PIN Se Blocked Hue ATM Card Ko Unblock / Restart Kaise Kare?
- Punjab & Sind Bank ATM Green Pin Generate & Activate Kaise Kare?
Chhattisgarh Rajya Gramin Bank Me Mobile Number Online Register / Change Kaise Kare?
Iske liye is bank ne abhi tak koi online process available nahi karwaya hai. Isliye aap chhattisgarh gramin bank me online mobile number register / change nahi karwa sakte hai.
Aapko yah kaam apne bank ke branch me jakar hi karwana padega. Iska process ham neeche bata rahe hai.
Chhattisgarh Rajya Gramin Bank Mobile Number Register / Change Kaise Kare?
Iske liye aap apne bank account se related details ko lekar apne branch me chale jaye. Waha jakar bolne par aapko ek chhattisgarh rahya gramin bank mobile number registration form de diya jayega. Aapko sabse pahle is form ko acche se fillup karna padega.
Chhattisgarh Rajya Gramin Bank Mobile Number Registration / Change Form Fill Up
Is form ko aap neeche ke image me dekh sakte hai. Isko fillup karna bahut aasaan hai.
- Sabse pahle aap apne branch ka name likh de.
- Iske baad aapke CRGB bank Account Number and account type likne ka jagah milega. Inke boxes me aap apna account number aur account type likh de.
- Same account number and account type ko neeche ke boxes me bhi same-to-same likh dena hai.
- Ab iske baad aap apna jo mobile number registered karwana chahte hai usko likh de.
- Iske baad is form ke neeche me chale jaye. Waha apna signature kar de, Iske neeche apna Full Name, Father’s Name and Address likh de.
- Isi column me sabse neeche dubara se apna mobile number likh dena hai.
Bas aapka chhattisgarh rajya gramin bank mobile number registration / change form fillup ho gaya hai. Ab is form ko apne branch me jama kar de.
NOTE:- Kabhi-Kabhi is form ke saath aapko aapka id proof jaise- aadhaar card ka xerox manga jata hai. Isliye iske liye jate time apna id proof lekar jaye.
Aapke is form ko jama kar dene ke 2-3 dino me account me number link kar diya jayega. Iske bad aapne banking ke kaam new mobile number se kar sakte hai.
Chhattisgarh Rajya Gramin Bank Mobile Number Registration / Change Application Kaise Likhe?
Jab aap iske liye apne branch me jayenge to ho sakta hai ki aapko bola jaye abhi form nahi hai aap iske liye application likhkar le aaiye.
Isliye ham neeche aapko chhattisgarh rajya gramin bank mobile number change ya register karwane ka application kaise likhte hai uska ek sample format bata rahe hai.
सेवा में ,
श्री मान शाखा प्रबंधक महोदय
छतीसगढ़ राज्य ग्रामीण बैंक ( ब्रांच का नाम )
विषय :- मोबाइल नंबर रजिस्टर करवाने हेतु / मोबाइल नंबर बदलने हेतु
महाशय ,
मेरा नाम ( …… आपका नाम …… ) है | मेरा छतीसगढ़ राज्य ग्रामीण बैंक अकाउंट नंबर ****-****-**** ( आपका अकाउंट नंबर लिख दें ) ,और अकाउंट टाइप …… ( अकाउंट टाइप लिंखे )…… है | मेरा नया मोबाइल नंबर 91********** ( आपका नया मोबाइल नंबर लिख दें ) है | मै अपने इस नए मोबाइल नंबर को अपने इस बैंक अकाउंट के साथ रजिस्टर करना चाहता हूँ | मेरा मोबाइल नंबर बदलने / रजिस्ट्रेशन कि कृपा करें | मै अपना आई.डी. प्रूफ इस आवेदन के साथ जमा कर रहा हूँ |
अतः श्री मान से अनुरोध है कि मेरे इस नए मोबाइल नंबर को मेरे छतीसगढ़ राज्य ग्रामीण बैंक अकाउंट के साथ रजिस्टर करने की कृपया करें |
आपका विशवासी
Signature
नाम :-
पता :-
पिता का नाम :-
मोबाईल नंबर :-
Aap is tarah se is application ko likhkar iske saath apna ek id proof lagakar ise apne apne branch ne jama kar de.
Aapke mobile number registration / change application ke jama karne ke 2-3 dino me aapka kaam ho jayega. Iske baad aap apne new number se banking ke kaam kar sakte hai.
- Union Bank of India Me Mobile Number Register / Change Kaise Kare?
- ATM Card Expired Ho Gaya Ya Expire Hone Wala Hai, New ATM Card Kaise Milega?
Ab aap chhattisgarh gramin bank mobile number link / register / change karwane ka pura process jan chuke hai. To jaiye aur is kaam ko karwakar apne banking ko aasaan banaiye.
Agar aapko CRGB bank se related aur koi information chahiye to hame comment box me likhkar bata sakte hai, saath hi is post ko share karke apne dosto and family members ki madad kar sakte hai. Dhanyawad.
Rohit says
Form jama karne k baad bhi mobile number update na hone pe complaint kaha karna h
Team EMB says
Iske liya aap branch me complaint kar sakte hai.
Yash says
Sir mobile number registration 18 sal se niche ka nhi ho skta
EMB Team says
Branch me jakar pata kar le.
Siyaram marai says
1…chhattisgarh rajya gramin bank,
2…mera mnbile number register kar do
Pleasse…………
EMB Team says
Branch me jakar is post me bataye process ko follow karke apna mobile number register karwa lijiye
Prem chand says
Mobail nambar ragistar karna hai sar account par
EMB Team says
Is post me bataye gaye process ko acche se padhe aur use follow kare aapke account me mobile number change kar diya jayega.
Prem chand says
RAg Mobil nambar karna hai
Bhupendra says
Mere pass len den ka massage ata hai lekin mo. no. Register nahi hai batata hai kyon? Upay bataiye
EMB Team says
Phir se aap apna mobile number register karwa le, aapka problem solve ho jayega.
Suresh kumar says
Mobile number change
EMB Team says
Is post me bataye gaye process ko acche se padhe aur isko follow kare aapka chhattisgarh rajya gramin bank ka mobile number change kar diya jayega.
Lucky says
Sar mera mobile number register nahin Ho 4 days Ho Gaya fir bhi nahin hua hi kuch solution bataiye sar reply please phone number 62621193142 please my problem Solv
EMB Team says
Apne branch me jakar contact kare.