Dosto, Aaj ham is post me aapko ek bahut hi importent informtion denge. Yah jaankari hai. “How to register / change mobile number in syndicate bank account ? Syndicate bank mobile number change / register kaise karwaye?”
Jaise ki ham sabhi jaante hai abhi ke time me apna mobile number bank account me registered karwake rakhna kitna jaruri hai. Syndicate bank mobile no. update karwana bahut hi aasaan hai. Aap dhyan se bas agle 3 minutes is post ko padhe, aapko pura jaankari mil jayega.
Inhe Bhi Jaane:-
- Bank Account Tranfer Application Kaise Likhe? Hindi & English
- Blocked ATM Card Ko Unblock / Restart Kaise Kare? Puri Jankari
How To Register / Change Mobile Number In Syndicate Bank Online?
Abhi tak is bank ne mobile number registration ka koi bhi online process nahi banaya hai. Yani ki syndicate bank me mobile number online change karwana possible nahi hai.
Lekin ham wada karte hai ki jaise hi yah bank koi bhi online process banayega ham uska alag se ek post jarur se likh denge.
Syndicate Bank Mobile Number Change / Register Kaise Karwaye?
Dosto, chuki iska koi bhi online tarika nahi hai isliye yah kaam aapko branch me hi jakar karwana padega.
Iske liye aap apna bank passbook, new mobile number aur ek id proof lekar apne bank branch me chale jaye. Waha jakar employees se syndicate bank mobile no. change form mang lijiye. Jab aapko yah form mil jaye to isko achhe se fillup karna sabse importent hota hai.
Syndicate Bank Mobile Number Change Application Form Fillup.
Aap is form ko neeche ke image me dekh sakte hai.
- Is form me sabse upar left side me apna branch and city ka name likh de.
- Aapka name jis tarah ka bank account me hai usko likhe.
- Apna customer id likh de.
- Ab apna new mobile number likh de jisko registered karwana hai. Aapko apna mobile number kis format me likhna hai iska complete information neeche ke box me mil jayega. Waha se, “For all indian mobile numbers and overseas mobile number” wala information padkar apna number achchhe se likhe.
- Iske baad baari aati hai alert ko “Configure” karne ki. Sabse pahle aapko kis tarah ke alert is number me chahiye uske box me tick kar de.
- Iske baad kitna amount (paise) ke credit / dedit alert aapko chahiye wah amount likh de. Yah amount 10,000 Rs se jyada hona chahiye.
- Aapko alert kis period me chahiye “Daily / Weekly / Fortnight / Monthly” isko tick kar de.
- Iske right side me apna syndicate bank account number likh de. Yah account number 14 digit ka hota hai.
- Ab neeche aakar left side me place & date likh de.
- Isi ke right side me apna signature kar de.
- Iske neeche ke pure information branch use ke liye hai. Inko aap touch na kare.
Bas ho gaya syndicate bank mobile number change application form fillup complete. Ab isko apne branch me jama karwa sakte hai. Jaise hi isko aap branch me submit karwayenge uske kuch dino ke andar aapka kaam ho jayega.
Syndicate Bank Mobile Number Change / Register Kaise Kare? Through Application
Maan lijiye aap branch me gaye aur bola jaye ki yah form available nahi hai. Is condition me aap kya karenge?
Aap turant ek chota sa application likhkar jama kar sakte hai. Isse aap bar-bar daudne se bach jayenge aur aapka kaam bhi ho jayega.
Syndicate Bank Mobile Number Change Application Letter Writting.
To,
The Branch Manager
Syndicate Bank, Name of Branch,
Subject :- Application for mobile number change in bank account.
Respected Sir,
I am ____(your name)____ . I have bank account number 1978****7891 (your syndicate bank a/c no.), customer id 12345678 (your customer id) in your branch ____(current branch)____ . My old registered mobile number is +9191******02 which is i am not using presently. My new mobile number is +9166******05. I want to register my new mobile number with my bank account.
I request you to update registered mobile number with my bank account, I will always be grateful for this.
Thanking You
Your Faithfully
signature.
Name :-
Account Number :-
Customer Id :-
New Mobile Number :-
Bas isi tarah aap bhi apne liye ek syndicate bank mobile no. change application likh le. Iske saath apna ek id proof lagakar isko branch me jama kar de. Inke submit karne ke kuch dino ke andar aapka number bank account me update kar diya jayega.
- Syndicate Bank New ATM Card Activate Kaise Kare? Puri Jankari
- Bank Account Opening Address Proof Documents Complete List
Yaha par yah post khatm hota hai aur aap syndicate bank mobile number registration and change karwane ka process jaan chuke hai. Isi tarah ke banking ko aasaan banane wale video aap free me hamare channel “Explain Me Banking” me dekh sakte hai. Dhanyawad.
Leave a Reply