Hello Friends, Maine dekha hai ki uco bank apne customers ko atm card bank account opening ke time hi de deti hai. Lekin kai baar kuch logon ko yah card nahi mil pata hai. Ya fir kisi-kisi ko purana debit card expire ho jana, existing card block ho jana ya purana card damage ho jane par unko uco bank new atm card apply / application karne ki jarurat padti hai.
Aap bhi inme se kisi ek situation me hai “Hai Naa…???”
Aap uco bank debit card apply online & offline dono tarah se kar sakte hai. Lekin chuki digital ka jamana hai isliye is post me ham aapko uco bank atm card online apply karne ka complete process batayenge. Jisse aap yah kaam ghar baithe badi hi aasaani se kar sake.
Inhe Bhi Jaane:-
- UCO Bank Account Transfer Application Letter Kaise Likhe? Hindi & English
- Application For Closing Bank Account. Bank Account Bank Karne Ke Liye Application
UCO Bank Debit Card Online Apply Karne Ke Tarike.
Yah kaam aap 2 tarah se kar sakte hai.
- UCO bank new atm card online apply without net banking process.
- Internet banking ke sahayata se uco bank new debit card apply online karna.
Chuki ham jaante hai ki harek preson ke paas net banking nahi hota hai isliye is post me ham 1st process yani without net banking wala process batayenge.
Agar aapke paas net banking hai to upar uske name par click karke uska complete process jaan sakte hai.
UCO Bank New ATM Card Online Apply Karne Ke Liye Jaruri Information.
Iske liye aapke paas kuch chijo ka hona jaruri hai. Jaise-
- Aapka bank account number
- Bank me registered mobile number
- Aapka last 1 transaction amount.
ye saari chije aapke paas hai. Hai naaaaaa…??? to chaliye process ko jaante hai.
UCO Bank ATM Card Online Apply Karna Without Internet Banking.
Iska process bahut hi aasaan hai
STEP 1
sabse pahle apne smart phone, laptop, computer jo bhi aapke paas hai uske browser me uco bank official website www.ucobank.com par chale jaye.
Iske home page me hi aapko bahut sare options dikhenge. Iske “Online Services” par click kare. Abhi “Details” wala option aa jayega. Ispar click kar de.
STEP 2
Abhi online services wala page khul jayega. Yaha bhi bahut saare option rahenge inme se “Apply for new debit card” par click kare.
STEP 3
Ab aap us page me aa jayenge, jaha se uco bank atm card online apply kar sakta hai. Is page me aapko apne bank account se related kuch details till up karna padega.
- Sabse upar apna“14 Digit Account Number” enter kar de.
- Ab apna bank account me registered “10 digit mobile number” enter kara.
- Iske baad aapna last transaction kitne amount ka kiya hai chahe wo “Debit or Credit” jo bhi ho usko select karke amonut enter kar de.
- Iske neeche ek “Security Question” rahega uska answer box me type kar de.
- Ab sabhi details enter ho jaane ke baad “Generate OTP” par click kar de.
STEP 4
Jaise hi aap itna process follow karenge aapke registered mobile number me ek otp wala message aa jayega.
Saath hi next page jo khulega usme aapko wo otp validate karwana padega.
- Sabse upar aap jo card apply kar rahe hai uska “Reference number” likha hua rahega.
- Abhi apne message me aaya hua “OTP” ko enter kar de.
- Ab “Validate OTP” par click kare.
STEP 5
Ab next page me aapke bank account se related kai tarah ke information Jaise- account number, name, address… etc dikhaya jayega.
- Yaha aapko dhyan ye rakhna hai ki jo address dikhaya gaya hai usi me new atm card bheja jayega.
- Ab aapko jis type ka “ATM Card” chahiye uske type ko select kar lijiye.
- Iske baad “Submit Request” ko select kar lijiye.
STEP 6
Isi ke saath ek pop-up aayega jisme likha rahega.
“Congrats you have successfully applyed for a new uco bank card. It will be delivered to your registered address within 10 days. the amount of new atm / debit card will be debit from your bank account.”
Iska matlab yah hai ki aapne uco bank new atm card online apply kar liya hai. Is card ko 10 dino me aapke registered address me bhej diya jayega. Saath hi jo bhi charge hai usko aapke bank account se kat liya jayega.
Aahaaaaaa chalo thoda aaraam karte hai….
Aapne badi hi aasaani se apna uco bank atm card apply online process pura kar liya hai. Ab jab new card aapke paas aa jaye to usko activate karke use karna start kar sakte hai.
Kya aap uco bank new atm card activata karne ka pura process jaana chahte hai…???
To fir issi related complete jaankari wale post ka link ham neeche de rahe hai.
Inhe Bhi Jane:-
- UCO Bank New ATM Card Activate Kaise Kare??? complete process.
- UCO Bank Balance Check / Enquiry Sirf 1 Missed Call Ya SMS Se Kaise Kare?
Agar aapko yah jaankari pasand aai to apne social media me isko SHARE karna to banta hai. Is post ko pura padhne ke liye aapka bahut-bahut Dhanyawad.
Leave a Reply