Hello Friends, Hame lag raha hai ki aapka IDBI Bank ATM Card block ho gaya hai. Isliye aap IDBI Bank ATM card unblock karwane ka process janna chah rahe hai. Is post me hamne IDBI bank debit card unblock karwane ke 2 sabse aasaan methods ka complete process bataya hai. In methods ka use karke koi bhi turant apna blocked idbi bank ATM card unblock karwa sakta hai.
Mai bhi kabhi-kabhi apna idbi debit card 3 times wrong pin enter karke usko block karwa deta hu. Lekin inhi neeche bataye process ko follow karke turant apna ATM card restart karwa leta hu. Isi tarah se aap bhi apna card aasaani se unblock karwake use karna start kar sakte hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- IDBI Bank New ATM Card Activate Kaise Kare? Complete Details
- IDBI Bank Balance Check Missed Call / SMS Se Kaise Kare?
Blocked IDBI Bank ATM Card Unblock / Restart karwane ke 2 Aasaan Taike.
- Automatically idbi bank debit card unblock karwana.
- IDBI Bank ATM PIN generation ki madad se unblock karwana.
Hamare anusaar aap pahle dono methods ke complete process ko pura padh lijiye uske baad decision lijiyega ki aapke liye kon sa method achchha aur aasaan rahega.
Automatically IDBI Bank ATM Card Unblock Karwana
IDBI bank ne 3 times wrong pin se blocked card ko unblock karne ke liye ek TIME PERIOD nirdharit karke rakha hua hai. Yah time period 24-48 ghante hai. Ab agar aapko apna blocked idbi bank ATM card unblock karwana hai to bas 24-48 ghante tak bina kuch kiye chupchap wait karna padega. Jaise hi aapka 48 hours complete ho jayega bank ka saftwere (system) us blocked debit card ko automatically (apne-app) unblock kar dega.
Yani ki 48 ghanto ke bad aap bina kuch kiye us ATM card ko apne purane original ATM PIN se transaction karna start kar sakte hai.
Is process me sabse badi dikkat yah aati hai ki bahut sare logon ko apna original ATM PIN yaad hi nahi rahta hai. Agar aapko bhi apna PIN yaad nahi aa raha hai to iska second (dusra) method aapke liye hi hai.
IDBI Bank ATM PIN Generation Ki Madad Se ATM Card Unblock / Restart Karwana.
Is method ki khasiyat hi yah hai ki aapko purana wala original PIN nahi manga jata hai. Iske liye aap apna idbi bank account me registered mobile number and blocked idbi debit card ko lekar kisi bhi IDBI ATM Machine me chale jaiye. Iska pura process wahi karna padta hai.
- Sabse pahle apna blocked card ko waha ke ATM machine me “SWIPE” kar le.
- Apna pasand ka language select kar le.
- Ab aaye hue options me se “Generate ATM PIN” ko select kare.
- Fir se 2 option aayenge abhi inme se “Generate OTP” ko select kare.
- Ab ATM screen me “OTP Has Been Send To Your Registered Mobile Number” likha hua aa jayega.
Ye steps karne ke turant baad aapke bank me registered mobile number me ek message aayega. Is message me 01 OTP and 01 Request Id likha hua rahega. Jaise hi yah message mil jaye neeche ka process karne ke liye taiyar ho jaye.
- Fir se apna card “SWIPE” kar de.
- Apna language select kar le.
- Aaye hue 2 option me se “Generate ATM PIN” ko select kare.
- Ab aaye hue 2 option me se “Validate OTP” ko select kare.
- Abhi message me aaya hua 6 digit OTP enter karke “Confirm” ko select kare.
- Iske baad message me aaya hua Request Id, enter karke “Confirm” ko select kare.
- Abhi screen me “Your OTP is validated Successfully. Press Continue to Generate new PIN” likha hua aayega. Is screen ke “Continue” button ko select kare.
- Iske baad aapko New PIN banane ke liye bola jayega. New PIN banate hi wah blocked idbi ATM card Unblock ho jayega. Yaha aap ek New PIN sochkar enter kar de.
- New PIN ko verify (Confirm) karne ke liye dubara se usi same New PIN ko Re-enter kar de.
- Isi ke saath screen par “Your PIN Has Been Changed Successfully” likha hua aa jayega.
Jaise hi screen me is tarah ka likhkar aa jaye tab aap samajh lena ki aapka idbi debit card unblock ho gaya hai. Is complete process ko follow karne ke baad abhi banaye hue New PIN ki sahayta se kisi bhi tarah ka transaction (ATM transaction, Online transaction, pos transaction) kar sakte hai. Yani ki aapka wah card really unblock ho gaya hai.
- IDBI ATM Card Block Kaise Kare? Through SMS, Customer Care & Branch
- Bank Account Me Mobile Number Change Kaise Kare? 4 Aasaan Tarike
Agar is post me bataye method se aapka debit card unblock ho jaye to jarur se is post ko kam-se-kam 01 jagah par “SHARE” kare. Is post ko pura padhne ke liye aapko bahut-bahut Dhanyawad.
Leave a Reply