Kya aapne (Bank Of India) BOI Net Banking ke liye registration karwa liya hai ? Aur ab aap soch rahe hai ki BOI net Banking Activate / first time Login kaise kare ? Iske liye kya kya process hai ? to aap is post ko padhte rahiye.
Dosto, Aapne BOI Net Banking ka Registration Online kiya ho ya Offline Branch ke dwara dono hi condition me aapko First Time Login karte time kuch process follow karna padega. Is Post me ham aapko isi Process ko detail me batane ja rahe hai.
Is Post ko padhne ke baad aap turant hi apne BOI Net Banking Activate and Login kar sakte hai aur iska use kar sakte hai. To chaliye ab iske bare me detail se jaan lete hai.
Inhe Bhi Jaane :-
- BOI Net Banking Ghar Baithe Online Registration / Apply Kaise Kare ?
- SBI Quick App Kya Hai ? Iske Benefits, Features and Uses Ki Detail Jaankari.
BOI Internet Banking Activate / First Time Login Ke Liye Jaruri Information
Isme jab aap first time login karenge tab aapke paas kuch information ka hona jaruri hai. Jaise –
- BOI Net Banking User Id :- Agar aapne Online Registration kiya hoga to last step me aapka User Id likha hua aata hai. Agar aapne Offline Branch ke dwara registration karwaya hai to aapke Net Banking Kit me User Id likha hua hoga.
- BOI Net Banking Login Password :- Agar aapne Online Registration kiya hoga to registration ke time ek Login Password banaya hoga. Aapne agar Offline Branch ke dwara registration karwaya hai to aapke Net Banking Kit me Login Password likha hua aaya hoga.
- Agar aapne Offline yani Branch ke dwara registration karwaya hai to aap ek Password sochkar rakh le kuki is Process me aapko iski jarurat padegi.
Agar aapke paas ye saari information hai to aap taiyar hai.
BOI Net Banking Activate / First Time Login Kaise Kare ?
Iske liye neeche ke steps ko follow kare.
Step 1.
- Sabse pahle aap Bank Of India ke official website https://www.bankofindia.co.in me jaye.
- Is website me aapko right side ke neeche ek option “Internet Banking” milega, is option par click kare. Iske baad iske neeche kuch aur options aa jayenge, Inme se aap “Retail” ya “Corporate” jis bhi Net Banking ke liye aapne registration karwaya hai uspar click kare.
- Ab aapke saamne ek pop-up jaisa aayega jisme Security se related kuch chije likhi hongi. Isme “OK” button par click kare ya kuch der ruke yah automatically hat jayega aur agle step me chala jayega.
Step 2.
Ab aapke saamne BOI Internet Banking ka Website khul jayega. Iske left side me aapko login ka option mil jayega. Yaha se aapka BOI Net Banking Activate / First Time Login ka process start hota hai.
- Sabse pahle aap apna User Id enter kar de.
- Iske baad aap apna Login Password ko enter kar de.
- Ye dono information fill up karne ke baad “SUBMIT” button par click kare.
Step 3.
Uske baad aapke saamne Bank Of India Internet Banking Activation ke Term & Conditions aa jayege. In Term & Conditions ko aap padh bhi sakte hai.
- Jab aapko is step se aage badhna ho to is page me last me chale jaye.
- Page ke last me aapke left side me ek option “Agree” milega in Term & Conditions ko accept karne ke liye is option par click kare.
Agar aapne iske liye Online Registration karwaya hoga to aapka BOI Net Banking Activate / First Time login ka process complete ho jayega. Iske baad aap apne Account me login ho jayenge aur aapke saamne Home Page aa jayega.
Inhe Bhi Jaane :-
Agar aapne iske liye Offline yani Branch se Registration karwaya hoga to aapko ek aur step follow karna padega.
Step 4.
Jaise hi Offline wale log Step 3 me Agree par click karenge to aapke saamne Change Password ka page khul jayega. Is page me aapko apna Login Password ko change karne ko bola jayega kuki jo password net banking kit me aata hai wah jyada dino tak use karna secure nahi hota hai.
- Isme sabse pahle aap Password wale box me bank se mile Kit me jo Login Password likha hai usko enter kar de.
- Ab “New Password” wale box me apna ek new Login Password banakar enter karna hai. Aapka login password minimum 6 characters ka and maximum 28 charecters ka hona chahiye. Aapka login password letter (A to z), Number (1 to 9) and Spacel character(!@#$%^&*) sabhi ka combination hona chahiye. Is information ke anusaar aap apna ek Password ko banakar ise enter kar de.
- Jis Password ko aapne New Password wale box me enter kiya hai use hi same-to-same “Retype New Password” wale box me enter kar de.
Ye sabhi information ko fill up karne ke baad “OK” button par click kare. click karte hi Password change ka confirmation message Pop-Up aa jayega yaha bhi “OK” par click kare.
Step 5.
Iske baad aapke samne BOI Net Banking ka Home Page aa jayega.
Yaha ab Offline Registration karne wale logo ka bhi BOI Net Banking Activate / First Time login ka process complete ho jayega.
Is Page me aane ke baad aap apne BOI Net Banking ko use kar sakte hai. Is Page se aapko Net Banking se jo bhi karna hai wo saare kaam kar sakte hai.
To dosto ye complete process tha BOI Net Banking Activate / First Time Login karne ka. Mujhe ab aasha hai ki yah process aapko achhi tarah se samajh me aa gaya hoga. Is process se aap Login karke apne BOI Internet Banking ka use kar payenge. To ab enjoy karte rahiye Net Banking ke services ko.
Inhe Bhi Jaane :-
Kya aapne abhi tak hamare YouTube Channel “Explain Me Banking” ko Subscribe nahi kiya hai ? To yaha Click karke turant SUBSCRIBE kar lijiye aise hi kamal ke Banking jankariya waha bhi milengi.
Apne Friends, Family Member ki help karne ke liye Is Post ko unko SHARE kare. Apne Social Media (Facebook, WhatsApp, Twitter…etc) Friends ke saath bhi is Post ko SHARE karke apna Value badha sakte hai. Dhanyawad
M.sabir Hossain says
मैने नेट बैकिंग ओफलाइन बैंक से करबाया है
मुझे डाक पोस्ट द्वारा लोगिन पासवर्ड तो मिलगया लेकिन यूजर आईडी नहीं मिली
अब मैं यूजर आईडी कैसे बनाऊं
admin says
आप अपने बैंक अकाउंट का customer id को user id के जगह पर इंटर करके देखिये . मैक्सिमम टाइम बैंक ऑफ़ इंडिया में customer id ही user id होता है. अगर यह काम न करे तो अपने ब्रांच में जाकर पूछिये वहाँ आपको चेक करके जरुर इसके बारे में बताया जायेगा.