Dosto, Abhi up me baroda up bank dhire-dhire populer hota jaa raha hai. Bahut sare log is bank me apne bank account khulwa rahe hai, kyuki yah bank “Baroda Uttar Pradesh Gramin Bank, Purvanchal Bank aur Kashi Gomti Samyut Gramin Bank” ko ek saath 1st april 2020 ko merge karke banaya gaya hai, isliye yah bank India ka sabse bada Gramin Bank ban gaya hai. Kya aap bhi inhi me se ek hai aur baroda up bank mobile number register change karwne ka process janna chhte hai ???
Agar “HA” to aap bilkul sahi jagah par aaye hai. Is post me aapko baroda up bank mobile no change or registration karwane ka step-by-step pura information mil jayega. Aapko bas dhyan se agle kuch minutes is post ko pura padh jana hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- Gramin Bank Balance Enquiry / Check Karne Ke 4 Sabse Aasaan Tarike
- ATM Card Unblock Application In Hindi & English Format
How To Register / Change Mobile Number In Baroda UP Bank Online
Agar aap ghar baithe bina branch gaye baroda up bank mobile number update karwana chahte hai to yah abhi possible nahi hai. Yani abhi tak is bank ne iske liye koi bhi online process nahi bahaya hai.
Yadi aapke paas baroda up bank internet banking, mobile banking sari service hai tab bhi aap isko online ghar baithe abhi nahi karwa sakte hai. Agar future me aisa koi bhi process banaya gaya to ham post jarur likhenge.
Baroda UP Bank Mobile Number Register / Change Kaise Karwaye?
Iske liye aap apna passbook, new mobile number and ek id proof ka xerox lekar apne bupgb branch me chale jaye. Iske baad neeche ka step follow kijiye.
- Branch me jakar baroda up bank mobile number registration form mang lijiye.
- Jab yah form mil jaye to isko dhyan se fillup kare. Isme apna bank account details, new mobile number ….etc sabhi details sahi-sahi bhar de.
- Yah form jab completly fillup ho jaye to isko apne branch me jama kar sakte hai.
- Kabhi-kabhi iske saath id proof attach karne ke liye bola jata hai. Agar aapko bhi bola jaye to saath me laya hua id proof ka xerox attach karke dono ko branch me submit kar dijiye.
- Aapke form ko branch me jama karne ke 2-3 working days me aapka kaam ho jayega.
- Aapka baroda uttar pradesh bank mobile no change karne ka process complete ho jane par iska ek confirmation message bhi aa sakta hai.
Waaw is process ko to aap samajh hi chuke hai, chaliye ek aur process jaan lete hai.
Baroda UP Bank Mobile Number Register / Change Karwana Through Application
Ab sochiye aap branch me gaye hai aur bola jaye ki yah form abhi hamare paas nahi hai. Tab aap kya karenge ???
Aap ya to is form ke aane ka wait kar sakte hai ya fir turant ek simple sa baroda up gramin bank mobile no change application bank manager ke name par likhkar apna kaam karwa sakte hai.
Baroda UP Bank Mobile Number Change Application Writting.
To,
The Branch Manager
Baroda UP Bank
Name Of Branch
Subject :- Application for mobile number change in bank account.
Respected Sir,
I am ____(name)____ . I have bank account number 1924****4291 (your Baroda uttar pradesh bank account number), in your branch ___ (your branch)____ . My old registered mobile number is 89******98 which is i am not using presently. My new mobile number is 65******76. I want to register my new mobile number with my bank account.
I request you to update registered mobile number with my bank account, I will always be grateful for this.
Thanking You
Your Faithfully
signature.
Name :-
Account Number :-
New Mobile Number :-
Bas itni hi aasaani se aap bhi apne liye baroda up bank mobile no change application letter likh le. Ab is letter ke saath ek id proof ka photo copy lagakar branch me jama kar de. Inko branch me jama karne ke 2-3 working days me aapka bupgb mobile number update kar diya jayega.
- Gramin Bank ATM PIN Generation And Activation Complete Process
- Bank Account Me Mobile Number Change Kaise Kare? 4 Sabse Aasaan Tarike
Yaha par ab aap baroda utttar pradesh gramin bank mobile number register / change karwane ka complete process jaan chuke hai. Is jaankari ka labh uthaiye. Dhanyawad.
Yuvraj Singh says
Ser mijhe apna mobile number dusra link karwana hai
EMB Team says
Is post me humne detail me bataya hai, ise acche se padhe aur follow kare.
Ramakrishna says
Sir hme apne account me dusra no.link krvana h
Or bank me jane pr bank staf vale bol rhe hain 120 rupees apne form ke sath jma kro tb hoga
Hm kya kre
EMB Team says
Customer care se contact karke pata kare.