He Dosto, Kisi bhi account holder ko apne bank account ka full kyc karwake rakhna jaruri hai. Agar aapke bank account me kyc complete nahi rahega to banking ke saare kaam stop/ band kar diye jate hai. kya aap bank of baroda kyc update karwane ka process dhundh rahe hai? Is post me ham aapko bob kyc update karne se related complete jaankari denge. Jaise-
- BOB kyc document kya – kya hai?
- Bank of baroda kyc online process.
- BOB bank kyc update karne ka offline process.
- BOB kyc form kaise bhare?
Bank of Baroda KYC Form PDF Download
Iska matlab hai ki agar aapne is post ko pura padh liya to aapka itna jaankari ho jayega ki aap dusro ko iske baare me batane lagenge. To chaliye iske baare me aap pura jaankari le lijiye.
BOB KYC Documents.
Aapko bank account kyc karwane ke liye 2 tarah ke kyc documents submit karne padte hai.
- BOB kyc identity proof document.
Ye wo documents hote hai jisse aapki identity proof ho sake. Isse bank ko aapke baare me verify (pahchan) karne me aasaani hoti hai. Bob kye documents for identity proof me aap – aadhaar card, passport, pan card, voter id ….. etc de sakte hai.
- “Bank Account KYC Documents For Address Proof”
Ye wo documents hote hai jisse aapke address ke baare me puri jaankari mil sake. Isse bank ko aapke address ko verify karne aur apne record me rakhne me aasaani hoti hai. Isme aap har wo document de sakte hai jisme aapka complete address mention rahte hai. jaise – aadhaar card, passport, electricity bill, bank account statement, rotion card, voter id card, ….. etc.
“Bank KYC Document List For Address Proof Ka Pura List Jane”
Bank Of Baroda KYC Online Kaise Karwaye?
Abhi har persion koi bhi kaam online ghar baithe karna chahta hai. Isliye aap bhi isko online karne ka process jaanna chahte honge. Lekin hame yah batane me bahut bura lag raha hai ki abhi ke time me bob kyc update karwane ka koi bhi online process available nahi hai.
Is condition me agar aap bob full kyc online karwane ka process dhundh rahe hai to sirf apne time ko barbad kar rahe hai. To chalye aage ham apko BOB KYC Update Complete Process branch ke through batate hai.
BOB KYC Update Complete Process Through Branch Kaise Karwaye?
Dosto online process na hone ke karan kewal branch wala option bank apne customers ko deti he. Branch se bhi bob bank account kyc karwana bahut aasaan hai.Iske liye apna kyc documents (Jinke baare me hamne upar bataya hai.) and bank passbook lekar apna nazdiki bob branch me chale jaye. Waha jaakar bank employe se bob kyc form (Bank Of Baroda KYC Form) mang le. Jab yah form mil jaye to achchhi tarah se isko fillup kar lijiye.
BOB KYC Form Kaise Bhare? Bank OF Baroda KYC Form Fill Up Kaise Kare?
Dosto aap is form ko neeche ke image me dekh sakte hai. Isko bharna bahut hi aasaan hai jo ki maine step by step bataya hain.hamare iss steps ko follow karke aap asani se iss form ko bhar sakte hain.
- Sabse upar left side me apna “Customer Id” and right side me “Account Number” likh de.
- Ab apna name “First Name, middle Name, sur Name” ke format me likh de.
- Iske baad apna “PAN Number” likhe, agar nahi hai to “Form 60” bhi submit kar sakte hai.
- Ab kya apna Aadhaar number apne bank account me link karna chahte hai. Agar ha to “Yes” par tick karke apna Aadhaar number likh de. Aur ager nahi link karna hai to “No” par tick karke chor sakte hai.
- Agla column “Occupation & Income” wale hai. Isme aap kya karte hai wo apne disarb se tick kare and usse aapko income kitna hota hai usko bhi tick kar le.
- Ab agar aapko apna address ya contact detail change nahi karna hai to pahle wale box me tick kar de. Aur agar change karwana hai to dusre wale option ko tick kare. Saath hi aap apna address proof ka kon-kon sa document (Mailing/ Permanent) submit karenge uske box ko bhi tick kar dijiye.
- Abhi apna “Mailing Address, Contact Details, Permanent Address” apne anusaar fill kar dijiye.
- Declaration ke neeche aap jo-jo bhi documents iske saath denge usko name likh de.
- Ab apna “”Place & Date” likh de.
- Apna “Full Signature” kar de.
- Apna ek photo chipka dijiye aur isme signature aisa kijiye jaise aadha signature photo me and aadha signature neeche aaye.
Isi ke saath aapka yah bob kyc form kaise bhare iska process complete ho jayega.
Ab aap is forme ke saath apne seif attested kiye hue documents ko pin up kar dijiye.Or isko apne branch me jama kar dijiye. Aapke bank of baroda kyc form ke jama karne ke 1-2 dino ke andar aapke bank account ka full kyc kar diya jayega.
We hope friends aapko bob kyc kaise karwaye? bob kyc form kaise bhare? bank of baroda kyc online process ke baare me puri jaankari ho hai hogi. Ab iska istemal kijiye aur apne bank account ka full kyc karwa lijiye
Inhe Bhi Jane
- Loan Kya Hota Hai? लोन क्या होता है? Type Of Loan इसके फायदे, नुकशान पूरी जानकारी यहाँ से ले
- ATM Card Expired Ho Jane Par New Card Kaise Milega पूरी जानकारी यहाँ से लें
- Mutual Fumds Kya Hai ? इसके बारे में पूरी जानकारी यहाँ से लें
Is post ko pura padhne ke liye aapka bahut-bahut Dhanyawad.
Leave a Reply