Hello dosto, Aapka fir se swagat hai. “Explain Me Banking” me jaha ham aapke banking ko aasaan banate hai. Aaj ham aapke samne ek bahut hi importent jaankari lekar aaye hai. Wo jaankari “How to register / change mobile no in kotak mahindra bank for sms banking ??? Kotak mahindra bank mobile number registration process for sms alert”
Dosto ham sabhi chahte hai ki bank ke debit, credit and importent information hame sms me milti rahe. Isse ham kahi se bhi apne bank account se related information jaan jate hai. Agar aapke paas kotak mahindra bank account hai to is tarah se sms alert ke liye number register karwana padta hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- Bank Account Transfer Application Hindi & English Me Likhna Seekhe
- ATM Card Block Hone Par Ise Unblock / Restart Karna Seekhe
Neeche ham iske liye available sabse aasaan process batane jaa rahe hai.. Kya aap agle 2 minute me iska complete process sikhna chahte hai…??? to bas is post ko last tak padhte rahiye.
How To Register / Change Mobile Number In Kotak Mahindra Bank Online For SMS Alert
Dosto is bank ke paas abhi tak koi bhi online process available nahi hai is kaam ke liye. Yani ki aap chahkar bhi ghar baithe kotak mahindra bank me mobile no update nahi karwa payenge. Agar future me koi aisa process aaya to ham uske baare me jarur post likhenge.
Kotak Mahindra Bank Mobile Number Registration Process For SMS Alert
Chuki iske liye koi bhi online process available nahi hai isliye isko offline branch se karwana padega.
Is kaam ke liye aap apna passbook, mobile number and apna ek photo id proof lekar apne branch me visit kare. Waha jakar kotak mahindra bank mobile number registration form for “Email & SMS Alert” mang le. Yah form branch me aasaani se mil jata hai.
Form ke mil jane ke baad bari aati hai isko achchhe se fillup karne ki. Ghabraiye nahi isko fillup karne ka pura process ham neeche batane jaa rahe hai.
Kotak Mahindra Bank Mobile Number Change Form For Email & SMS Alert Fillup Process.
Is form ko aap neeche ke image me dekh sakte hai.
- Sabse pahle upar ke subscription wale box me tick kar le.
- Iske neeche apna bank account details jaise customer crn, account number fill kar le.
- Ab neeche me aapko kis tarah ka alert chahiye uske hisab se unke boxes me tick kar de.
- Iske baad large debit / large credit se related jis tarah ka sms alert chahiye uske type ke boxes me tick kar le.
- Neeche me kaphi information mil jayenge. Unko padhkar jaankari le sakte hai.
- Ab second page me aakar date likh de.
- Iske neeche me box me apna name likh de. Box ke bagal me signature kar dena hai. Agar joint account hai to sabhi ke name and signature hona jaruri hai.
Yaha par aapka yah kotak mahindra bank mobile number register form for email & sms alert completely fillup ho jayega.
Ab iske saath apna photo id proof ka xerox attach karke apne branch me submit kar de. Aapke form ko jama karne ke 2-3 days me number link kar diya jayega.
Kotak Mahindra Bank Mobile Number Change Kaise Kare For SMS Alert.
Agar aapka pahle se koi number sms alert ke liye registered hai aur aap usko change karke koi dusra number registered karwana chahte hai tab kya karenge ??? Yahi soch rahe hai na…???
Aap directly sms alert ke liye number change nahi karwa sakte hai. Iske liye pahle aapko apne bank account me registered mobile number change karwana padega.
- Bank Account Me Mobile Number Change Kaise Karwaye? 4 Sabse Aasaan Tarike
- Gramin Bank ATM Card / Debit Card Apply Karne Ka Pura Process In Detail
Jab aap apne kmb account me number change karwa lenge uske baad upar ka same process ko follow karke sms alert ke liye bhi number change karwa sakte hai. Iske liye koi dusra process available nahi hai.
Jab aapka yah complete process ho jayega tab aapke kotak mahindra bank account se related alerts mobile me sms ke dwara milne lagega.
Wawwwww aapne to kotak mahindra bank mobile number registration for sms alert process ko pura jaan liya hai.
Is website me aap dusre post ko padhkar aur bhi kai tarah ke banking se related information FREE me le sakte hai. Dhanyawad.
Anwarpatel says
Chenge my mobile number