Hello Friends. Hamare ek reader ne hame comment karke pucha hai ki “Canara Bank atm pin forgot kaise kar sakte hai? Agar ham apna atm pin bhul gaye hai to?”
Baat ye hai ki wo apna Canara bank ATM PIN / Debit card PIN bhul chuke hai, iske karan ab wo kisi bhi taraha ka transaction nahi kar pa rahe hai. Is tarah ke situation me harek person pareshan ho hi jata hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- Canara Bank Mobile Number Register / Change Kaise Kare?
- Wrong Pin Se Blocked Hue ATM Card Ko Unblock / Restart Kaise Kare?
Pahle ham bhi apna Canara bank debit card PIN bhul jane par pareshan ho jate the par ab hamne Canara bank ATM PIN Forgot / Reset karne ka aasaan tarika pata chal gaya hai, aur hum is post me is tarike ke baare me abhi puri infrmation dene ja rahe hai.
Canara Bank Debit Card PIN Forgot / Reset Karne Ke Liye Jaruri Information
Is process ko karne ke time aapke paas 3 chijo ka hona jaruri hai.
- Jis Card ka PIN bhul gaye hai wo Card
- Aapka bank account me Registered Mobile Number
- Aapka Canara Bank Account Number
Upar bataye chijo ko lekar aap kisi bhi canara bank ATM machine me chale jaye. Aage ka process wahi par karna padta hai.
Canara Bank ATM PIN Forgot / Reset Karne Ka Process.
Iske liye neeche ka process follow kijiye.
- Aap apna ATM / Debit Card waha ke ATM machine me “SWIPE” kar le.
- Ab Language wale screen se “Green PIN / Forgot PIN” ko select kare.
- Agle screen se “Generate OTP” ko select kare.
- Ab aapka 13 digit account number enter karne ko bola jayega. Yaha aap apna canara bank account number enter karke “Correct” option ko select kare.
- Isi ke saath aapka Registered Mobile Number enter karne ko bola jayega. Yaha apna 10 digit registered mobile number daalkar “Correct” ko click kare.
- Ab ATM machine apko OTP enter karne ko bolega.
Itna process karne ke turant baad aapke registered mobile number me ek SMS aayega. Is SMS me ek 6 digit ka OTP likha hua aayega, Isi OTP ko ATM me enter karna hai.
- OTP wala message aane par isko ATM me enter kar de aur “Correct” ko click kare.
- Ab aapko new PIN enter karne ko bola jayega. Ab aap apne card ke liye ek PIN soch le jo baad me bhulne ka dar na ho aur usko enter kar de.
- Iske baad usi New PIN ko “Re-enter” kar de.
- Iske baad ATM screen me “Your PIN Is Changed Successfully” likha hua aa jayega.
Jab screen me yah likha hua aa jaye to aap samajh lena ke aapka kaam pura ho gaya hai. Yani aapka canara bank atm pin reset ho gaya hai.
- Bank Account Transfer Application Kaise Likhe? Hindi & English
- SBI ATM PIN Bhul Jane Par Forgot / Reset Kaise Kare ? Without Visiting Branch
Congratulations, aapne canara bank ATM PIN Forgot / Reset karne ka process seekh liya hai, meri tarah aap bhi ab apna debit card pin bhulne par tension nahi lenge.
Hame ummid hai ki aapke problem ka aasaan solution aapko mil gaya hoga. Isliye is post ko “SHARE” jarur kar de. Dhanyawad
Leave a Reply